Waqeya # 7 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya

Allah Perr Bharosaa krnay Walayy pyarayy Sahabi ka…
Hazrat abdullah bin Saeda r.a fermaaty hain.Hazrat Saeed bin Aas r.a nay hazrat Usman r.a? ki khidmat main aa kr arz kia aeey ameer ul momineen Ap kab tak hamarag haathon ko rokay rakhain gay? hamain tu yee baaghii khaa gaeey koii ham par teer chalata hy koii pathar marta hy ksii ny tilwaar sounti huii hay.lihaza Ap hamain(in say larny ka) hukm dain. Hazrat Usman r.a nay fermaya Allah ki qasam!mra tu in saay larny ka hrgiz irada nahee. Agr main in say jhang karon tu main yaqeenan in say mehfooz ho jaoun ga.Lekan main in ko b r inhn mray khilaf jama kr k laany waalon ko b Allah k hawaaly krta hon. kiyon k hum sab ko apnay rab k pass jama hona hy .tumhain in say jang kerny ki ksi surat ijazat ni daay sakta.
?(Hayyat alsahaba jild 2 page 507 bahawala ibn e saad jild 5 page 23)


Hadees

Allah Per yakeen aur USI kay hawalay Krnaa Apna sb….

Nabi kareem S.a.w.w ? jub raat mein tahajud parhny uthty too khty Ay Allah!
**hmad Teray hi liye hai k TU asman o zameen k noor hai. Hamd Tery hi liye hai k TU asman o zameen k thamny wala hai.hamd tery hi liye hai k TU asman o zameen k aur jo kuch us mein hai saab k RAB hai TU sach hai TERA wada sacha hai aur tera qoul sacha haaii TERI mulaqat sachi haii janat sach hai aur dozakh sach hai sary Ambia sach hain aur qaimat sach hai..
Ay Allah mein tery samny hi jhuka,TUJH prr eman laia,, TUJH pr bharosa kia,,TERI hi traf rajhu kiaa,,

TERY hi samny apna jhagra paish krtaa ,,aur TUJH hii sayy sirf apna faisla chahta hun,,pass TU meri maghfirat krdy agly pichly tamam gunhaoun ki jo mne chupa kr kiye aur jo zahir kiye ,,TU hi mera mahboud hai TERY siwa mera koi mahboud nae…
?(Sahi Bukhari Shareef
Hadees # 7499)


 

Ehsas

Pyaray Saaatheyo:

Allah kayy pyaron nyy Apnay mamlaat aur hr tarhaan kay mushkil halaat mein bhii ” Allah per bharosa kiaa” USI Koo pukara Aur Usi ki taraf rujuh kia  Aisy he Duniaa mein Rehtayy humein bhi bht si mushkilaat,Test aur Azmaish kaa samna krnaa partaa haii naa, jo darhaqeqat to humein qurbat he dilwanay koo bheji jati hai , lekin Batill Yahan humein Allah Syy Hee door krnay ka jaal bichata hai aur Badguman kr deta hai kay hum per zulm huaa , Bajaye Allah koo Mazbootii sy thamnay kay Aur Usii kay hawalayy apnaa mamla krnay kay Hum yaa to apnay zor e bazu per Larnay kii Koshish lag jatay, zaati jhagry barha lety hain yaa Halaat sy Mayus hue Allah Kaa he hathh Aur sath chorr detay ?..lekin, Agar haq raah perr chalna hai aur Hr nafs/zaat ki kharii ki mushkil sy azaadd hona hai to Hawaalayy krnaa haii US kayy, Jo MALIK E KUL KAINAT❤ hai,, aur Behtareen Rakhwalaa hai .

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *