Waqeya # 4 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya

Ehadd Nibbhatayy Emaan Barhanay kaa…
Hazrat Ayesha r.a fermaati hain Hazoor saww nay fermaya meray ksi sahabi ko bulao main ny kaha Hazrat Abu bakr r.a ko Ap ny fermaya nahee main ny kaha hazrat umer r.a ko Ap ny fermaya nahee main ny kaha Ap k chachazad hazrat Ali r.a ko Ap ny fermaya nahee. main ny kaha Hazrat Usman r.a ko Ap ny fermaya Haan. jb wo agaey tu Ap saww nay hazrat Usman r.a ?sy kaan main baat krnaa shuru krdii aor hazrar usman r.a ka rang badal gya.aor jab youm ul daar ayaa(jiss din hazrat Usman r.a ?k ghar ka muhasira kia gya) hazrat Usman r.a ghar main mehsoor ho kr reh gaey tu hum nay kaha Aey ameer ul momineen kia Ap (baghioon say) jhang naee karain gay?? Hazrat Usman r.a ny fermaya k Ap saww? nay muj say aik ehad lia thaa main iss ehad par pakaa rahoon gaa jamaa rahoon gaa.
?(Hayaat al sahaba jild 2 page 503 bahawala al badaya jild 7 page 181.)


 

Hadees

khaass Nazar panay walayy Haq kayy Raahi apnayy Ehad ki hifazatt Dil o jaan syy krtyy ..
Woo Deeen Kooo chahtayy hr haal Duniiaa syy na ghabratay aur Haq sy mun na mortay…

Rasool Allah saww? ny fermaya:
“Jiss main ehad nahii, uss ka deen nahii.”
?(Massand Ahmad)


Ehsas

Pyaray saatheyo:

haqq ki janib Jin kayy qadam mazboot huee, Unkii Zindagii sy,,Amall sy,, humein bhiii yee ehsass miltaa hai kay apnay “Ehad” koo nibhanayy kay liyeee Kaisayy Jaaan ki bhii parwah naa kii aurr Haq ki khatirr Khud ko jamaye rakha hum bhii to Bht sy Ehad Krtayy hain comiitments krtayy hain Apnay Allah syy,, Khud syy,, Buraii sy ruknay kay liyee Haq ko thamay rakhny kay liye …per Ehad kr kayy bhula bhi detay hain aurr poora krnay kaa jazba bhi Kam kiye detay hain. Lekinn… Agarrr haqq kii raah per qadam mazboot krnyy hain too Dill sy apnay kiye Ehad / aur commitments ko Amalan nibhanaa hogaa , warna Batil ki chal mein ayee ehad sy Phir janaa kahin humein humari rooh ka Apnay Rab sy Azal mein kiaa Ehad bhi na bhulaa dayy.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *