Waqeya # 3 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya

Sohnay Sahaba kaa khuahishaat/ Duniavi asaishon per kaboo paye rakhnay ka …..
Hazrat Usman r.a ? ny nazo nehm mein parwarish pai thee halki khaza aur naram poshak istamal krny pr majbour thyy aur chouta mouta kapraa aur rohukaa pheeka naee khaa sakty thyy lekin is sy yee qiyas naee karnaa chaie kk ap aash oo tanam k garwedhaa thyy bulky unhun nyy bawajoud gher mamolii dolat o sarwat k kbii amerana zindagii ikhtiarr na farmaiii aurr naa kbii zaib o zeenat ki cheezen istamal kien .. Ak khush wazah roomi kapra thaa joo arab k aam libas thaa umraaa too umraa mutawasat tibqy kk logg bb us ko pehn’ny lgyy thyy lekin Hazrat Usman(RA) nyy kbii us ko istamal naa farmaya ☝
?( Bahawala khulfa e Rashden , tasneef Shah Moien ud deen Ahmed Nudwi pg no. 210)


 

Hadees

Dil syy Ammal Krnay walay Apnayy REHNUMA❤ kay Farmaan aur Ahkamat koo Kaisy Khoobsurtii sy zindagi mein Amalan Shamill krtyy hain ?
Rasool Allah S.A.WW? ne farmaya:
“Hoshiyaar wo hai jo apne nafs par qabu pa le aur maut ke baad ke liye amal karay or
bewakoof wo hai jo apne nafs ke khwahish ke peeche laga rehe or bagair amal k Allah se umeed rakhay”
?(Tirmizi)


 

Ehsas

Pyaray satheyo:
Allah Kii raah mein Joo Emaan kii mazbootii Liyee agay barhayy too UNKI khaas pehchan nafs per kaboo patay jana aur Zindagii ko Mojooda Facilities mein bhiii sirf Zarooriat tk Mehdood rakhnaa tha, yahan Zaat kay liyee Hudein qaim krna aur Dosron kay liye sakhawat Unhein Mazbooti ata krti gai..jb kay hum apnay liye ziadaa chahty hain aur dosron kay liye Dil tang kr lety hain.. Humein bhi apni zindagii mein Apnay nafs Kii khuahishaat ko na sirf control krna hai blkay Mojooda sahooliat per bhi nazar rakhni hai kay hum kya kitna zaroori aur gher zaroorii Apnaye chal rahay hain jo humein control krty Qurbat mein Aurr barhaa skta hai


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *