Topic 40 : Ayat e Qurani

“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Allah se Darna”
Al’Quran sorat Al-e-Imran Ayat 198…
“lakin jo log apne Rab se dartay rahay,in k leay bahishtain hein,jink nechay nehren behti hein,wo in meim hamysha rehne walay hein, Allah k haan se inki mehmani hy,or jo kuch bhe Allah k pas hy wo naik logon k leay bohat he acha hy”
Darne wala he khud ko bachaey ga buraion se or jis ne khud ko buraion se bacha lia wohe kamiyab hy.
Dil se dua :)
1


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Aazmaish”
Sorat Ankabot ayat, 2,3.
“kia ye log khiyal krtay hein k,siraf k ink itna kehnay se k ham eman lay aey hein,chor diay jaein gay, or inki azmaish nhe ki jaey ge, or byshak ham ne in logon ko bhe azmaya tha, jo in se pehlay thay,so Allah Yaqenan in logon ko zaror azmaish k zarye numayan farma dy ga,jo dawa eman mein sachay hein,or jhoton ko bhe zrur zahir kr dy ga”
Allah hamein aisa eman ata kr day,jo hamein hr azmaish mein Tere taraf se bhalai ki umeed k sath khara rakhay. Ameen
Dil se dua :)
2


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Akhrat ka Din”
Quran Sorat Nisa Ayat,136.
“Ay emaan walo!
Tm Allah par , isk Rasool S.A.WW par or is kitaab par jo is ne Apne Rasool S.A.WW par nazil farmai,or Is kitab par jo Is ne is se pehlay utari theen emaan lao,
or jo koi Allah ka, Isk Frishton ka, Iski Kitabon ka , Isk Rasolon ka, or akhrat k din ka inkaar kray, tou byshak wo door daraaz ki gumrahi mein bhatak gea”
Aakhrat ka din dunia mein kiye gaey aamal ka din hy Hisaab ka din…
Dil se Dua :)
3


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Bhalaai Buraai”
Al’Quran, sorat Nisaa, ayat 79.
“Ay Insan apni tarbiat youn kr k, jb koi bhalai pohnchay tou smajh k wo Allah ki taraf se hy,isay apni Haseen tadber se mansoob na kr,or jb tujhay koi burai pohnchay,tou smajh k wo tere taraf se hy,yani isay apni kharabi-e-nafs ki taraf mansoob kr, or Ay Mehboob ham ne AAP S.A.WW ko tmam insano k leay Rasool bna kr bhaija,or AAP S.A.WW ki Risalat par Allah gawahi mein kafi hy.
Dil se Dua :)
4


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Atta’at krne walon par Allah ka fazal”
Al’Quran sorat Nisaa,Ayat 69,70.
“or jo koi Allah or Usk Rasool S.A.WW ki ata’at kray,tou yehe log roz e Qayamat In Hastiyon k sath hon gay, jin par Allah ne khas inaam farmaya hy,jo k Ambiya, Siddiqeen , Shuhada , or Saliheen hein or ye Bohat achay sathi hein ye fazal khas Allah ki taraf se hy or Allah jan’nay wala kafi hy..
Dil se dua :)
5


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Allah ka Zikar”
Al Quran surat Ankabot aayat 45.
“or waqar Allah ka zikar sab sy bara hy. Or Allah in (kaamon) ko janta hy jo tm kartay ho”
Aye Allah humari zuban or dil ko har lamha apnay zikar k noor sy sajay rakhna. Ameen.
Dil sy dua :)
6


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Allah k Maqbol banday”
Al Quran Surat Furqan ayat 63…
“Or Khuda-e-Rehman K Maqbol banday wo hain jo zameen par aahistage sy chaltay hain.
Or jab in sy jahil log bat kartay hain tou wo salam kehtay hoe alag ho jatay hain”
Allah k maqbol banday jahilon ke larai or fasad phelanay ke baton par bhe ghusa nahe kartay… Balke Salamti ke dua detay hain. Or fasad sy bachnay k liye wahan sy hatt jatay hain.
Dil sy dua :)
7


“Ihsas ki kiran”
Asalam o alikoum
*Aayat-E-Qurani *
“Momineen ki Sifaat”
Al’Quran Sorat Al-e-Imran,ayat 17.
“ye wo log hein jo (mushkilat mein) sabar krtay hein,or Qul-o-Amal mein sachai walay hein, or Adb o atta’at mein jhuknay walay,or Allah ki rah mein kharch krne walay hein, or pichli rat ko gunahon ki mafi mangne walay hein”
Allah hamein bhe In sifaat ki khairaat ata kr day.ameen
Dil se Dua :)
8


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Aakhrat sy ghaflat”
Al Quran Surat Atakasur ayat 1,2
“Tumhein Kasrat amal ke hawas or fakhar ny (aakhrat sy) ghafil kar diya. Yahan tak k tum Qabron main ja Puhnchay”
Dunia ke khuwahishat barhti he jati hain… Or in ko hasil karne ke chahat ny humein akhrat sy ghafil kar diya hy. Jab k humari barhti hoi duniavi hawas ke agg ko sirf qabar ke matti he thanda kar sakti hy.
Allah humein duniavi hiras-o-Hawas sy acha kar apni panah atta karay… Ameen
Dil sy dua :)
9


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Insaan”
Al Quran Surat ul ma’arij ayat 19,20.21…
“Byshak Insan bysabar or lallchi paida hoa hy. Jab isay koi Musebat ya (mali nuqsan) puhnchay tou ghabra jata hy… Or jb isay bhalai ya (mali farazi) hasil ho tou bukhal karta hy”
Allah humein apnay pasandeda amal ke tofeeq atta kar dy. Ameen.
Dil sy dua :)
10


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Aik Naseehat”
Al Quran Surat ul hujrat ayat 10…
“Baat ye hy k (sab) Aehl-e-Eman (Aalameen) bhai hain. So tm apnay bhaiyon k darmiyan sulah karaya karo.
Or Allah sy dartay raho k tum par reham kia jae”
Khiyal rakhna ho ga k humari kisi bhe bat sy logon k dilon main doriyan na aein. Balke jahan tak ho sakay k hum logon k darmian faslay kam karnay ka baais banein ameen…
Dil sy dua :)
11


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Ghaafil log”
Al Quran surat ul aaraaf ayat 179…
” or byshak hum ny jahanum k liye jinon or insano main sy buhat sy (afrad) ko paida farmaya, wo dil or (dimagh) rakhtay hain (magar) wo in sy (haq ko) nahi samajhtay or wo ankhein rakhtay hain (magar) wo in sy (Haq ko) nahe daikh saktay. Or wo kaan bhe rakhtay hain (magar) wo in sy (haq ko) nahi sun saktay.
Wo lo janwaron ke tarhan hain.
Balke (in sy bhe) ziyada gumrah, or wohe log ghafil hain”
Allah humein ghafil logon main sy na karna ameen…
Dil sy dua :)
12


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Dua”
Al Quran surat ul fatiha ayat 4,5,6,7,…
“(Aye Allah) hum teri he ibadat kartay hain…or hum Tujh he sy madad mangtay hain. Humein sedha rasta dikha… In logon ka rasta jin jin par tu nay Inaam farmaya in logon ka nahi jin par ghazab kia gia or na he gumrahon ka.”
Ameen
Dil sy dua :)
13


“Ihsaas ke kiran”
Asalam-o-Alaikoum
*Aayat-E-Quraan*
“Allah ke Tasbeeh”
Al Quran surat jumma ayat 1.
“Har Cheez jo aasmanon main hy or jo zameen main hy Allah ke tasbeh karti hy jo (Haqeqi) badshah hy (Har Naqs o aeb sy) pak hy. Izaat o ghalba wala hy. Bari Hikmat wala hy” (SubhanAllah)
Allah humaray dilon ko bhe har lamha apni qadar o Sana ke tofeq ata kar dy ameen…
Dil sy dua :)
14


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *