Day 5 – Mayusi

MUSBAT SOCH AUR POWER SOURCES

Day 5…
Msg 1…
Mayousi :
agar hm zindgi ki roz mara routein k mamolat aur mamlat mein musbat soch raknay k addai hon tu bhi hum tu bhi hum mayousi sa bach jain gy – Kisi bhi tharh ki choti bari parashani ya malasy ma agar hamin yaqeen ho k ALLAH hamary sath ha aur WO kabhi apny banday ko nhi chorta – Tu ya yaqeen hmain kabhi dagmagany bhi na da’ mayous hona tu dor ki baat ha – Par afsos hmain ALLAH ki saffat par bhi tu dil k yaqeen nhi ha k ALLAH mera ab sa bra Sahara ‘ Dost aur madad gar hy. Hum sirf in sifat ko zubani pharty hn in ko dil ma nhi utarty – Asa Madad gar ‘ Sahara ‘ Dost agar kisi k sath ho jasa k ALLAH PAK ha aur is ko yaqen bhi ho ALLAH k sath k tu kia prashan ho ga ya mayousi ma jay ga .. ? Qataan nhi
Msg 2


Msg 2 …
Haalat jb bhi mayous karin tu ya baat bara asra dati ha k waqat kabhi nhi tharta – Aur haalat kabhi aik jasy nhi rahty – Har raat ki subha hoti ha – chchy raat kitni hi lambi kun na ho – yani ALLAH tou ALLAH bilkay US k nazam e aqudrat ki nishaniain bhi hmain mayousi sa nikalnay ma yun madad dati hein bashartay’ k hum mayousi sa nikalna chahian-
Agar kabhi koi masla bemari ya parashani ati ha tu hum khud ko bachara aur mazloom smjh k basabri k muzahura karty howy sikaway o shakayait ‘ mayousi aur na umeedi ma doob jaty hn tu wo parashani bhi hmary lia zahmat bm jati ha -Agar is waqat hum sabar o istiqamat k daman thaam
kar ALLAH sa dil k yaqeen k rabta bnatay howy is masalay ya beemari sa ALLAH sa madad mangty hoy niklain tu ya hamaray lia rahmat ban jati hy –
Msg 3…


Msg 3…
Quran Pak jis k shuru ma hi ALLAH PAK farmata ha k s ma,shak ki gunjaish nhi ‘ is ma ALLAH PAK na farmaya k ALLAH ki rahmat sa mayous na ho-
Aik jaga farman e ILAHI ha k8 ALLAH ki rahmat sa mayousi kufar hh – Ab kia gunjaish rah jati ha k abhi bhi hum mayous ho – Jub k ALLAH khud Apni Rahmat ki Sifat k baaray ma Farma rah hy k rahmat sa mayous na hona aur ya bhi k mayousi kufar ha – Hum zindagi ma shirk aur kufar sa bachany k lia kia kua nhi karty – Har lamha alert rahty hn k khain shirk na ho aur mayous ho kar hum khud kia kar jaty hein –
Afsos …. k hum is waqat ahsas sa, aarai hoty hein –
Msg 4…


Msg 4…
Zindgai mein bar ha asay moqay atay hein k hum mayousi ma chalay jaty hein-
Is waqat agar ALLAH PAK k kalam ya Drood Pak ya koi Hamad ya qawali sunain tu bhi jaldi mayousi sa nikalna aasan ho jata hy…
Kun k kisi kalam k alfaz apni taseeer sa dil ki haalt ko badalty hein – In alfaz ma mojood musbat peegam kisi na kisi tharh dil ma umeed ki shama roshan karta hy- yun
hum mayousi ma nikalny ma kamyaib hoty hein –
Issi tharh agar mayousi ma wazaoo kar k Talawat Quran Pak ki jay tu humain is haalt sa nikany ma madad dati hy
Msg 5…


Msg 5…

Namaz,ada karna ya dua ma ALLAH k samnay suchy dil sa paish hona bhi mayousi sa nikalnay ma aasani pada kar data hy -Is k alawa ALLAH walon ki qurbat o muhabat chchy wo hayait hon ya is dunyia sa parda farma gy hon tu un sa milna ‘ pass bhathna ya in k mizaraaat pur hazri danay sa bhi dil ko eman ki taqat milti ha – Aur mayousi sa nikalna aasan ho jata ha-Pur ALLAH K is khas banday sa dil ki muhabat aur aqeedat hona zaroori ha tub hi dil ma power ay gi –
End…
شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Topic: Mayousi

Exercise
Day 5
Q1:-
Fill in the blanks:
(i): Halaat jab bhe mayouse karien tou yeh baat bara asra daiti hai k —– kabi nai therta.

(ii): Allah ki rehmat sy mayousi —– hai.

Q2 :- MCQ’s
(i): Agr mayousi mein —– kar k Telawat E Quran Pak ki jaey tou hmy us Haalat sy nikalnay mein madad daiti hai.
(a) ghusal
(b) Wazoo
(c) Miswak

(ii): Namaz Ada karna yah —— mein Allah k Samny sachy dil sy paish hona bhe mayousi sy nikalny mein asani paida karta hai.
(a) Dua
(b) Sajdy
(c) dono

Q3: short Question
Sawal:
Aaj ham din bhar k moamlaat mn apni soch ko musbat rakhny ki practice karien gy aur phr share karien gy k kab kab aur kaisy aj ki routine mn manfi soch ko musbat soch mn badla..


(Mayousi)
Answer key
Day 5

Blanks
1: waqt
2: kuffr

Mcqs
1: b
2: a
Question:

Ye sabka apna
Jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *