Waqeya # 3 : HAZRAT UMAR FAROOQ RA

Waqeya

Hazrat Umer R.a ? ka haqeeqii izzat ko fanii izat per foqeyat denay ka.
Apne dor e khilafat mein ab Hazrat Umer Farooq r.a Fatah bait ul muqadas k moqa par wahan tashreef legye tou us ilaqay k sardaaro ko pehle he itlaa de ja chukki thi k ” jabiya” mein aa kar unse milain.
Aap r.a ki sawari ka jo Ghorra tha Uskay summ ghiss kar bekaar hogye thay. wo ruk ruk kar qadam rakhta tha. Hazrat Umer r.a ye dekh k utar parray. Logo ne turki nasal ka umda ghora paish kiya. Ghorra shokh or chalak tha. Hazrat Umer r.a sawar huye to kaleel karne lagga. Farmaya, kambakht ye gharoor ki chaal tu ne kahn se seekhi. Ye keh kar utar parray or piyadah paa chalay. Bait ul muqadas kareeb aya to Sayedena Abu ubaida or sardaran e fouj istqbal ko aaye.
Hazrat Umer r.a ka saaz o saman or libaas jis mamooli noiyat ka tha, usko dekh kar musalmano ko sharmindagi satanay laggi k eesayi log apne dil mein umat e islam k sarbrah k baray mein kia kahain gay? chunanche logo ne turkey ghorra or keemti poshak hazir ki.
Hazrat Umer rma me farmaya
” Allah ne ham ko jo izzat de hai wo hamain Islam ki waja se mili hai, or hamain Allah k siwaa kisi doosre zariye se izzat talab karna nahin chahiye. ”
? (Al Tibri, Al Farooq, Pg. 135-137)


 

Hadees

Qurbat kay sohnay Raahi ny Dil mein basayi ye Sachi izzat Aur Takabur ka nuqsan,, jis ka kisi sorat souda na kia
Hazrat Umer R.a ?farmatay hain k maine Rasool Allah S.A.WW? ko ye irshaad farmatay huye sunna,
” Jo Allah (ki razza haasil karne) k liye tawazeh ko ikhtiyar karta hai Allah usko buland farmatay hain jiska nateeja ye hota hai k wo apne khiyaal or apni nigah mein to chota hota hai lekin logo ki nigah mein ooncha hota hai.Or jo takabur karta hai Allah usko giraa dete hain jiska nateeja ye hota hai wo logo ki nigah mein chota hojata hai agarchay khud apne khiyaal mein barra hota lekin doosro ki nigah kein wo kuttay or khazeer se bhi ziada zaleel hojata hai”
?(Rawah ul behqi fi shaib ul iman 6/276)


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *