Topic 32 : khud pasandi

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Apnay he zaahir ke muhabat mein mubtila ho kar sirf apni he zaat ko har zavia e nazar sy behtareen dikhana, samjhna or is par yakeen rakhna khud pasandi hy.
Jab ham khud ko khud he judge kartay hoay har moamlay mein khud ko acha samjhtay hein tou khud pasandi ke daldal mein phanstay jatay hein.
Allah hamein khud pasandi sy bachaye.ameen
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Khud pasand shakhs apni khoobion, salahiaton, qabliaton ko apna kamal samjhta or in k bal par hasil honay wali kisi bhe kamyabi ko apnay zaati kamal ka nateeja samjhtay hoay os par itraata hy.
Yehi wajah hy k osko apni zindgi k har maomlay mein har pehloo sy sirf apna aap he nazar aata hy.
Os k andar Allah ke de hoe kisi bhe naimat par shukar ka ihsas nahi uthta kion k wo har shay ko apna fakhar bana leta hy.
Sochiye ….!!
Kia ham bhe aisay he tou nahi kar rahay.
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Khud pasandi zaat ke taskeen ka he naam hy. Or ye taskeeen ham kae pehlooun sy hasil kartay hein.
Apna andaz, apni pasand, apna tareeqay, apna saleeqa, apna rakh rakhaao, apnay asool etc…
Or in sab par kisi k koe tanqeedi comments bardaasht nai karay.
Check our self…!!
Ham kis kis hawalay sy khud pasandi ka shikar hein…?
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Agar hamein ye ihsas ho jaye k hamari tamam achaiyan, khoobian ya ham sy sar zad honay wali bhalaian hamari wajah sy nahi balkay Allah k karam ke waja sy hein. Tou ham khud pasandi sy khud ko bacha saktay hein.
Agar ham khud ko “main kuj v nai” samjhein, yani ye ihsas rakhein k apna koe kamal nai agar mujh par mere Malik ny ye meharnbani na ke hoti tou main is laiq nai ho sakta tha. Is k sath Allah k samnay ajizi ay jhukna or shukar k ihsas mein rehna bhe hamein khud pasandi ye bachata hy.
Allah hamein ajizi or shukar k ihsas ata karay.ameen.
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Khud pasand shakhs apni he zaat ko mehvar banaye rakhta hy. Wo boht kamm kisi or ke khoobi ya achai ko tasleem karta ya oske tareef karta hy. Is ka matlab ye hoa hy khud pasandi hamaray dil ko tang kar deti hy or ham itnay kam zarf ho jatay hein k kisi ko khud sy behtar nahi samjhtay. Balkay is k bar akss ye tawaqou rakhtay hein k har koe hamarai achaion ka aitraf karay or agar koe aisa nahi karta tou mazeed fakahr or takabour mein aa jatay hein. Kion k tab khud pasandi hamaray anadar mazeed ana bharti hy k hamein is bat sy koe farq nahi parrta k koe hamari zaat ko eham samjhta hy ya nai. Youn khud pasandi ke waja sy ham mazeed kae tara apni he zaaat k jaal mein phanss jatay hein.
Think about it…!
Dil sy Dua :)
5


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Khud Pasandi*
Khud pasand shakhs apnay aaap mein he itna goum hota hy k…
Wo doaron ko khaatir mein nai lata…
Os ko aonay siwa koe nazar he nai aata…
Or na wo kisi or ko is qaabil samajhta hy k o par tawaju de jaey…
Allah ahmein is buraai sy bachaey.ameen
Dil sy Dua :)
6


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *