Zohar Ki Namaz

*~Zohar Ki Namaz~*

Hazrat Ibrahim a.a ko jawani sy he Allah ke talash thee.
chunachy sitaron ko asmaan pr jagmagaty daikha tou kehny lagy yeh mera Rab hy…
jb thori dair baad chaand ko roshan daikha tou farmaya k yeh mera Rab hy.
jb subh k waqt soraj ko taloou hoty daikha to farmaya yeh mera Rab hy yeh sb sy bara hy.
jb soraj bhe dhalny laga tou aap ny farmaya….
“Main dobny walon ko pasand nahi krta”
sorat Al-Inaam 72
phir frmaya
“agar mera Mola hadayat na dy ga to main gumrah ho jaon ga”
Soeat Al-Inaam: 77
Allah ta’ala ko Ibrahim a.a ka yeh amal itna pasand aaya k is waqt ko Apni ibadat k leay pasand farma liya.
“beshak logon mein ziada munasibat Ibrahim a.s sy in ko the jo in k sath thy or Is Nabi S.A.WW ko”
sorat Al-imran: 28
Pas Allah ny Ummat MUHAMMADI S.A.WW py zohar ke namaz farz kr di.

Hazrat Ibrahim a.a ny apny baity Ismail a.a ko qurban krny k leay ly gy jb zibah k leay litaya tou dopehr dhal chuki thee..
Hazrat Ibrahim a.a ko 4 gham laa haq thy..
1. Qurbani wala hukam pora ho jaey.
2. Ismail a.a ny choti umar mein qurban hona pasand kr lea..
Allah ta’ala sabit qadam rakhy.
3. Saeyda Haajra a.a pouchainn gi tou kia jawab don ga.
4. Saeyda Hajra a.a akaili Makka Mukarma mein kaisy rahein gi.
jb Allah ta’ala ny dunby ke qurbani k zareay charon gham dour kr deay to Hazrat Ibrahim a.a ny shukrany k 4 nawafil ada keay..
Allah ny is amal ko itna pasand farmaeya k
Umat MUHAMMADI SAWW par zohar ke 4 rak’at farz farma dein.

Hadees pak mein hy k
jb soraj ke roshni zawal pazeer hoti hy to farishty Allah ki tasbeeh biyaan krty hein…
is waqt Allah ny namaz ka hukam diya. Asmaan k darwazy khol deay jaty hein or duaen qabool ke jati hein.
ZOHAR KA WAQT jahannum ke aag bharkaee jati hy is mein eindhan dala jata hy.. josh o kharosh ke waja sy jahannum sy awaaz nikalti hy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *