Topic 33 : Mohabbat e Quran

*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Allah sy Muhabat ke alaamat Quran sy muhabat hy,
Aaj thori dair Quran pak ko samnay rakh kar piar sy daikhein aisa lagay ga.
Jaisay Quran Pak Keh raha hy k main Allah Zuljallal ka kalam hon. Main jis k dil ke zeenat ban jata hon wo Noor sy Munawar ho jata hy, main dil ka Saroor or ankhon ke thandak hon.
Main Roz-E-Qiamat Allah ke Bargah main Shafa’at karaon ga,
Main Rushd-o-Hidayat ka Menaar hon, main sab sy Afzal-o-Aazeem kitab hon,
Mere andar Israar-o-Ramoz or Hikmaton k By Kinaar Samandar hain.
Mujhy Zindagi k har Maslay main Ta’qiyamat Rehnumai ka Sharf Hasil hy,
Mujhy dekhna, Parhna, Sunna or Aamal karna sab Ibadat hy.
Mujh sy Muhabat Allah sy Muhabat or Allah k Mehboob S.A.WW sy Muhabat ka Sabot hy.
Or buhaaat kuch…
Agar aap sachay dil sy Aik bar bhe ye aawaz sun laitay hain tou by’ikhtiyar Quran pak ko Seenay sy lag lain.
Ye suchi Muhabt ka pehla qadam ho ga….
Dil sy dua :)
1


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alaikoum
“Muhabat-E-Quran”
Allah sy Muhabat Quran pak sy Muhabat hy…
Hazrat Zun’noon Misri r.a shuru main sharab ka nasha kea kartay thay.
Aik din kahein chalay jaa rahay thay k… gandgi par aik Kaaghaz par lafaz “Allah” likha dekhai deya…
Kaaghaz ko wahan sy nikala or ounchii jaga par rakh dea…
Allah ko Aap ka lafaz “Allah” k sath ye aadab itna pasand aya k…
Is k silay main Aap aoliyaa main sy hoay.
Dil sy dua :)
2


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran*
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Kitab Allah sy aik harf parhna aik neki hy.
Or wo aik neki 10 nekiyo k barabar hy…
Main nahi kehta k “Alif,laam,meem” aik haraf hy.
Is main ‘Alif’ aik haraf hy.
‘Laam’ aik haraf hy.
Or ‘Meem aik harf hy…
Quran-o-Hades sy Muhabat karnay walay kehtay hain.
K jab Alif likha jata hy… Tou is main bhe, Alif,laam,fy 3 haraf hy…
Jb ‘Laam’ likha jae tou is main laam,alif,meem 3 harf hain…
Or jab ‘Meem’ likha jae, tou is main meem,ye,meem 3 harf hain.
Is tarha “Alif,laam,meem” parrhnay sy 90 nekiyan milti hain.
Or is tarha agar aik bar Quran Pak ko likha jae, tou sirf aik bar khatam par he nekiyo ke Ta’adad aarbon tak puhanch jae ge.
Dil sy dua :)
3


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Quran Pak Allah ta’ala ke Pur Aazmat Kitab hy.
Jo piaray Aaqa S.A.WW par nazil hoe…
Ye Qiyamat tak k Tamam Insanon k liye mukamal Zabtaey hayaat hy.
Is ko parhna, Samajhna, Ghour-o-Fikar karna or phir apnay aamal-o-aafal ko in k ihkamat k taabay karna he dunia or aakhrat ke kamiyabi ke kunji hy.
Dil sy dua :)
4


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Allah ny Quran pak ko Aarbi zuban main naazil farmaya…
Jo sab sy ziyada Faseeh-o-Balegh hy…
Is main zaer, zabar, paish ke tabdeli sy alfaz k matlab kahein sy kahein puhanch jatay hain.
Fakhr-ud-Deen Razi r.a ny 24 aisay maqamat ke nishandahi ke hy…
Jis main zara se ghalti kufr-o-Shirk ka baais ban jati hy…
Aey Allah..!! humein Quran ko Muhabat k ihsaas or piaar sy parhnay ke tofeq dy. Ameen
Dil sy dua :)
5


*Ihsaas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Taorait main Allah ka irshaad hy k…
Mere banday tujhay sharam nahi aati k agar teray bhai ka khatt tujhy milta hy.
Tou too rastay main chaltay chaltay ruk jata hy.Ya rastay sy alag ho kar beith jata hy.
Is ka aik aik harf parrhta hy Or is main ghaor karta hy…
Or ye kitab Mera Muqadas Nama-o-Khatt hy.Main ny teri taraf bheja ta k too is main ghaour karay…
Or is par aamal karay. Lekin too is sy inkar karta hy…
Or amal nahi karta…
Or agar parrhta bhe hy tou ghour-o-fikar sy kam nahi laita.
Khud ko Cheak karein k hum kia kartay hain…??
Dil sy dua :)
6


*Ihsas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Quran pak main do Qisam ky ehkamat par zor diya giya hy.
Aik wo jin ko karnay ka hukam diya gia hy…
Or dosray wo jin sy mana kia gia hy…
Maslan Kufar o Had sy tajawaz karna, nashukri, zulam, Bad-diyanti, ghebat, fasaad, khayant, fazol kharchi, takabur….etc
Allah humein in tamam bemaarion sy bachmay k liye apni panah main rahay.ameen
Dil sy dua :)
7


*Ihsaas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Quran pak main in logon ke sifaat ka zikar bhe hy…
Jin sy Allah muhabat karta hy… Or aise sifaat ka zikar bhe jinko Allah pasand nahi karta… Or aisi sifaat rakhnay walo sy bhe muhabat nahe karta.
Agar hum Quran main batai hoi,
In logo ke sifaat ko apnana chahein jin sy Allah muhabat karta hy… Tou wo ye hain…
Ihsaan karnay walay…
Touba karnay walay…
Aehad k paband…
Parhezgaar…
Sabar karnay walay…
Tawaqal karnay walay…
Aadal karany walay…
Allah ke razaa k liye jahaad karnay walay…
Think about it….
Dil sy dua :)
8


*Ihsaas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Har shakhs ke Muhabat k Ihsasaat juda juda hote hain…
Or Waqt k sath sath andaz badaltay rehtay hain.
Jaisa k
“Main jab bhe Quran pak ko kholoun… Tou dil main muhabat bhar jati hy. Or by-ikhtiyar mera hath ayat par phernay lagta hy… K ye mere Allah ke mere liye baatein hain”
Is waqat mujhy lagta hy k… Is kalam main chupii Allah ke apnay bandon sy muhabat ka ihsaas lafzon or mere hathon sy hota hoa mere andar utar jata hy.
Try it…!!
Dil sy dua :)
9


*Ihsaas ke kiran*
Asalam 0 alikoum
“Muhabat-E-Quran”
Hazrat Sahil bin Abdullah r.a farmatay hain.
Allah sy Muhabat ke aalamat… Quraan kareem sy Muhabat hy…
Allah r Quran sy Muhabat ke aalamat… Piaray Aaqa S.A.WW sy Muhabat hy…
Piaray Aaqa S.A.WW sy Muhabat ke aalamat… Sunat sy Muhabat hy…
Sunat sy Muhabat ke aalamat… Aakhrat sy Muhabat hy…
Aakhrat sy muhabat ke aalamat… Dunia sy bughaz-o-nafrat hy…
Or dunia sy Bughaz-o-nafrat ke aalamat ye hy k…dunia sy sirf is qadar ly jao,jo aakhrat k liye Zaad-e-Raah ban sakay.
Cheak karein….!
K aalamat e Muhabat hum mein bhe hain ya…
Dil sy dua :)
10


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *