17. Hazrat Muslim Bin Aqeel Ke Shahadat

*~*Hazrat Muslim Bin Akeel ke Shahadat*~*

Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a or Ibn e ziad k darmiyan taweel guftagoo hoe… jis mein Ibn e Ziad mukhtalif ilzamaat lagata raha or Aap r.a in ilzamaat k jawab daity rahay or aakhir kaar Aap r.a ny jaan leya k is ny Aap r.a ko qatal karny ka hatmi faisla kar leya hy tou Aap r.a ny isay kaha k mujy wasiyat karny ke mohlat do.
Ibn e ziad ny kaha k Aap r.a wasiyat kar saktay hain Aap r.a ny hazreen par nazar daali tou oun mein umer bin abi waqaas b mojood tha. Aap r.a ny isay kaha k umer ! Tum sy mere qarabat dari hy mery sath mehal k aik goshay mein chalo ta’k tum sy akailay mein baat kar sakon lakin umer Bin saad ny Aap r.a k sath janay sy inkaar kar deya.
Akhir Ibn e ziyaad ny is ke ijazat dy de or wo Ibn e ziyaad k qareeb he alehdagi mein kharra ho gea.
Hazraat Muslim r.a ny is sy kaha k main ny 700 dirham qarz daina hy tum mere taraf sy yeh qarz ada k daina.
Ibn e ziyaad sy mere laash mang kar kafan kar daina…

Msg 2
… Or Hazrat Imam Hussain r.a ko mera paighaam dy daina k wo koufa ke taraf irada na karain… main ny Oun ko likha tha k log Aap r.a k sath hain mera khiyal hy k wo rawana ho chukay hon gay… koufa mein mery do bachy kas’ma’pursi ki halat mein hein jo abhe kuch dair baad yateem ho jaein gy oun ko mery bhai Hussaib r.a k pass pohancha daina.
Umer Bin saad ny Imam Muslim r.a ke tamam baatin Ibne ziyaad ko bata dein.
Is ny tamaam wasiyaton par amal ke ijazat dy de. Is k baad ibn e ziyaad k hukam sy Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko Governer house k ouper ly jaya gaya.
Wo takbeer o tehleel or tasbeeh o astaghfaar or darood shareef parrhtay ouper charr gaey or dua mangi k Aey Allah…!!
TOO hamary or is qoum k darmiaan faisla farma dy jis ny hamin dhoka deya or hamara sath chourr gaey hain is k baad jal’aad ny Aap r.a ka sar mubarik ko tan sy juda kar deya.
Ibne ziyaad ny Hani bin Urwah r.a k qatal ka hukam deya .
Hani ko qatal kr deya gya or in ki laash koufa k ‘hayaam e kunasa’ par latka de gae.
Baad mein Ibne ziyaad ny kuch dousry logon ko bhe qatal keya or shaam ki taraf saray waqiyaat yazeed ko likh kar bheuj deay.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *