Waqeya # 7 : HAZRAT UMAR FAROOQ RA

Waqeya

Apny Nafs Ko aurr sy aur Marnyy ki chah mein Logon Syy bhii apnay aibon Ko jantayy raah bnanay ka
Aik din Hazrat Umer r.a ? mimber par jalwah afroz huye or azraah e naseehat ailaan kiya k main tum ko Khuda ki qasam de kar kehta hu k jo aadmi mere andar koi aib jaanta ho wo iss aib ko zaroor zikar karay, (ye ailaan hotay he) har taraf shor mach gya, Aawazain buland honay laggeen, Itne mein aik aadmi utha or usne kaha :
Aap r.a k andar 2 aib hain ( ye sun kar ) ka chehra damak uthaa  or muskuratay huye dariyaaft kiya, wo konse aib hain, Allah tujh par reham farmaye❓
Uss Aadmi ne kaha k Aap rma k paas 2 qameesain hain, aik qameez pehentay hain, or doosri utartay hain or Aap r.a nooh ba nooh khanah jamma karte hain, jab k ye aam logo ki wussat se bahir hai, Hazrat Umer r.a? ne farmaya Khuda ki qasam ab main 2 qameesain or 2 tarah k khano ko har giz jamma nahin karu ga.
?(Manaqab e ameer ul momineen, Pg.174)


 

Hadees

Allah kay ye Pyaray,, Dunia o dolat sy ameer naa thay blky us khaas Sift ko apnaye Jatay thayy Kay jo Dunia ky hr maal ay barh krr Haii..
Pyaray AQA S.a.w.w ? ka farmaan hai
Maaldari yee nae k insan k pass maal o dolat syy bhary khazany hun bulky ak shakhs apny nafs ko jitna qaboo mein rakhta hai wo utna maldar hai.
?(Sahii Bukhari)


 Ehsas

Pyaray Saatheyo:

Humein jb bhii koi Humaray Aib btata hai to humara Dil Tang Parrta hai aur Apnay aib jann’na yaa mananna hum apnay liye zillat aur Nuqsan samjhnay lagty hain,,, yee batil ka jaal hota hai jo humein Amal sy ghafil krny aur is janib koshish sy mehroom krny ko bichaya jata hy, jb kayy ALLAH kii muhabbat o qurbat hasil krny walon nyy Hr koshish sy barh kr Apnay Nafs per kaboo panay ki koshishh koo tarjeeh dii aur is ki khatirr Khulayy dil sy Apnay Aibon ky baray mein sunna bhii, Mannaa bhii aur Apnay Amal sy behtri ki janib qadam barhaya bhi  humein bhi agar Qurbat ka safar krna hai to Apnay aibon ko pehchanna hoga, Rehnumai leni hogii aur sy aur sanwarnay ko.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *