Waqeya # 5 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya:

pyarayy Sahaba ka Haq ko Buland rakhay Emaandari sy Apna Farz Anjam denay ka …

Hirs bin ul hakim Hazrar Usman r.a ka chachazaad bhai aor damaad thaa.Hazrat Usman r.a? nay uss ko “Muhtassib” muqarar kiaa tha. yani uss ka kaam ye thaa. k bazaar main ishyae khareed o farokht un ki qeemton r dukaandaron k banon,paimano aor sikkon ki nigrani rakhain taa k bechny waly r khareedar ksi ko shikayat ka mouqa na ho.
lekan iss rishtadari r qarabat k bawjood jab Hazrat Usman r.a ?ko iss ka ilm huaa k hirs bin ul hakim apnay faraiz e mansibi eman daari saay adaa nahee kr rahaa hay. aor apny ohday say najaiz faida uthaa kr baazar ki baaz ishya apny liay makhsoos kr lii hain. to Hazrat Usman r.a nay iss par sakht narazgii ka izhaar fermaya aor ussy foran mazool kr dia.
?(Hazrat Usman zul nourain page 135:bahawala tareekh ul khamees jild 2 page 268.)


Hadees

Hazrat Usman R.a kaa yee amall Bhii Apnay AQA S.a.ww kii Talemaat kay tabeh thaa kay unho apnay farz kay agay siwa haq kay kisi sheh ko ehmiyat na di …

Maqil R.a se rivayat hai kay Pyaray AQA s.a.ww ? ne farmaya
” jab Allah kisi bandey ko kisi riaayat ka hakim banata hai aur wo Emandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega”.
?(Sahih Bukhari, Vol 8, 7150)


 

Ehsas

Pyaray Saatheyo
Allah Kayy pyaaron nyy Jb Allah kayy Hukam, Allah ki pasand ko he Haq maanaa, to apnay zaatii rishtay naaton aurr Mamlaat ko kabhii Haq kay arhayy naa anay dia, aur haq baat aur haq faislaa krny sy Pichay naa hatay ☝ jb kayy Hum batilll kayy jaall mein phass kayy Zaatiyatt koo Foqiat dyy jatay hain,, yahan tk kay zaati rishty, zaati khayalat aur zaatii Pasand na-pasand perr “Haq” koo bhi nazar andaz kr jatayy hain  humein bhii too Duties dii jaatii hain,Zimedariaan Attaa ki jaatiii hain,,Authority di jati hai,, Jin koo haq andaz aur ehsas sy anjaam denaaa humari qurbat ki raah sanwaarta haii yahan Abb Humein bhii garrr chaah haii barhnayy kiii to Alert rehna hoga kay In duties perr hum kitnii Emaandariii syy Amalan utartayy hain aurrr Apnay MALIK ko raaziii krtayy hain.


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *