14. Ibn e Ziyad Ka Koufa mein Dakhla

*~*Ibne Ziyaad ka Koufa Mein Dakhla*~*

Obaid ullah Bin Ziyaad Basra sy apnay ehalay khana or 500 sawaro k hamrah koufa ke taraf rawana hoa.
In mein sy kuch rastay mein he thahar gaey magar is ny kuch parwa na ke or barabar chalta raha.
Kaadsiya k maqaam par pohanch kar is ny 17 afraad ko apnay sath liya or baqi ko waheen chourra or dhoka dainay k leay Hijazi libbaas pehan kar ount par sawar hoa or chand aadmio ko apnay hamrah lay kar hijazi rastay sy maghrib or isha k darmiyan koufa mein dakhil hoa.
Raat k andhairy mein makr o faraib k sath pohanchny sy is ka matlab yeh tha is waqt kufiyon mein yazeed k khilaaf aik lehar dorri hoe hy lehaza aisay tor par dakhil hona chahiye k wo Ibn e Ziyaad ko pehchaan na sakein or samjhien k Hazrat Imam Hussain r.a tashreef ly aay hein… ta’k aman o amaniyat k sath wo koufa meim dakhil ho sakay.
Or aisa he hoa.
Ehalay koufa jin ko Hazrat Imam e Aali Maqaam r.a ke aamad ka intazaar tha…

Msg 2
… hijazi libaas mein hijazi raasty sy saaz o saman k sath aata daikh kar raat ke taariki mein har shakhs ny yehi samjha k Hazrat Imam Hussain r.a tashreef ly aaye hein.
Sab logon ny naaray buland keay…
Ibn e Ziyaad bad nehaad kisi ko kuch jawab na daita tha bal’k awazon ko sounta or sub ko ba’ghaur daikhta hoa chala ja raha tha shoor soun kar or bhe log gharon sy nikal aaey or har shakhs farzand e Rasool S.A.WW samajh kar aagay bharny laga. jab majma bohat ziada ho geya or nobat yahan tak pohanchi k raah chalny mein rukawat paida hony lagi tou…
is waqt Muslim Bin Umro bahili jo Ibne ziyaad k sath tha is ny pukar kar kaha
“Raasta Chorro ”
Ye Ameer Obaid Ullah Bin Ziyaad hain.
In ilfaaz ko soun kar logon ko bara ranj hoa. Afsoos kartay hoay sab apny gharon ko wapis ho gay or sirf 10, 20 aadmion k sath Ibn e ziyaad Governer house mein dakhil hoa.
Msg 3
… Governer house mein dakhil hony k baad ibn e ziyaad ny aam ailaan karny ka hukam deya.
Munadi ke gae or log jama ho gaey.
Ibne ziyaad Governer house sy nikal kar logon k pass aaya or Allah ta’ala ke hamad or sana k baad khitaab keya.
“Ameer ul momineen (yazeed ) ny mujhy tumhary amour, tumhari hadood or tumhary amwaal par haakim bana kar bhaija hy inho ny hukam deya hy k main tumhary mazloomon k sath insaaf karon, hajat mandon ko atta karon mutee o farman baradaar par ihsan karon or tum mein sy mashkook or na farmaan logon par sakhti karon.
Main tum par ous k ihkaam nafiz karon ga or in ihkaam ke pairvi karwaon ga…
Is taqreer k baad Ibn e ziyaad ny koufa k sar’karda logon ko giraftaar kar leya or oun sab sy tehreere zamanat mangi k wo or oun k qabilay k afraad kisi mukhalif ko apny haan panah nahi dain gay or na he kisi qisam ke mukhalfana sargarmion mein hissa lain gay…

Msg 4
….or agar kisi ny hakumat k kisi mukhalif ko panah dy rakhi hy tou wo is ko paish kary ga or jo apni tehreer ke pabandi kary ga wo bari ho jaey ga jo aisa nahi kar paaey ga ous ka maal or jaan dono halaal ho jaein gay.
Is ko qatal kar k isi k darwazy par latka doun ga or ous k tamaam lawaheqeen bhe mehfooz nahi rahein gy.
Ibn e ziyaad ke aamad or daraany dhamkany sy ehalay koufa khaof zada ho gaey or in k khiyalaat mein tabdeeli aanay lagi.
In halaat k paish e nazar Hazrat Muslim Bin aqeel r.a ny Mukhtaar bin ubaida k haan rehna munasib na samjha… kion k koufa mein mash’hoor ho chuka tha k aap r.a yahan qayaam pazeer hain.
Aap raat ke tareeki mein wahan sy nikal k Hani bin Urwa K haan chalay aay jo ‘muzdaj’ k sardaar or mohibay ehalay bait thay…
wo kehnay lagay k Aap r.a yahan na aaty to acha tha.
Aap ny farmaya k main khandaan e Risalat ka aik ghareeb ul watan musafir hon mujy panah dain.
Msg 5
… Hani ny kaha k agar Aap mery makaan mein dakhil na ho chuky hotay to main ye kehta k Aap yahan sy chalay jaein… lakin ab mere ghairat k khilaaf hy k main Aap ko ghar sy nikaal doun.
Hani ny makaan k aurton walay hissay k mehfooz kamry mein Aap r.a ko chupa deya or siwaay mehdood o makhsoos logon k dousron ko is raaz sy matlaa na keya.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *