Waqeya # 6 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya:

Hazrat Usman R.a ? kaa .. Aglay jahan ki khatir, iss jahan mein Lutanay kaa..
Jab muhajireen madina munawra pohnchay tu unhain madinay ka pani raass na ayaa wahaan ik chashma thaa “Ruma” kahaa jata tha. wo bani ghafar k ik shakhs ki malkiat thaa. wo uss ka paani farokht kia krta tha aik din Rasool ul Allah saww nay uss say kaha “Jannat k chashmay k badlay tum issy hamaray haath baich doo”, uss ny kaha YA Rasool ul Allah saww mairay pass iss chashmay k siwa koiii zariaa muash nahii.
Hazrat Usman r.a? ko iss ka pata chala tu Unhn ny ye chashma 35 hazaar darham ka khareed lia. iss k baad wo Rasool ul Allah saww ki khidmat main haazir huay aor arz kii “Ya Rasool ul Allah saww kia mujy b iss chashmay k badlay maim Jannat main chashma milay gaa. Ap saww ny fermaya. kyu naeee, bilkul milaay ga”. arz kii “Ya Rasool ul Allah saww main ny issy khareed lia aor main issy musalmano k liay wakf krtaa hun.
?(Muajim ul Kabeer Tibrani bahawala Basheer aslami.)


Hadees

Beshak…Rehnumaiii Ko dilon mein Utarny walon ny,, payaa he payaa,, na Kuch ganwayaa,

Pyarayy AAQA S.a.ww ?Ny farmayaaa :
Har din jis mein Allah kay banday subah kartay hayn 2 farishtay utaartay hayn unn mein aik kehta hay, “Aey Allah, jo Teri raah mein kharch karnay wala hay ussay uss ka behtr badl atta farma”. Aur dusra farishta kehta hay, “Aey Allah, maal rok kar rakhnay walay kay maal ko talf o zaya karday.”
?(Sahih Bukhari, Jild 1, Rak Hadees 1442.


Ehsas

Pyaray Saatheyo:

Duniaa humaraa Aarzii thikanaa hai aur Iss kay baad milnay walii zindagiii Hamesshaa “Baqi” rehnay walii haii aur beshak iss jahan sy Barh krr aur behtareen hai. lekin hum Nafs kay jal mein phass jatay hain to dunia mein he Dil lagaye Yahaan Maal o zr samaitnay mein masroof ho jatay hain, bachatay hain to Zaat kay liye jo kharch krty hain to bhi zaat kay liye ? jb kay Allah Kay qurb kay raahiyo ny Dunia mein bhi akhrat samaitii aur kharch bhi kiaa To Allah kay liye aur wahii bachaya jo aglay jahan Ki sachi dolat hai aur kam anay wali hai. Humein bhi khud Is hawalay sy chek krna hoga kay Hum bhi agar qurbat ki raah per chal rahay hain to kya haq andaz sy Allah Ki atta krda Naimaton aur Maal o jan ko kharch bhi kr rahay hain.

 

 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *