Waqeya # 2 : HAZRAT ALI MURTAZA R.A

Waqeya

Mamlaat mein hr mumkin koshish sy haq ki raah per chalty narmi aur rawaiya ikhteyar krnay kaa…
Jab Ibn e Maljam ne zeher mein bujhi hui talwar se Hazrat Ali r.a par hamla kiya tha tou Aap r.a ne apne sahibzaday Hazrat Hassan r.a se farmaya: Dekho Hassan ! agar main iss hamla se janbar na ho sakoon to is par aik heeb waar kiya jaye iska mashla hargiz na kiya jaye, Maine Rasool Allah S.A.WW ko ye farmatay huye sunna hai khabardar kisi ka mashal na kiya jaye khwah katha kutta he kyu na ho.
Jab Ibn e Muljimm ko Aap r.a k saamne laya gya to Aap r.a ne farmaya iss ko gariftar karo or iss se narmi ka muamla karo, agar main zindah reh gya to raye qaim karu ga k us ko maaf kardu ya qasas lu or agar mar jaon to aik jaan ka badla srf aik jaan hai.
?(Bahawala Hazrat Ali r.a k faislay, Tasneef Muhammad Abdullah Madni, Pg.177-178)


 

Hadees

Hazrat Ali A.s ❤ ny Apnay Amaall Ko haqeqi rang syy bhra, jis mein Allah aur Us kay Habeeb S.a.ww ? ki pasand ko he Apni pasand bnaya …

Pyaray AQA S.a.ww ka farmaan hai:
Allah Narmi ka mamla karne walay hain, or narmi k mamlay ko pasand farmatay hain or narm khoi par wo ajar ataa farmatay hain, jo tandi or sakhti par nahin dete.
?(Shahih Muslim)


Ehsas

 Pyaray saatheyo

Allah Kay pyaaron ny, pyaray Aaqa s.a.ww ki pairvi mein barhnay walon ny bhi apni zindagi ko Dosron kay liye Rehmat bnaya aur Hrr mumkin andaz sy Narmi kaa Hee rasta Apnanaa pasand kiaa. Apni zaat kayy liyee kabhi Barh kay naa duniavi faida chaha na he Badlaa. Balkay Haq ki Roshni mein Hr mamlaay ko Asool Aur haq andaz sy he Anjam Tk pohanchaya. Humaray Rehnuma Agar Zaati Mafaad aur Badlon Ko pasand na farmaatay, to humein bhi Phir Batil ky Uksaanay Aur bahkaway sy bachna hoga.. bhalai ,narmi aur haq andaz sy He Mamlaat mein utarna hoga, fasaad sy door hotay hue , dushmani aur Nafraton ko barhnay sy rokna hoga, bhalai aur Narmi ka rasta hr rastay sy barh kar Dil o jan sy Apnana hoga. Beshak Qurbat Isii raahh sy hai.

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *