Zara Sochiye..

“Zara Sochiye”

Ham din bhar ke roz marra routine ke guftagoo mein kuch alfaz ka istamal musalal bina unn k maan’ni janay ya bina kisi ihsas k kartay hein.
Maslan….
Bis’mi’Allah
Jazak’Allah..
Insha’Allah…
Subhan’Allah…
Allhamdou’llilah….etc

Or isi tara k or bht sy alfaz bhe hamari guftagoo ka hissa hotay hein jo ham os ka asal matlab ya ihsas k bina sirf aad’tan adda karaty hein.

Aj ham share karen gay K…
kia hamein in alfaaz k ma’ni sy waqif hein
Or
Kia ham in alfaz ko ada kartay hoay dil mein in sy moutaliq koe ihsas bhe rakhtay hein ya bina ihsas k aik aadat k taor par inke adaigee kartay hein.

Kam az Kam 2 points ya is sy zaida share karna chahein tou kar saktay hein.
K kisi sy baat kartay ya kaam kartay jab inhein adda keya tou aad’tan keya ya bina ihsas ya sahi sy nai keya or ihsas honay par kia feel hoa.
Or is baat ko yaad rakh k agar inhein in k maani or ihsas k sath adda keya tou kaisa feel hoa.

Is hawalay sy apnay point of view ka bhe aiksg karna hy. Jisay kal tak discusaion msg kaha ja raha tha.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *