Waqeya # 3 : HAZRAT ALI MURTAZA R.A

Waqeya

Behtarren Namona Bntay hue Rehnumai krnnay kaa…

Ek roz Sakht garmii par rahii thee rait garmii kii tapish syy taap rahii thee issii halat mein Hazrat Ali (RA) sakht khurdara mouta aur paiwand zada kapraa pehn kr bahir nikly .AP(RA) k ashab khny lgy Ya Ameer ul Momineen AP(RA) nyy apny lie is sy ziada naram kapra kun naae pehn lia? AP(RA) ny farmaya k : ” ye kapraa muj syy gharour o takabur ko dour karta hai aur namaz mein khushu khuzoo k liee mawan hai.aur ye logon k lie acha namona hai k log israf naa kren.”
? (khulfa ul Rasool SAWW page 482,483)


 

Hadees

Hazrat Ali R.a ❤ nyy Apni zindagi ko Sunnat Ki behtareen pairvi krty dhala aur Hr Nuqsandeh Amal sy Khud ko door rakhaa..☝

Pyaray Aqa s.aww ? ka farmaan hai ..
Jo admii apny ta’en bara janta hai aur akar kr chlta hai jub wo khuda k samny jaye ga too us ko ghazabnak paye ga…
?(Rawah alhakim fil mustadrik)


Ehsas

pyaray satheyo:

Humaray Pyaray Rehnuma Ny Apnay Amal sy ye btlaya Aurr khud apna zahirr Aisy bnaaya kay Jo unhein ghuroor, takabur aur baraii kay ehsass syy Bachaayee rakhay aurr Qurbat kay safar mein Dunia ki ehmiyat kam sy kamtar aur Baaqii rehnay walay Qurbat kay ehsasat aur sy aur barrhtay jayeen. is sy ye Ehsas bhi hua kay takabur aur ghuroor sy azad hoty jana kaisy humari ibadat mein bhi jazba barhata haii. Humein bhii Aisy Apny dil ko, Zaatt ko, ghuroor sy, khuahishaat sy, bewaja dikhaway sy judaa krty huee Apnay Rab sy miltaay jana haii .. Zahirr sy barh kay Batin Kaaa husn sanwarna haii joo Humein Jhukayee bhi rakhay aurrr Allah Ki nazarr mein Bhii Qareeb sy qareeeb krta jaye.

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *