12. Yazeed Ko It’la

*~*Yazeed ko It’talaa*~*

Is waqt koufa k Governer Noumaan Bin Basheer r.a thy…
Aap r.a Sahabi e Rasool S.A.WW hony k sath sath muhib e ehlay bait bhe thy is leay Aap r.a ny Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ke raah mein koe rukawat kharri na ke or khamoshi sy sab kuch gawara Kea…
jab yazeedi hakumat k haamiyon ny daikha k halaat palat janay ka imkaan hai to wo Noumaan Bin Basheer k pas aaey or kaha k koufa shehar yazeed ke hakumat sy nikla ja raha hai or too khamoshi sy tamasha daikhay ja raha hai.
Muslim Bin Aqeel r.a ko giraftaar kar or qatal kar k oun ka safaya kar do ta k fitna o fassad ka imkaan na rahay.
Numaan Bin Basheer r.a ny kaha..
“Mere sath jo jang nahi karay ga main bhe ous k khilaaf jang nahi karon ga… jo mujh par hamla nahi karay ga main bhe is par hath nahi uthaoun ga or na he main in ko mehaz gumaan ke bina par pakrron ga lakin Khuda e wahid ke qasam !!
Agar tum apnay ameer sy jouda hoay or is k bait ko torra to main tum sy is waqt tak larron ga jab tak meray hath mein mere talwaar ka qabza hai ”

Msg 2
Ye soun kar aik aadmi Abdullah Bin Muslim ny kaha k…
Aey ameer…!!
“Yeh kaam andhee laathi k baghir nahi suljay ga or Aap ny jo tareeqa ihtiaar kea hy wo kamzoron ka tareeqa hy”
Is par Noumaan Bin Basheer r.a ny jawab deya k Allah ta’ala ke ita’at mein kamzori, mujhy is ke na farmani mein taqat war ban’ny sy ziada mehboob hy”
Jab yazeed k hamiyon ny daikha k Noumaan bin shabeer r.a… Hazrat Imam Hussain r.a k khilaaf koe iqdaam karny par taiyar nahi or hazaron ke ta’daad mein log in ke bait kartay ja rahay hain…
tou inhon ny apna aik wafd yazeed k pass bhaija or kaha k… Noumaan Bin Basheer r.a qat’tan tere hakumat k mufadaat k tahafuz par aamada nahi hai.
Imam Hussain r.a ke aamad aamad hy or log Muslim Bin Aqeel r.a k hath par jouq dar jouq bait kar rahay hain.
Koufa or Basra mere hath sy nikal jany ko hy tum foran is k leay koe bandobast karo.
Amara Bin Uqba or Umer Bin saad ny bhe isi mazmoon k khatoot likhy jin par yazeed bohat ghazabnaak hoa.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *