Topic 39 : Ramzan

*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Ramzan k Mahenay main hum buhat kuch sy parhez kartay hain… Takay rozay ka haq ada kar sakein.
Rozay k doran sab sy mushkil or zarori kam jis sy hum rozay ko Allah ke raza k mutabiq guzar kar apnay amal ko zaya hönay sy bacha saktay hain…
Wo zuban par cantrol hy… Aaj sy hum khanay penay k har parhez k sath zuban par he cantrol karein gy… InshAllah.
Dil sy dua :)
1


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Hazrat Abu Saeed khizar r.a sy rawayat hy k…
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“jab subha hoti hy tou jisam k sab aaza zuban sy kehtay hain k… Humaray baray main Allah ka khof rakhna… agar tu seedhi rahay ge. Tou hum bhe seedhay rahein gay… Or agar tu darust na rahe tou hum bigar jaein gay.
Dil sy dua :)
2


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
“Allah ramzan k mahenay main farmatay hain… K har aik neki ka badla 10sy 70 guna tak atta farmata hon. Magar roza khalis mere liye hy…
Or is ke jazaa main khud deta hon”
Think about it…!!
Dil sy dua :)
3


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Hazrat Uqba bin Umair r.a ny…
Piaray Aaqa S.A.WW sy pocha k,
Nijaat ka Zariya kia hy??
Aap S.A.WW ny farmaya…
“Apni Zuban ko Qabo main rakhna or apnay gunahon par rona”
Hum rozay mein khanay peenay main tou khud par aasani sy qabo pa letay hain. Par zuban par qabo….???
Sochiye ga zaror…!!
Dil sy dua :)
4


*Ihsaas ke Kuran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Roza dar ka sona ibadat hy… Sans lena tasbeeh or dua qaboliat ka baais hy”
Aye Allah…!
Humein in tamam aamal sy parhez ke tofeq atta farma dy… Jin sy rokna rozay dar k liye zarori hy… Ameen
Dil sy dua :)
5


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Sabar aadha Emaan hy… Or Rozaa aadha sabar hy”
Kia ham is tara sy emaan ke jaanib qadam.barrha rahay hein…???
Dil sy dua :)
6


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Shetan Allah ka dushman hy… or nafsani khuwahishat is ka lashkar hain…
Or roza sheitan k lashkar ko shikast deta hy…
Aaj hum Allah sy taqat mangtay hain k… Rozay k doran khuwahishat-e-nafs par qabo pa kar shetan k lashkar ko shikast dy sakein…
Ameen
Dil sy dua :)
7


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Aadmi ke Aksar khataein zuban k sabab hoti hain… Is liye jo roza dar khud ko aise buraiyo sy nahi bachata…
os ke misal aesi he hy jisay koi bemar khanay peenay main tou parhez karta rahay… Lekin Zehar istamal karta rahay…
Allah humein achai or burai main tamez atta kar dy… Ta k hum kuch bhe bolnay sy pehlay is ke haqeqat jan kar khud ko is burai sy rok lein… Ameen.
Dil sy dua :)
8


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Bohat bar hum ye kehtay hain k… Koe pata nahe hum kal hon ya na hon…
Lekin kia kabhe hum ny ye bhe socha hy k… Kahein humara ye aakhri ramzan he na ho…
Sochiye ga zaror…!!!
Dil sy dua :)
9


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“5 chezein rozay ko torr deti hain…
1=Jhout…
2=Gheebat…
3=Chughli…
4=Jhouti Qasam khana….
5=Shehwat k sath kisi ke taraf dekhna…
Sochiye…!!
Kia hum apnay rozon ke hifazat ka khiyal karty???
Dil sy dua :)
10


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya k…
“Buhat sy rozay dar aese hain k… Jinhein bhouk or piyas k siwa rozay sy kuch hasil nahe hota”
Yani roza sirf bhokay or piyasay rehnay ka name nahe… Is k sath humein or bhe buht se baaton ka khiyal rakhna hota hy…
Kia ham rakhtay hein…??
Allah humein rozay ke asal rooh ko samajhnay ke tofeeq ata kare ameen
Dil sy dua :)
11


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny irshad farmaya k…
“jis ny ramzan k aanay ke khushe manai…
Allah isay aik saal tak khushe naseb farmata hy… or jis ny ramzan k janay ka gham manaya is sy aik saal tak gham dour rehta hy…
Try it…!!
Dil sy dua :)
12


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Jahanum ke agg dunia ke agg sy 70 darja ziada tez or garam hy…
Agar aik dozakhi apnay hath dunia walon k samnay nikal ly tou is ke garmi sy sari dunia jal jae…”
Ramzan main ziada sy ziada apnay gunahon ke mafi mangein takay Allah humein gunahon k aazab sy bachay… Ameen…
Dil sy dua :)
13


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Hazrat Data ganj Bakhsh Ali hajveri r.a farmaty hain k…
Rozay ke haqeqat… Rukna or rukay rehna ke buht sharait hain…
Maslan… Pait ko khanay peenay sy, aankh ko shehwani khuwahish sy, kan ko gheebat sunnay sy, zuban ko fazol goi or fitna angez batein karnay sy,or jisam ko hukam-e-ilahi ke mukhalfat sy rokay rakhna roza hy…
Jab in tammam sharait par banda amal kare ga… Wo haqeqat main roza dar ho ga…
Sochiye…!!
Dil sy dua :)
14


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“kitnay he roza dar aese hain jin ko… Rozon sy siway bhouk piyas k kuch hasil nahe ho ga”
Roza mehaz muqarar karda oqaat k darmian bhouk or piyas bardasht karne ka name nahe…
Balkay rozay ke halat main banda Allah k hukam k mutabiq khud ko dhalnay ke koshish karta hy… Yon roza dar apni bhouk piyas or nafs par qabo pa kar rozay ka haqeqi maqsad hasil karta hy…
Allah humein bhe rozay k asal maqsad ka shaor atta kar dy ameen…
Dil sy dua :)
15


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
“Aye Emaan walo!
Tum par rozay faraz kar diye gaye hain….
Jis tarhan tum sy pehlii umaton par faraz kiye gaye thay….
Takay tum Muttaqi ho jao….”
Rozay ke halat main insaan sehri sy aftari tak bhook piyas bardasht karta hy….or apnay Rab ke raza k liye tamam napasandeda aamal sy bachnay ke koshish karta hy….
Rozay ke halat main roza dar apany aap ko har tarhan k gunah or nafsanii aalaishon sy bachta hy….
Is k nafs ka tazkia honay lagta hey….
Or isay aenda bhe khud ko bachanay ke toufeeq hasil hotiii hy….
Yehi rozay ka maqsad hy…..
Allah humein behtareen tareeqay sy rozay rakhnay ke tofeeq atta karay ameen…..
Dil sy dua :)
16


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya,
“Bara he badnaseb hy….jis ny ramzan paya, lekin is ke bakhshish na hoi”
Agar is mahenay main bhe bakhshish na hoi tou pher kab ho ge.
Allah humein kasrat sy sachay dil sy astaghfar karnay ke tofeeq atta farmay… Ameen.
Dil sy dua :)
17


*Ihsaas ke Kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Allah k liye aada ke gai kisi bhe ibadat ka maqsad mehaz aik mashaq pora karna nahe hy…
Balke is k zahiri r battni adaab ko behtaren tor par baja lana banday ko apnay ihsas, soch, amal main behtari ke taraf raghib karna hy…
Hazrat abu Hurraira r.a sy riwayat hy k Piaray Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“jis shakhs ny rozay ke halat main jhout bolna r is par amal karna na chora tou Allah ko is ke kuch zarorat nahe… K wo (roza rakh kar) apna khana pena chor dy…
Allah humein rozay k mukamal aadab ke pairvi k sath roza rakhnay ke tofeeq atta kare…ameen.
Dil sy dua :)
18


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Hazrat abu Hurraira r.a sy riwayat hy k…
Jis shakhs ny Eman or ihtasab k sath (yani Shariat ko such or farziyat E Ramzan par aetaqad rakhtay hoe) ramzan k roza rakha is k pechlay gunah maf kar diye jatay hain…
Allah ny tamam ibadaton main apnay banday k liye maghfirat o bakhshish ka saman kia hy… Roza bhe aesi he ibadat hy… Or agar koi behtaren tareqay or aadab k sath roza rakhay tou Allah is k pechlay gunah maf kar deta hy…
Allah humein behtaren roza dar bana day…
Ameen.
Dil sy dua :)
19


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Roza badni ibadat hy… Jis ka maqsad tazkia nafs k zariye Taqwa k hasol hy… Baqi tamam ibadaton ke tarhan roza bhe humein Allah k qurb or is ke raza hasil karne ka moqa deta hy….,
Sochiye….!!
Kia hum rozay sy ye maqsad hasil kar patay hain…??
Share karein…!!
Dil sy dua :)
20


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Khiyal rakhiye ga…
Ham sara din roza rakh k… aftaari k waqt itna kaam ya afratafri mein hotay k araam or sakon sy…. os qaboliyat k waqt dua bhe nai maang saktay…
So be carefull…!!
Dil sy dua :)
21


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Khiyal rakhiye ga…
Aftaari k waqt mein apnay irdgirg waalaon ko bhe yaad rakh k…
Kuch na kuch bheijiye ga….
Is tara naiki ke naiki or muhabat barrhany ka bahana bhe…
Try it….!!!
Dil sy dua :)
22


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Hazrat Usman Bin Abi Al Aas r.a sy riwayat hy ,
“Roza jahanum ke aag sy dhaal hy, jaisay tum mei sy kisi shakhs k pass larai ke dhaal ho.”
(Sunan Nissai.)
Roza aisi ibadat hy jis mei banda apnay nafs par qaboo rakhtay hoay, khalis Allah ke raza k hasool k leay khud ko har lamha Allah ke nazar mei mehsoos krtay hoay , bhook pias bhe bardasht krta hy or bouraion sy bhe bachta hy.
Kion k roza ke halat mei banday ko ihsas hota hy k oss sy kuch aisa na sar zadd ho jaye jo roza k adaab k hilaaf ho.
Dil sy dua :)
23


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Agar koe ummati ramzan jaisay rehmaton… barkaton or maghfarat walay dinno sy faaida haasil na kar sakay tou…
Osay kis nazar sy daikhna chahiye…???
Afsoos k khasaray mein raha…
Or os k leay hidayat ke dua karna mat bholiye gaa…!!
Dil sy dua :)
24


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Aik aida maheema jab Allah khush ho baarish ke tara attaein barsata apnay roza daar bandon par…
Check ourselves…!!
Ham ny kitni jhuli phaila rakhi hy…???
Dil sy dua :)
25


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Ramzan ka maheena apnay ikhtataam k qareeb ja raha hy…
Apna jaaiza lejiye…!!
Hamein ihsas hy k hamaray pass din bohat kam hein jab k….
Hamein wasool ziada karnay ke zarorat hy…
Tou aik lamha bhe zaya na honay dejiye…!!
Dil sy dua :)
26


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Ghor karen k hamaray ird gird boht say log rozay ke fazeelat sy…
ya tou la ilm hein ya ilm honay k ba wajood billa uzr rozay baqaidgi sy nahi rakhtay.
Apnay ird gird maojood aisay logon ko targheeb denay ke koshish karen ta k wo bhe is maheenay ke barkat sy faiz yab ho saken.
Try it….!!
Dil sy dua :)
27


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Check ur selves…!!
Kahein aisa tou nahi k eid ke taiyariyaaan aap ko in dinno ke ibadaat ko mutaasir tou nai kar rahein.. ???
Agar aisa hy tou…
Be carefull…!!!
Dil sy dua :)
28


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Ramzaan ka ikhtataaam….
Aik piara dost maheena ham sy bicharnay ko hy…
Jis ka hona hamare duaoun ke qaboliyat ke waja tha…
Is leay aaj ka din lamha lamha lab par bus yehi dua k…
Aey Allah…!!
Mujhy he nai bulky Piaray Aaqa S.A.WW ke tamaam ummat ko jahanum sy bacha k jannat atta farma dy.ameen
Dil sy dua :)
29


*Ihsaas ke kiran*
Asalam-o-Alaikoum
“Ramzan”
Is khushion or fazeelat bharay maheenay k mukamal honay par aap kia mehsoos krtay hein…
Ap ka ye Ramzan Kaisa guzra…?
Apnay ihsas share karen.
Dil sy dua :)
30

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *