Waqeya # 1 : HAZRAT USMAN GHANI R.A

Waqeya

Duniaa kay aram aur Mazay sy barh kr pairvi mein Mazaa hasil krny ka…
Hazarat hassan R.A sy in logo ky bary ma pocha gya jo masjid ma qailola karty hain tu onhon ny kaha ma ny Hazrat USMAN r.a ko dahka ky….
Wo apny zamana e khilafat ma ak din masjid main qailola farma rahy thy or. jab wo so kar uthy tu Un ky jism par kinkeryon ky neshan thy( masjad main kinkiryaan bichii huii then) or log (Un Ke as sada or.beytakalf zindagi par heran ho kar ) keh rahy thy ye Ameer ul momineen hain ❓❓Ye Ameer ul momineen hain❓❓
?(Hayyat e sahaba jild 2 page 376 bahawala abu naeem fil haleeta jild 1 page 60 ).


 

Hadees

Pyarayy Sahaba Ka ye andazz Unkay Dil mein Emaan ❤ kii Akasii krtaa tha jis kay mazay mein wo dunuavi mazay ko tark krty..
Hazrat abu amama ayaas bin salba ansaari harsi r.a say rawayat hay k Rasool Allah saww? k sahaba nay ik din Ap saww k saamny dunia ka ziker kia tu Rasool Allah saww nay fermaya “Kia tum naee sunty? kia tum nae sunty? k Saadgi emaan ka hissa hay, Yaqeenan Sadgii emaan ka hissa hy.” iss say Ap saww ki murad takalfaat aor zaib o zeenat ki cheezon ka tark hy.
?(Abu daoud)


 

Ehsas

Pyaray satheyo

Humaarii pehchan wohii bantii hai jo hum bnanaa chahtay hain… apnay status standards aur Zahiri roop ko to hum Bht twajoh diyee Apnay achay buray Kaa Ainaa manty hain perr Yahan Kyaa Haqeeqi Standard aur izat o zilat ki bhi parwaah hoti hai kay
humaraii Rooh, humara Batin kitna Roshan hai,aur Kitna Dunia kay Andheron sy ghir chuka..
Allah Kii khas Nazar panay walon ny Too Zahirii Standards ki parwaah Naa ki,aur Apnay Amal sy Woo woo andaz apnaye jo unhein dunia syy Behud door, Aur Manzil sy Behudd Qareeb kr gaye ..humein bhi Apnay andaz O Adaat mein haqeqi Rang bharnay hain, aur duniavi waqtii standards aapnanay sy Bachtay janaa hai.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *