13. Nouman Bin Basheer r.a ke Mazouli or Ibn e Ziyad ka Taqarur

*~*Noumaan Bin Basheer ke Maazuli or Ibn e Ziyaad ka taqar’ur*~*

Koufa ke surat e haal k baray mein it’talaa k hawaly sy yazeed ny apny aik khandani ghulaam sarjoon ko bulaya.
Sarjoon Ameer Moawiya ka khass aitamaad wala ghulaam or khandaan ka raaz daan tha.
Yazeed ny is ki goud mein parwarish pai thee. yazeed ny is ko tamaam halaat bataey or poucha k ab mujhy kia karna chaheye…?
Sarjoon ny kaha Ameer Moawia zinda hotay tou kia aap in ka mashwara qabool ker laitay ? Yazeed ny kaha ” haan ” sirjon ny kaha to mera ye mashwara bhe qabool kar lain k kufa ke amarat k leay Obaid ullah Bin Ziyaad sy behtar koe aadmi nahi is leay koufa ke amarat ous k sapurd kar dain.
Ibn e ziyaad Basra ka governer tha koufa mein Shee’yan e Ali o Hussain r.a ka zor torrny k leay yazeed ny isay koufa ka bhe Governer muqarar karwaya or isay hukam nama bhaija k koufa Pohanch kar Muslim Bin Aqeel r.a ko talash karo….
Msg 2
….or jab wo tumhary hath aa jaein tou osay qatal kar do ya jillaa watan kar do.
Jis din Basra mein Ibn e ziyad ko yazeed ka hukam nama mila ousi din Basra mein Hazrat Imam Hussain r.a ka qasid bhe ehalay basra k naam Aap r.a ka aik khat laya… kion k ehalay Basra bhe Aap r.a ke taraf maail thay is leay Aap r.a ny is khat ko ehalay basra ko likha tha k main ny apna qasid tumhary pass yeh maktoob day kar bhaija hy main tumhain Allah ke kitaab or Os k Nabi S.A.WW ke taraf dawat daita hon is leay k sunnat mita di gae hy or bid’dat zinda kar de gae hy.
Agar tum log mere suno gay or meray ilm ke ita’at karo gay to main tumhein raah e hidayat par chalaoun ga.
Basra k sardaron mein jis shaks ny Imam Hussain r.a k khat ko parrha is ny isay poshida rakha… magar Manzar Bin Aljaarood ko yeh andaisha hoa k kahein wo qasid Obaid Ullah bin ziad ka koe jaasos na ho or is ny ashraafay basra k pass bhaija ho.
Msg 3
…. jis subah ki raat Ibn e Ziyqad ny koufa rawana hona tha is raat manzar bin Aljarood qasid ko ly kar Ibn e ziyaad k pass aya or maktoob isay perrhaya.
Ibn e ziyaad ny isi waqt Hazrat Imam Hussain r.a k qasid ko qatal karwa deya or basra mein logon k samnay sakht tehdeed aamaiz taqreer ke or kaha
” Khuda ke qasam..!
Mujy museebat, dushwari ya dushman k ass’laha sy daraya nahi ja sakta… jo mujh sy dushmani rakhay main ous k leay azaab hon or jo mujh sy jang karay ous k leay main jang ke aag hon.
Ameer ul momineen (yazeed) ny mujy koufa ke wilayat sonpi hy main kal wahan janay wala hon or apnay peechay Usman bin ziada bin abu sufiyaan ko tum par naaib bana ker chorray ja raha hon tum log ikhtalafaat or baghawat sy ijtanab karo warna qasam Os zaat ke jis k siwa or koe khuda nahi agar mere pass tum mein sy kisi aadmi ke mukhlifat ke khabar pohanchi tou main is ko or is k sab haamiyon or doston ko bhe nai chorroun ga.

Msg 4
… main ba’eed (dour) k badly qareeb ko pakroun ga (yani roposh mehrmoon k warisoon or hamiyon ko pakrroun ga jo mojoud hon gay)
Yahan tak k moamla sulajh jaey or tum mein koe mukhalifat karny wala ya phoot dalwany wala baqi na rahay. Yaad rakho..!! Main apnay baap k mush’shaby hon… ous baap k, jis ny kankar pathar rond dalay thay.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *