Waqeya # 1: HAZRAT ALI MURTAZA R.A

Waqeya 

Nafss ko hr andaz sy maat denay kaa..
Hazrat Abdullah bin shareek r.a se marvi hai farmatay hain k Hazrat Ali r.a k paas aik martaba falooda laaya gya. Aap r.a ne falooda ko dekh kar farmaya k tu bohat acha khusbudaar or zaiqa wala hai. lekin main gawara nai kartaa k mera nafs is ka aadi banay.

?(Hulia tul Ouliya, Jild 1, Pg 87)


Hadees

Hazrat Ai R.a ❤ Ne AQA S.A.W.W syy Hr hr lamhaa sekhaa aur UNHI ki rehnumaii ko apni zindagi kay hr chotay baray mamlaat mein shamil rakhaa..
Farmaan E Nabi S.aww? hai ..
Nafsani khuwahishat se bache raho kunke ye insan ko andha or behra kar deti hain

?(Kanzul eman)


Ehsas

Pyaray Satheyo:

Allah kii qurbat mein barhnay walon Nyy Apnii Khuaahishaat / Adaat per Gehrii nazarr rakhtyy huee pehchanaa aurr Marnayy kii behteren koshish Apny Amal kay zariye jaari rakhi yahan tkk kay yee koshsih mojodda adaat o khuahishat kay liye to thein he magar sath sath Nafs kay, in khuahishat ko pedaa kernay syy qabl az waqt bhii khud ko alert rakha takeh khuahishaat ko, adaat ko, nafs Kii chahton ko, pedaa honay aur waar krny sy pehlay hee maarr diaa jayee.
hum Bhi agar Allah ki raah per qurbatt Mein aur taizi sy barhnaa chahtay hain to apnay Ap ko naa sirf mojooda khuahishat aur nafs kay jaal sy azad krna hai blky Khuahishaat kyy Sirr uthanay sy pehlay hee khud ko alert rakhna haii aur bachana hai kayy Duniaa Apnii lapait mein Naa le le.

 

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *