16. Umm e Hani Ke Giraftari

*~*Umm E Hani ki Giraftari*~*

Hani bin Urwah r.a koufa mein aik muqtadir shakhsiyat thay.
Ibn e ziyaad k sath in k pehlay sy ta’aluqaat thay.
Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k aanay sy pehlay in ka Ibn e ziyaad k pass aana jana rehta tha.
Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k apnay ghar aanay k baad…
Inhon ny beemari ka bahana kr k…
Ibn e ziyaad sy mail milaap tarak kr deya.
Ibn e ziyaad chun’k tamam halaat sy baa khabar ho chuka tha.
So aik din ous ny Hani r.a ka zikar krtay hoay pocha k dosray uma’ra k hamrah Hani hamain milnay kion nahi aata??
Logon ny btaya k wo beemar hy.
Ibn e ziyaad ny kaha k mujhy maloom hoa hy k wo apnay ghar k darwazay par baitha rehta hy.
Is k baad chand um’raa Hani r.a k pass gaey or kaha k Ibn e ziyaad ko Aap sy kuch bad gumani ho gae hy.
Is leay Aap hamaray sath chalain ta’k safai ho jaey or bad gumani dour ho jaey…
Hani r.a andar gaey or Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a sy baat ki or tayar ho kr um’raa k sath Ibn e ziyaad k pass chaly gy.
Msg 2…
…Governer house pohanch kr jab Hani r.a ny ibn e ziyaad ko salaam keya tou ous ny salaam ka jawab na deya.
Hani r.a is salook par mouta’ajib hoay…
Or dil mein khatka or khouf mehsoos hoa…
Kuch dair baad ibn e ziyaad ny kaha…
Aey Hani…!!
Muslim bin Aqeel kahan hein?
Unhon ny kaha,
“Mujhy Maloom nahi”
Is par wo Shaami gulaam outh kharra hoa jo Hamas (Shaam) k musafir k roop mein Hani k ghar qayam pazeer raha tha or jis ny Hani k samnay Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k hath par bait ki thee.
Or 3000 dirham ka nazrana bhe paish keya tha.
Ibn e ziyaad ny pocha kia tum is ko jantay ho?
Hani ny kaha “Haan”.
Gulaam ko daikh kr nadim hoay or kaha,
Aey Ameer..!!
Khuda Aap ka bhala karay.
Khuda ki qasam main ny ounhein apnay ghar aanay ki dawat nahi de thi.
Bal’k wo apnay Aap mere ghar mein aa gaey thay.
Ibn e ziyaad ny kaha k “phir ouhein yahan lay aao”
Msg 3…
….Hani r.a ny kaha k,
Khuda ki qasam..!!
agar wo mery paoun k neechay bhi hotay tou main oun k ouper sy paaon na uthata”
ye soun kr ibn e ziyaad ny kaha,
“Isay mere qareeb laao”
Jab Hani r.a ko ibn e ziyaad k qareeb laya geya tou ous ny Hani r.a k chehray par naizay sy waar keya jis sy oun ka chehra or naak zakhmi ho gaey.
Hani ibn e ziyaad par hamla krnay k leay aik sipahi sy talwaar cheen kar sontnay lagay tou logon ny ounhein pakar leya.
Ibn e ziyaad ny kaha k ab tum ny apna khoon halaal kr deya hy kion k tum kharji ho.
Is k baad ibn e ziyaad k hukam sy ounhein aik kamray mein band kar deya gaya.
Hani r.a ki qoum bani mazdaj yeh samajh kr k qatal kr deya geya… Governer house k darwazay par jama ho gae.
Ibn e ziyaad ny in ka shoor o ghul souna tou qazi shareeh sy jo ous k pass mojoud tha kaha k..
Aap in logon k pass jaein or in sy kahain k ameer ny ounhein sirf Muslim bin Aqeel k baray mein pouch gouch k leay rok rakha hy…
Msg 4…
….qazi shareeh ny ounhein ja kr kaha k tumhara Sardar zinda hy or ameer ny ousy aik halki si zarab lagai hy. tum wapas chalay jao.
Khud ko or apnay Sardar ko halakat mein na daalo.
Is par wo sab apnay gharon ko chalay gaey.
Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ny jab yeh khabar souni tou sawar ho kar nikal aaey.
Or apnay hamiyon ko madad k leay bulaya.
Faoran he 4000 koufi Aap r.a k gird jama ho gaey.
Aap ounhein ly kr Ibn e ziyaad ki traf rawana ho gaey.
Rastay mein Aap r.a logon ko Hani r.a k moamlay ki traf tawaja dilatay rahay or ounhein ikhtalaf o intashaar sy ijtinaab ki talqeen krtay rahay.
Isi doran Governer houae k mohafizeen ny Aap r.a ko daikh leya.
Or chilaey k Muslim bin Aqeel r.a aa gaey hein.
Ibn e ziyaad or ous k sathi bhaag kar mehal mein dakhil ho gaey.
Or darwaza band kr leya.
Hazrat Muslim bin Aqeel r.a mehal k darwazay par pohanch k apnay lashkar samait thehar gaey.
Mukhtalif qabail k sardar jo k ous waqt ibn e ziyaad k pass mojoud thay…
Msg 5…
Ibn e ziyaad k hukam sy mehal ki deewaron par charh gaey or apni apni qoum k oun aadmiyon ko jo Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k sath thay….
ounhein wapis chalay janay ko kaha or oun sy kuch waday bhe keay or kuch daraya dhamkaya bhe…
Is k elawa Ibn e ziyaad ny baaz sardaron ko mehal sy bahar bheij deya ta’k dosray logon ko Muslim bin Aqeel r.a ki himayat sy baaz rakh sakain or sath walon ko khabardaar kar sakein… jis mein wo kaamyaab rahay…
Ounhon ny kuch or harbay bhe istamal keay yanj kisi aourat ko ous k baitay bhai k pass bheja or ounhein Imaam k sath chourr kr ghar chalnay ki youn targheeb di k Hazrat Muslim bin Aqeel r.a k pass tumharay ilawa bhi bohat sy log hein.
Tumharay chalay janay sy koi farq nahi paray ga…
Kuch log apny azizon k pass aaey or ounhein shami foujon ki taqat sy mar’oub keya, fouj ki shaam sy rawangi ki khabar sunai or wapis na janay ki surat mein shami fouj sy muqabala or anjam sy draya…
Msg 6…
nateeja yeh hoa k rafta rafta logon ny Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ka sath chorrna shuru kar deya or namaz e maghrib tak sirf 30 aadmiyon ki muthi bhar jamayat Aap r.a k sath reh gae.
Aap r.a ny ounhi 30 afraad k sath namaz e maghrib adda ki or aahista aahista wo bhe sath chourr gaey.
Or ab yeh halat thee k koi haami ya hamdardi jatanay wala bhe sath na raha.
Andhaira chaa gaya. Or Aap r.a pareshani k aalam mein chaltay rahay.
Or tou’aa nami aik aorat k darwazay par jaa pohanchay.
Jo apnay ghar k darwazay par bethi apnay baitay bilal ka intazar kr rahi thee.
Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ny ous aourat sy kaha k mujhy pani pilaen.
Ous ny aap r.a ko pani pilaya or kuch dair k leay andar chali gae.
Dobara jo bahir nikli tou badas’tour ajnabi ko darwazay par paya.
Ous ny poucha k kia tum ny pani nai piya?
Aap r.a ny farmaya pee leya hy tou wo boli ba’aafiyat chalo or apnay ghar ko jao.
Tumhara mery ghar k darwazay par kharray rehna munasib nahi…
Msg 7
Is par Aap r.a janay lagay tou farmay k, Allah ki bandi…!!!
Is shehar mein mera koi ghar or qarabat dari nai hy.
Kia aap mujh par aik ehsan krain ge jis ka kal ham aap ko itna ajar bhi dain gy jo aap ko kafayat kray ga.
Ous ny kaha k banda e Khuda…
Wo kia Ehsan hy…??
Aap ny kaha main Muslim bin Aqeel hon or ous qouam ny mujhy jhoot bola or dhoka deya hy.
ous ny kaha k Aap Muslim r.a hein?
Aap r.a ny farmaya Haan!
Ous aourat ny kaha aap r.a andar aa jaen.
Phir ous aourat ny aap r.a k leay aik alehda kamrey mein bechona bicha deya or raat ka khana paish keya. Magar Aap ny khana na khaya.
Thori dair baad ous aorat ka baita bhi aa gaya.
Jab us ny apni maan ko baar baar us kamray mein aatay jatay daikha tou poucha k moamla kia hy?
Ous aourat ny kaha k baita is baat ko chorro magar jab baitay ny israr keya tou ous ki maan ny raaz faash na krnay ka ehad ly kr ousay Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ka haal btaya…
Msg 8
is par wo sari raat khamoshi sy laita raha or koi baat na kahi.
Idhar ibn e ziyad apnay umraa o ashraaf k sath mehal sy neechay utra or jamay masjid mein namaz adda ki.
Namaz k baad umraa sy Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ka mutaliba keya or ailaan keya k jis k pass Wo paey gaey or ous ny hamain italaa na di tou ous ka khoon hamaray leay mubah ho ga.
Or jo shakhs ounhein ly aaey ga ousay inaam deya jaey ga.
Is k elawa ibn e ziyad ny Imam Muslim r.a ki talash ka kaam police k sapurd keya or ounhein sakhti sy chokus rehnay ki takeed ki.
A’lal subh us burrhiya k baitay ny bhagam bhag Abdur rehman bin Muhammad bin ash’as ko Imam Muslim r.a k apnay ghar mojoud hony ki khabar jaa pohanchai… jis ny apnay walid sy ibn e ziyaad k darbaar mein sargoshi ki.
Abdur rehman ka baap ous waqt Ibn e ziyaad k pass betha tha.
Ibn e ziyaad ny pocha k tum sy kia kaha geya hy.
Tou ous ny Muslim bin Aqeel r.a ki khabar k baray mein bata deya…
Msg 9
…Ibn e ziyaad ny apni charri sy is k pehlu mein halka sa thoka or kaha k utho ousay abhe mere pass lao.
Ibn e ziyaad ny Umar bin haris makhzomi ko jo k aik police afsar tha 70, 80 sawaron k sath Abdur Rehman or Muhammad bin ash’as k hamraah Hazrat Muslim bib Aqeel r.a ki giraftaari k leay bhaij deya.
Hazrat Muslim r.a ko ous waqt khabar hoe jab ous makaan ka ghaira kr leya geya.
Jis mein Aap r.a mojoud thay.
Jab wo log makaan mein dakhil hoay tou Aap r.a talwar hath mein ly kr kharray ho gaey.
Or 3 baar ounhein makaan sy bahir dhakaila magar Aap r.a k ouper or neechay k dono hont zakhmi ho gaey.
Ous k baad wo pathar barsanay lagay or aag k golay andar phainkay jis sy Aap ka dam ghutnay laga.
Is leay Aap r.a talwar ly kr bahir aa gaey or oun sy muqabala krnay lagay.
Is par Abdur Rehman ny Aap r.a sy amaan or panah dainay ka wada keya or is trah sy Aap r.a ko giraftaar krna aasan ho gaya.
Ibn e ziyaad k sipahiyon ny Aap r.a sy talwaar cheen li or…
Msg 10
…swari k leay aik khachar ly aaey…
Ab Aap r.ki malkiyat mein siwaey Aap r.a ki zaat k or koi cheez baqi na rahi.
ous waqt aap r.a ny samajh leya k mujhy qatal kr deya jaey ga.
Kuch soch kr aap r.a ki aankhon sy aansoo jari ho gaey.
Ye daikh kr aik shakhs Abdullah bin Abaas salmi ny kaha k jis cheez k talabgaar ho ous k talab gaaron par jab aisi musibat aan parti hy tou wo roya nai krtay.
Aap ny jawab deya…
“Ba Khuda…!!
Main apnay leay nai rota or na hi apni moat par rota hon bal’k main tou Hazrat Imam Hussain r.a or ehl E Imam r.a k leay rota hon”
Phir Aap r.a Muhammad bin ash’as ki taraf mutawajha hoay or kaha k …
“Aey Allah k banday…!! Mera khayal hy k tum mujhy panah dainay ka ehad poura na kr sako gy.
Kia tum bhalai kr saktay ho k mere traf sy Imam Hussain r.a ki taraf kisi admi ko bhej do kion k mujhy yaqeen hy k…
Wo guzishta kal ya aaj apnay ehl o ay’yal ko sath ly kr tumhari traf rawana ho chukay hon gy…
Msg 11
… mujhy oun ki bohat fikar hy.
Qasid ounhein jaa kr kahay k mujhy Ibn e Aqeel r.a ny bhaija hy… jo k qouam k hathon giraftaar hy or jo maloom nai subha ya shaam ko qatal ho jaey ga.
Aap apnay ehl o ay’yal k sath wapis chalay jaein.
Kahin aisa na ho k ehl E Koufa Aap r.a ko bhe dhoka dain.
Ye Aap r.a k walid k wohi ashaab hein jo oun sy chutkara hasil krna chahtay thay….
Khaw oun ki tab’bai moat ki surat mein waqay hota khaw oun k qatal ki surat mein.
Ehl e koufa ny Aap r.a sy or mujh sy jhootay waday keay thay or darogh goee ki koi raaey nai ho ge.
Is par Ibn e ash’as ny kaha k Khuda ki qasam! Main ye kaam zaror karon ga.
Ibn e ash’as ny wo sari batain jo Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ny kahi theen aik khat mein likh kr aik shakhs ko sawari ka janwar or ehl o ay’yal ka kharcha dy kr Makkah rawana kr deya. Wo shakhs koufa sy rawana ho kr chaar raton ki musafat par Hazrat Imam Hussain r.a sy mila…
Ouhein Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ka khat deya …
Msg 12
…Or saray Halaat gosh guzar keay…
Is par Hazrat Imam Hussain r.a ny farmay jo muqadar ho chuka hy wo nazil ho kr rahay ga.
Hamara or hamaray hamayation ka faisla Khuda k Hazoor ho ga.
Jab Hazrat Muslim bin Aqeel e.a zakhmi halat mein khoon aalood chehray or libaas k sath tishna lab Governer house pohanchay tou wahan umaara or kuch dosray log bhe Ibn e Ziyaad sy milnay k leay ijazat k muntazir thay jin sy Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ki jaan pehchan thee…
Wahen aik taraf thanday pani ka aik matka parra tha.
Hazrat Muslim r.a ny ous mein sy pani peenay ka irada keya…
Tou aik admi ny kaha k Khuda ki qasam jahanum ka kholta hoa pani peenay sy pehlay too is matkay ka pani nai peay ga.
Aap r.a ny ousay kaha k kholta hoa pani peenay or hamesha k leay bharakti aag mein dakhil honay ka tou ziada haq daar hy.
Aap r.a thakawat or piyaas ki shidat sy nidhal ho kr deewar k sath taik laga kr baith gaey.
Is par Amarah bin Uqba bin abi Mueet ny apnay gulaam…
Msg 13
… ko bhaij kr apnay ghar sy thanday pani ki aik chaagal or aik piyala mangwa leya.
Amara ka gulaam pani bhar bhar k Aap r.a ko dainay laga magar 2,3 baar ki koshishon k bawajoud Aap r.a pani ko halaq sy neechay na utaar sakay.
Kion k ous mein chehray ka khoon mil jata tha.
Kae koshishon k baad jab Aap r.a ny pani peya tou pani ka piyala hataatay he Aap r.a k samnay k 2 dant neechay gir gaey.
Is par aap r.a ny farmay Alhamdu li’llah rizq maqsom mein sy pani peena abhi mery leay baqi tha.
Is k baad Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ko ibn e ziyaad k samnay paish keya gaya.
Jab Aap r.a ous k samnay paish hoay tou Aap r.a ny salaam na keya.
Darbaan ny pocha…
“Kia tum ameer ko salaam nai krtay?
Aap ny kaha…
” Nahi”
Agar is ka irada mera qatal krnay ka hy tou mujhy is ki hajat nahi.
Or agar is ka irada mery qatal krnay ka nahi hy tou isay salam krnay k or bohat sy mawaqay parray hein”
Ab Ibn e ziyaad Aap r.a sy mukhatib hoa k,
“Aey Ibn e Aqeel…!!
Msg 14
… logon mein Itafaaq or yak’jehti the or oun ki baat aik thee.
Tum aaey or in mein phot daal di, in ko aik dosray k khoon ka piyasa bana deya…
Aap ny kaha…
“Hargiz nai… main is kaam k leay nahi aaya… bal’k mera aana tou is leay k adal O insaaf qaaim ho or Allah ki Kitaab ka hukam nafiz ho”


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *