Topic 31 : Mohasba e nafs

*Ihsas ke kiran*

Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Nafs…. bohat ziada nuqsan pahonchanay wala dushman hy.
Ye is leay bhe nuqsandeh hy k ye hamaray andar rehnay wala dushman hy…
Jaisay koe ghar mein chupa ho….
Shaitaan k baray mein Piaray Aaqa S.A.WW ka farman hy k…
“Shaitaan Ibne Aadam mein khoon ke tara chalta hy”
Allah hamein har sharr sy apne panaah mein rakhay.ameen
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Nafs…. nafs or shaitaan hamaray khoulay doushman hein laikin in ke saazishon ko samajhna bohat mushkil hota hy.
Ye hamein aisi cheezon ke taraf maail karta hy jo bazaahir bohat ache maloom hoti hein… laikin is k nataaij achay nahi hotay… is leay is ke dushamni ko samajhna mushkil ho jata hy.
Allah hamein nafs ke dushamani sy mehfooz rakhay.ameen
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Agar ham apne ghalti ka faoran muhasba kar lain, jaisay k Hazrat Ayisha r.a farmati hein k,
Mere Baba Hazrat Abu Bakar Sideeq r.a ny apnay duniya sy parada karnay k waqt farmaya, main Umar sy ziada kisi ko dost nai rakhta.
Phir faoran he kaha k
Aey ayisha abhe main ny kia kaha?
Tou main ny in k alfaaz duhra deay
Tou farmaya k ye tou mere moun sy nikal geya, warna mera matlab ye tha k zinda insano mein sy mujhy Umar sy ziada koe shakhs azeez nahi.
In aalla hastion ny zaban sy sarzad hoe choti se laghzish ka bhe muhasba keya or osay faoran durust keya… kion k Allah or Allah k Habeeb S.A.WW sy ziada koe mehboob nahi ho sakta.
Allah hamein bhe faoran aisay he muhasba karnay ke taofeeq atta karay.ameen
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Kae bar logon k sath moaamlaat or ta’aluqaat mein koe amal kartay hoay ham ye kehtay hein k… ye Allah ke raza k leay kar rahay hein…
Laikin aksar hamaray logon k sath ta’aluqaat mein behtari ya kami hamaray dil par asar andaz honay lag jati hy.
Sochiye…!!
k agar aisa hota hy tou kia wo amal ham logon k leay he anjaam nahi dy rahay thay…??
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Hamaray leay apna muhasba is leay mushkil hota hy kion k hamein hamysha dosron ka muhasba karnay ke aadat hoti hy… apne is aadat ko bhe ham chahein tou acha istamal kar saktay hein.
Jaisay he hamein kisi k buray amal ka muhasba karnay ke soch aey tou aik baar khud ko bhe check kar lain k kia ye amal mujh mein bhe hy…???
Agra hy tou isay chorrnay k leay Allah sy madad maangein…
Or
Agar nahi hy tou Alkah ka shukar adda karein.
Is tara doaray shakhs sy tawaju hatta kar ham apna muhasba ziada ache tara kar saktay hein.
Try it.. !
Dil sy dua:)
5


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Har kamha do tara ke aawazein hamein aone taraf bulaati hein..
Aik aawaaz Allah or Piaray Aaqa S.A.WW ke taraf bulati hy…
Jab k dosri aawaaz nafs shaitaan or duniya ke taraf bulati hy.
Ab jis ko jo aawaz or bulawa pasand hota wo labaik kehta hoa osi taraf chal parrta hy or apne manzil ka ta’aiyoun khud karta hy k marnay k baad is ny kahan jana hy…
Aaj intahaai ghaor sy apna muhasba karein k ham kis aawaaz ko pasand kartay hein…??
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Al Quran Surat Al Airaaf
Aayat 201
“Beshuk jin logon ny parhaizgari ikhtiyar ke hy, jab ounhein shaitaan ke taraf sy koe khiyal bhe choo laita hy (tou wo Allah k amar o nahi or shaitaan ke dushmani) ko yaad karnay lagtay hein… so osi waqt oun ke baseerat ke aankhein khoul jaati hein.”
Dil sy dua :)
7


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhasba E Nafs”
Allah ke aashnai or qurb paanay ke khwahish mein agar koe apna qadam barrhana chahta hy tou is ka pehla qadam he muhasba e nafs hy…
aap k khiyal mein kia aisa hy…???
Dil sy dua :)
8


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *