Topic 30 : Shikwa

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum :-)
*Shikwa*
Jab ham Allah k kisi bhe faislay, Os ke marzi o mansha par dill sy razi nahi hotay or os par hamaray ihsas ya soch mein koe aitraz uthta ya hamaray kisi amal sy os par napasandeedgi ka izhar hota hy tou ossay Shikwa kehtay hein.
Think about it…!
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Shikwa*
Allah k banday wohi hein jo bina kisi shikwa k… kisi bhe tara k halaat o waqiat or maomlaat ko Allah ke marzi samjh kar… unhein billa choon chiaraan qabool kartay hein…
Kion k jo aisay nahi karta wo shikway mein chala jata hy…
Apna jaiza lain…!
Ham khud ko Allah ka banda tou kehtay hein par kia ham billa choon charaan yani bina kisi shikway k Oske marzi ko qabool kar rahay hotay hein…?
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Shikwa*
Shikwa dil k ihsas ka naam hy…
Or ye ihsas ziada tar tab baidar hota hy jab…
Ham khud ka or doosron ko hasil karda naimton ka maouwazna karnay lagtay hein…
tou shukar k ihsas ke kami or zaida ka lalach hamein shikwa par majboor karta hy.
Aisa he hota hy na…??
Allah hamein naimton par shukar ke taofeeq dey or shikwa sy bacahye.ameen
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Shikwa*
Allah hamein 70 maaoun sy zaida chahta hy or…
Os k har faislay mein he hamaray leay behtari posheeda hoti hy, chahey ham ossay samjh saken ya nahi… magar hamaray leay koe faisla hikmat sy khali nai hota.
Kia ham ny kabhi socha k Allah ke is qadar muhabat k bawajood ham OS k faislon par aitraz or OS sy shikwa kar k ham kaisay gunah k murtakib hotay hein…??
Think about it….!!
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Shikwa*
Kabhe socha k ham shikway mein kion jatay hein…??
Is ke waja Allah par eman ke kami or…
Os k har faislay k behtareen honay par yakeen ke kami hamein shikwa mein mubtala karti hy.
Allah hamein eman or yakeen ke mazbooti ata farmaye.ameen
Dil sy Dua :)
5


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Shikwa*
Ham aik taraf tou Allah sy muhabat k daway kartay hein…
magar sath he Allah ke pasand or Os k hukam k moutabiq hoay faislay par shikwa bhe kartay hein…
Baaz aoqat ham zaban sy os shikway ka izhar tou nai krtay…
magar hamaray dill mein shikwa maojood hota hy.
Zara sochiye…!!
Kia ye khulla tazzad nahi…?
Dil sy Dua :)
6


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum :-)
*Shikwa*
Ham shikway mein tab jatay hein…
Jab ham samjhtay hein k ye hamara haq tha or hamein kion nahi deya geya…
Afsoos hamare aisi soch par…!!!
Jaisay aisi soch shikway he surat baidar ho faoran khud ko aajzi mein ly jaein or jo kuch atta keya Allah ny apnay khaas fazal sy os par shukar karein k ham tou is k laaiq bhe nai thay…
Tera karam k Too ny ye sab atta keya…
Tou shikway sy bach saktay hein.
Try it…!!
Allah hamein shikwa sy bachaey or dillon ko aajzi mein jhukaey rakhay.ameen
Dil sy Dua :)
7


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *