Waqeya # 2 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya

Dil ajzii mein rakhtayy Amall Syy Bhii Barabarii aur Jhukaoo Ka izhar krnna…
Hazrat Malik r.a k dada bian krty hain k main ny kae baar daikha k hazrat Umer r.a? aor hazrat Usman r.a jab maka say madina waapis aaty tu madina say zara pehly muaras masjid main qayam fermaty aor jab madina munawra main daakhil hony k liay sawar hoty tu sawari par peechy zaroor ksii ko bithaaty aor koii na milta tu ksii larky ko hee bitha laity aor issi haal main madina main daahil hoty.Ravi kehty hain k main ny kaha kia hazrat Umar r.a r hazrat Usman r.a apnay peechy tawazo k khyal saay bithaya krty thy❓❓ to unhn ny kaha “haan tawazo k khyaal say b bithaty thy aor ye b chahty thy k paidal aadmi ko sawarii mil jaey r usko b faida ho jaeey r yee b chahty thyy k wo badshahon jaisay na hon.”
?(Akhraj ul behqi an Malik an amma an abeh kazafi ul kanz jild 2 Page 143.)


 

Hadees

Allah kay agay Jhuknayy walon nyy Hukam Kay tabeh khud ko rakhty Moqay bnaa bnaa kay bhii Ammall syy is jhukao ka Izhaar kiaa Aurr Apnay AAQA S.A.WW kii Rehnumaii ko Zindagii ka hisaaa bnayaa…
Hazrat Abbas r.a fermatay hain k Huzoor s.a.w.w ?ny fermaya:.
her insaan k sur main atta fermoda aqal o danish farishta k hath main day di gae hay. jab koi tawazo krta hy tu farishtay say kaha jata hy: ,”uss ki aqal ko buland kroo” aor jb koii takabbur krtaa hy tu farishtay say kaha jataa hy: “Uss ki aqal o danish ko passt kroo.”
?(almuajum ul kabeer: 12939)


Ehsas

Pyaray Saatheyo:
Allah ny jin sy pyaar kia aur Apnaa Kahaa , unho ne hameshaa jhukaoo ko pasand kiaa aur Khud takaburr aurr bartarii syy bachayaa, jb kay hum to aksarr Zaraa sii izzat, Ataaa yaa Koii naimat milnay perr aurr Ander ko takaburr Mein lay jatay hain? Allah Kay pyaron ny jaisyyy Jhukaoo ko barhanayy aur Takaburr syy door rakhnay kay liye khud mamalaat bnaayee,step liye aur uss mein Ammall dikhaa kr Aurr qurbat mein taizii payiii.. humein bhii to aisayy he apnii routine Mein mamalaat mein Moqay talassh krnay hain kay jo humein Attaa krda naimaton per ghuroor syy paaak krein aur jhukaooo barhayeen aur qurbat payen


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *