Topic 34 : Ehsas e Kamtari

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Kisi aik ya aik sy ziada pehlooun sy apny aap k dosron sy kam tarr honay ka ihsas ko ihsas e kamtari kehtay hein…
Jab ham andar he andar apni zaat k mukhtalif pehlooun sy mouwazna, doosron k sath kartay hein tou hamein apni kisi kami beshi ya khaami k ihsas hota. Ham os khaas pehloo k hawalay sy doosron ko standard ya ideal bana kar khud ko judge karna shuru kar daitay hein or youn hamaray andar ihsas e kamtari paida ho jata hy.
Think about it…!!
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Ihaaa e kamtari mein mubtala shakhs har zaviya sy sirf apne khamion ko he daikhtay hoay mayousi mein chala jata hy…
Halan k agar ghor keya jaey tou Allah ny har shakhs ko zahiri or baatni taor par bohat se khoobiyaan atta ke hoe hein…
Ihsas e kamtari hamare oun khoobion ko bhe daba daiti hy or isi leay ihsas e kamtari mein mubtala shakhs Allah ke atta karda khobion sy na tou khud faida haasil kar sakta hy or na he dosron k leay faaiday ka baais ban sakta hy.
So be careful…!!
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Ihsas e kamtari mein mubtila honay ke buniyadi wajah andar dil mein Allah par yakeen ke kami hoti hy.
Jab hamaray mein Allah par yakeen mazboot hota hy tou hamein ye bhe yakeen hota hy k OS ny hamein jo, jaisay or jitna kuch atta kea hoa hy… wohi hamaray leay behtareen hy or isi yakeen ke wajah sy ham mutmaien or khush rehtay hein….
Yehi andar ka mazboot yakeen hamaein bahir ke dunia mein bhe purr aitamad rakhta hy or ham chahey kisi bhe tara k mahaol ya halaat mein hon… Allah par yakeen ke wajah sy
har tara k haal mein mutmain or khush rehtay hein or yehi cheez hamein ihsas e kamtari sy bachati bhe hy.
Think about it…!!
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Ihsas e kamtari boht se or bouraion ke jarr bhe hy.
Ihsas e kamtari k shikar shakhs ke soch mehdood honay lagti hy, moamlat or cheezon ko dekhnay ka zavia e nazar manfi ho jata hy. Wo apnay aass pass k logon k baray mein bad guman rehta hy or youn na sirf wo logon sy kat’ta jata hy balkay os k andar ke negativity osk or Allah k darmian talouq ustwaar krnay ke raah mein rukawat ban jati hy.
Wo khud ko ahista ahista mayoosi or mazloomiyat ke tarf leay ja raha hota hy or ossay ihsas tak nahi hota k wo haq ke raah sy dour ho raha hy.
Check our self…!!!
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Baaz aoqat ham kisi shakhs ko oske kisi khaami ka bar bar ihsas dilatay hoay…. os sy ghair zaroori hamdardi or zaahiri dil joee ka izhar kar k… osko ihsas e kamtari mein mubtila kanay ka baiess ban jatay hein.
Farz karen k kisi mein koe khami ya kami beshi maojood hy bhe tou ossay apnay is qism k rawaiye sy ihsas e kamtari mein mubtala karnay ke bajaye….
behtar hy k ham ossay Allah k yakeen or piar ka ihsas denay ke koshish karen or osay os khaami par qaboo par kar nikalnay ke umeed afza raah dikhaein….
Ta k wo apnay aap ko ihsas e kamtari sy nikalnay ke tagg o dao shuru karay or is sy nijat paa kar aik behtar zindgi ke tarf qadam barrha sakay.
Koshish karen…!!
K Allah aap ko kisi bhe aisay ohansay shkhs ko nikaalnay ka baais banaey.ameen
Dil sy Dua :)
5


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Ihsas e Kamtari*
Ihsas e kamtari sy bachnay ya nijat panay k leay aik behtareen nukta ye hy k Allah k diye hoay par razi raha jaye or Allah k piar or hikmat ko samjhanay ke koshish ke jaye kion k isi sy andar Allah ka yakeen barrhay ga or ham khud ko shikway or mazloomiat sy nikalnay ke koshish mein lagein gy tou he ihsas e kamtari sy nijat mil sakay ge.
Allah hamein is sy bachaye.
Ameen
Dil sy Dua :)
6


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *