Topic 38 : Razaa

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Allah ke raza mein razi rehna tab he mumkin hota hy…
jab hamaray andar Allah ka ihsas or Allah ka yaqeeen pukhta ho…
Is ihsas or yaqeen k honay par he ham kisi bhe maomlay mein Allah ke raza mein razi hotay hein… chahay bazahir os mein behtari ya bhalai ham deikh saken ya nahi… magar is k bawajood dil ka emaan ho k Allah hamaray leay kabhe bhe behtareen k siwa nahi karta or oska koe kaam hikmat sy khali nahi hota.
Ye tou ho sakta hy k ham os hikmat ko samjhnay ke taqat ya deikh saknay ke nazar na rakhtay hon magar Allah ke tarf sy har faislay or moamlay mein hikmat or bhalai maojood zaroor hoti hy. Or osi posheeda bhalai or behtari par dil sy eman rakhna hamein Allah sy shikwa karnay sy bachata or raza par kharra rakhta hy.
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Allah ke raza mein razi rehnay wala….
hamysha har hal mein Allah k hukam par sar he nai balkay dil jhukatay hein.
Wo hukam k banday hotay hein or hukam ke baja awari par khush rehtay hein.
Allah k hukam ko Allah ke chahat or pasand k moutabiq baja lanay ke behtareen koshish karnay walay Allah ke raza ko panay walay hotay hein.
Allah hamein bhe apnay aisay bandon mein shamil farma ley.ameen
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Allah ke raza mein razi rehnay walon k dil hamysha itmenan mein rehtay hein.
Un k qalb o rooh par sakeenat outarti hy.
Wo kisi bhe tara k halaat mein khof o gham ka shikaar nahi hotay. Kaisay he halat o waqiat paish aen, Allah k piar ka ihsas oun k Allah par yakeen ko mazboot rakhta hy… Or oun k dil ka eman aisa hota hy k na wo dagmagatay hein or na oun k qadam haq ke raah par larrkharratay hein.
Wo sar e tasleem kham kar k Allah ke raah par qurbat k safar mein har tara ke azamaish sy hans kar guzartay hein or qadam qadam aagay barhtay hein or lamha lamha shukar baja latay hein. Yehi shukar ka ihsas jab barhta hy tou Allah ounhein apni raza mein mmazeed razi rehnay ke taofeeq ata farmata or apnay qurb sy nawazta jata hy.
Allah hamein bhe aisi he raza mein razi rehnay wali dil ke halat ata kar dey.ameen
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Ham Allah ke raza mein tab razi nahi reh patay jab hamein mehaz sochon mein ye yakeen ho or ham sirf zabani kalami ye izhar karen k Allah hamein 70 maoun sy zaida piar karta hy. Ye hamara Allah par sirf rasmi sa yakeen hoa, kion k hamaray dil mein ye yakeen nahi outra hota isi leay tou ham zara sa taiz hawa ka jhonka chalnay par bhe ghabra jatay hein or pareshani ka shikar ho jatay hein. Yani koe bhe agar hamari chahat, marzi or khawhish k bar akss ho tou ham oss ko qabool karnay mein pass o paish sy kaam laitay hein.
Hamein andar sy ye yakeen he nahi hota k Allah hamein piar karta hy or osk har faislay mein hamaray leay piar chuppa hota hy.
Agar hamein ye yakeen ho jaye tou ham aik lamha k leay bhe na jhijhken or faori taor par hamara dil Allah ke marzi par razi ho jaye.
Sochiye ….!
kia hamara dil Allah ke marzi ko qabool karta hy?
Dil sy Dua :)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Jab ham Allah ke raza mein razi rehtay hein… tou hamaray ihsas, soch or amal sy is ka izhar bhe hota hy.
Zindgi k mukhtalif mamoolat, moamlat, faraiaz k hawalay sy… hamaray andaz e fiker, zavia e nazar or hamaray amal or os amal ko kartay hoay hamaray dil ke halat ka behtareen level par hona ya na hona… ye sabit kartay hein k ham kis tara sy Allah ke raza mein razi rehtay hoay ounhein behtareen taor par ada karnay ke koshish kar rahay hein.
Apna jaiza lein…!!
Ham aisa kartay hein ya nahi…?
Dil sy Dua :)
5


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Raza*
Jab ham apnay har amal ka ta’alouq Allah sy jorr kar… osay Allah ke marzi k moutabiq karnay ke koshish… Allah ko razi karnay k leay lagtay hein tou osi sy Allah ke raza hasil hoti hy.
Kion k tab ham apnay har moamalay ko Allah ke taraf sy samjh kar ossay behtareen andaz mein nibhatay hein tou wo amal, moamala ya mamool hamaray leay Allah ke raza ko haasil karnay ka sabab ban jata hy.
Try it…!!
Allah hamein bhe aisa karnay ke taofeeq dy.ameen
Dil sy Dua :)
6


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *