15. Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ke Talash

*~*Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ke talaash*~*

Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a… Hani bin Urwah k ghar mein thehry huay thay.
Kafi log khufiya tour par aatay jatay thay or bait ka silsila bhe jari tha idhar ibn e ziyaad musalsal is talash mein tha k kisi tara pata chalay k Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko kis shakhs ny panah dy de hai.
Aakhir ous ny apny aik ghulaam ko bulaya or usay 3000 darham daitay hoay kaha k Muslim Bin Aqeel r.a or in k sathiyon ko talash kar k in sy mulaqaat karna or ounhain yeh maal dy kar batana k tum bhe ehalay bait k mohibeen mein sy ho. Is tara wo ghulaam jaameya masjid mein Hazrat Muslim Bin Oosja r.a k pass aaya jo namaz parrh rahay thay. Ghulaam ny logon sy kehtay souna k yehi shakhs Hazrat Imam Hussain r.a k numainda k tour par logon sy bait laity hain jab wo namaz sy farigh hoay tou is gulaam ny Hazrat Muslim Bin Oosja sy kaha k banda e khuda….
Main Shaami hon…
Msg 2
…. or Allah ka mujh par khas karam hy k main muhib e ehl e bait hon. Mery pass yeh 3000 dirham hein main ehal e bait k is fard ke khidmat mein ba’tour e hadiya paish kar k in ke bait karna chahta hon jo meri maloomaat k mutabiq Makkah sy koufa tashreef laaey hoay hein or Nawasa e Rasool S.A.WW Hazrat Imam Hussain r.a k leay bait laity hain or yeh bhe k aap wo ghar jantay hain jahan wo thehray hoay hein.
Aap sy darkhawast hy k mery sath is waqiya k hasool mein ta’aawun farmain or mujy in ki khidmat mein lay jaein.
Hazrat Muslim Bin Oosja r.a ny is ke ghairat mandi par khushi ka izhaar keya or farmaya k… jis sy tum muhabbat karty ho tum ousay paa lo gy or Allah ta’ala tumhary sabab sy apnay Nabi S.A.WW k ehal e bait ke madad farmaay ga.
Muslim Bin Oasja baghir kisi tehqeeq o taf’teesh k is mak’aar gulaam ko Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a k pass ly gaey jo lagataar 15 din wahan muqeem reh k muslim bin aqeel k nashist o barkhaast or sargarmion k baray mein pori pori maloomaat hasil krta raha…
Msg 3
…Gulaam ny Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a k hukam par Ibn e Ziyaad ka diya hoa maal arab k mash’hoor shehsawar abu usama amiri ko dy deay jo Imam ke janib sy amwaal ka zima daar tha.
Gulaam ny wapsi par Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ke qayaam gaah or is ghar k maalik ka pata or aap ke sargarmio ke mukamal tafseel ibn e ziad ko bata deein.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *