Waqeya # 6 : HAZRAT UMAR FAROOQ RA

Waqeya 

Dill koo Muhabbat kay rang mein dhaalay Duniavi farq mitanay ka..
Hazrat Umar (RA) ?hajj k irady sy makkah ayee to Safwan bin umia(RA) ny ap k lie khana tyar krwaia. jub khana tyar hogia to hazrat safwan (RA) nyy ak bht bary bartan mein daal k laye. khanaa logo k samny rakha dia,log khana khany lgy to khadim khary thyy
. Hazrat Umar (RA)? ny ta’ajub krty hutee farmaya kiaa baat hai thumary khadim tumhary sath khana nae kha rahy hn kia tum in sy ahraz krty hoo ? Sufwan bin Abdullah ny kaha Ameer ul Momineen esii koi baat naee haan hm khud ko in py tarjeeh dety hain.
Hazrat Umar (RA) ny frmaya “Allah esi k
Qoum ko sathinaass kryy jo khud ko khadmon py tarjeeh dety hn.phir ghulamon syy farmayaa betho aur khao chunachy khudam b beth gyee aur Ameer ul momineen k sath khany lgy .
? (Al khilia)


 

Hadees

Amall kay zariye Raahon ko sawarnay walay , Rehbar o Rehnuma ki talemat Dil mein utaray qadam barhatay jatay hain? .. jaisy…
Hazrat Abu Huraira (RA) byann farmatyy hain k Hazoor SAWW nyy farmaya ::
“*jub tum mein sy kisii kk khadam khanaa tyarr krr kk laye aur tum usy apny pas bithaa krr naa khilaa sakoo too kam azz kam ak yaa doo luqmy to usy khany ko dyy doo kun k us ny ye khana mehnat sy tyar kiaa hai.*”
? (Sahee bukhari)


 Ehsas

Pyaray Saatheyo:

Chahay koi Malik ho ya ghulam.. humein farq nahin krna, Dil syy .. Ehsas E Bartarii sy bachna Batil kay Baray jaal sy bachna hai jo ander takabur, ana , Mainn aur Dosron ko haqeer samjhtay hue Ander ki ajzi kay ehasas jala deta hai hum akksar Is farq ko haq samjh lety hain aur bhool jatay hain kay Allah ki nazar mein Taqwa kay siwa koi mayar nai jo Farq Zahir kray, Humein Apnay Malik ❤ ki ghulami mein dil ko barhana hai aur zaat Ko marna haii joo Humein Malikk bna kay bartarii Ki khayii mein Untaa hi girati hai jitni zaatt iss Takaburr ko apnati hai.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *