18. Shadat e Farzandan e Muslim bin Aqeel

*~*Shahadat E Farzandaan E Hazrat Muslim Bin r.a Aqeel*~*

Hazrat Muslim bin Aqeel r.a koufay k bigrray hoay halaat ko daikh kr apnay bachon… Hazrat Muhammad r.a or Hazrat Ibrahim r.a ko Qazi shareeh k haan hifazat ki gharaz sy bheij chukay thay.
Tareekh ki kutab mein yeh bhi aata hy k Muhammad o Ibrahim dono masoom thay… oun ko bhi Muslim bin Aqeel r.a ki shahadat k baad shaheed kr deya gaya.
“Rozah ush Shuhadaa” mein Mula Hussain kashfi ny is waqiya ki tafseel youn biyan ki hy k Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ny oun dono Shehzadon ko yeh keh kr Qazi Shareeh k pass bheij deya k Baito…!!
tum idhar thehro main tumharay chacha Hani ki rehai k leay jang krnay jaa raha hon or abhi loat aata hon .
Wo dono ousi lamha sy apnay baap ki wapsi ka intazaar kr rahay thay.
Din guzra phir raat guzar gae par Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ko na wapis aana tha na aaey.
Bachay pareshani mein kuch khaa pee bhi nai rahay thay.

Msg 2
…Qazi shareeh bhe bachon ke halat daikh kar aaa’h bhar kar sar jhuka laitay… kion k wo bachon ko asal baat batany ke himat nai kar paa rahay thay.
2 din kuch na khaya or intazaar kea or intazar taweel ho gea to Ibraheem apny baray bhai sy kehnay laga bhai…!!
Khuda janay k aba jaan kab aain gy ?
Main to Madinay ke galiyon or doston k leay udaas ho geya hon mera dil chahta hy k main ourr k Madinay pohanch jaon mery dost kia kahein gy k ibraheem hamin koufa ja kar bhool geya… aisay he masoom baatein aapas mein kartay jisay soun kar qazi shareeh or in k ghar walon ka kalaija munh ko aany lagta.
isi doraan mein kufay ke galiyon mein ailaan hony laga k jo shakhs Muslim bin Aqeel r.a k dono baiton ko giraftar kar k laaye ga ousay inaam o akram sy nawaz jaay ga or jo shakhs in ko apny ghar mein panah dy ga ousay sakht saza de jay ge.
Is par jasous bacho ko har taraf talash karny lagy.

Msg 3
… Ab qazi sharee sy na raha geya or wo dil thaam kar barra pareshani ke halat mein shehzadon k sath arz karny laga…
“main baray afsoos k sath tumhain ye khabar sunany par majboor ho geya hon k tumhary baba Hazrat Muslim Bin Aqeel r.a ko shaheed kar deya geya hy or hazaron koufi jo kal tak tumhary hath choumtay thay tumhary daman chou chou kar apni ankhon sy lagaty thy or tumhary baba k hath par bait kar k oun ke khatir kat marny ka ailaan kartay thay sab k sab tumhara sath chourr chukay hain. Ab siway is k koe chara nai k tum chupkay sy Madina chalay jao agar main mazeed tumy yahan thehraoun tou kese lamhay bhe tumhari giraftari amal mein aa sakti hy”
Ounho ny apny baitay asad ko bula kar kaha,
“main ny suna hy k aaj Bab ul arakeen sy aik karwaan Madina rawana hony wala hy…

Msg 4…
…Oun donon bachon ko wahan ly jao or kisi hamdard or mohib ehl E bait k sapurd kr k ous ko halaat sy aagah kr daina or takeed kr daina k in ko ba hifazat Madina Munawara pohancha dy”
Asad jab ounn bachon ko ly kr pohancha tou maloom hoa k qafla thori dair pehlay chala geya.
Wo Bachon ko ly kr tezi sy aagay barrha or jab qafla ki gard nazar aaei tou bachon ko gard dikha kr kaha daikho wo qafla ki gard nazar aa rahi hy tum log jaldi sy jaa kr ous mein mil jao.
Main wapis jata hon.
Yeh keh kr wo wapis chala aaya or Bachay tezi sy aagay chalnay lagay magar thori dair baad gard gaa’ib ho gae or ounhein qafla na mila.
Masoom bachay oun halaat or tanhai sy ghabra kr ronay lagay.
Ibn e ziyaad ka ailaan soun kr maal o hawas ki laalach rakhnay walay sipahi bachon ki talaash mein niklay hoay thay. Thori dair baad unhon ny bachon ko pakarr leya or ibn e ziyaad k pass pohancha deya.
ous ny hukam deya k in ko…

Msg 5
… tab tak jail mein rakho jb tak k main ameer ul momineen yazeed sy pouch na loun k in k sath kia salook karna hy.
jail ka darogha ka Mshakoor naam tha.
wo muhib e ehal e bait tha usay bacho ke be’basi par bohat tars aaya ous ny faisla keya k bachon ke jan bachani hy chahay apni jaan he kion na chali jaaye.
Wo raat k andhairay mein bachon ko jail sy nikala kr apnay ghar laya khana khilaya apni angoothi bator e nishani de or ounhein Qaadsia ke raah par la kar kaha k tum log isi rastay par chalay jao.
Jb qaadsia pohanch jana to Qotwaal sy milna ousay hamari angouthi dikhana or saray halaat batana… wo hamara bhai hy wo tum logon ko ba hifazat Madina pohancha dy ga… dono bachy qaadsia ke raah per chal parry magar choun’k inhain bhe is choti umar mein shahadat sy sarfaraaz hona tha is leay wo rasta bhool gaey.

Msg 6…
… raat bhar chalny k baad jab suba hoe tou dono bhai ghoum phir kr ousi jagah pohanchay jahan sy koufa k bahir qaadsiya k rastay par chalay thay…
Yeh daikh kr in k masoom dil dehal gay, Wo khoaf zada ho gaey k kahein par koi pakar kr ibn e ziyaad k pas na pohancha dy.
Ounhein qareeb he aik khokhla darakht nazar aaya wahein pass aik kunwaan tha.
Dono ousi darakht ki aarh mein jaa kr baith gaey.
Thori dair baad aik londi pani bharnay aaei ous ny jab bachon ko daikha tou qareeb aaei or oun dono k norani chehron mein Shaan E Shehzadgi daikh kr kaha… Shehzadon tum log kon ho or yahan kaisay chupay baithay ho.
ounhon ny kaha ham yateem or bekas hein or raah bhatkay hoay musibat zadah musafir hein.
Londi ny kaha tumharay baap ka naam kia hy?
Baap ka naam suntay he oun ki aankhon sy aansoo behnay lagay. Ous ny kaha k tum Muslim bin Aqeel r.a k baitay ho…
Tou Wo or phout phout kr ronay lagay.
Londi ny kaha main jis ki londi hon wo muhib e ehl E bait hein.

Msg 7…
… aao chalo oun k pass ly jati hon.
Dono bhai ous k sath chal paray …
Laondi ounhein apni maalika k pass ly gae or sara waqiya bataya.
Maalika ko in shehzadon ki aamad par bohat khushi hoe.
Is khushi mein ous naik maalika ny londi ko aazad kr deya.
Or dono shehzadon k sath bari mohabat sy paish aaei or tasali dilati k fikar na kro londi sy kaha k in dono ki yahan tashreef aawari ka raaz posheeda rakhna.
Mery shohar haris ko na btana.
Idhar ibn e ziyaad ko jab maloom hoa k mashkoor darogha ny dono bachon ko reha kr deya hy tou ous ny Mashkoor ko bula kr poucha k tum ny Muslim k bachon ka kia keya.
Tou ous ny kaha k main ny Allah or OSS k Rasool S.A.WW ki raza or khushnoudi k leay oun ko reha kr deya hy.
Ibn e ziyaad ny kaha k tou mujh sy dara nahi.
ous ny kaha… Jo Allah sy darta hy wo kisi sy nai darta.
Ibn e ziyaad ny kaha tujhy oun bachon ki rehai par kia mila mashkoor ny kaha mujhy umeed hy k in k reha kerny k …

Msg 8
….sabab Hazoor Anwar S.A.WW qayamat k din mere shifa’at farma dain gay…. albata too Muslim Bin Aqeel r.a ko shaheed karny k sabab is naimat sy mehroom rahy ga. Ibne ziad is jawab par gazab naak ho geya or kaha k main abhe tujy sakht saza daita hon ous par Mashkoor ny kaha aik nahi agar mashkoor ke hazaar jaanein bhe hoon tou sab Oun par qurbaan hain.
Ibn e ziyaad ny kaha k isay itnay korray maaro k ye mar jaaye or phir is ka sar tan sy juda kar do.
Jalaad ny jab korray marny shuru keay to mashkoor ny pehlay koray par kaha… Bismillah Hir Rehman Nir Raheem.
Dousry par kaha…
iIlaah’hul Aalameen!
Mujhy sabar atta farma .
Tesry korray par kaha… Khuda E Wand…!!
Mujy bakhsh dy.
Chotht par kaha…
illaah’hul Aalameen…
Mujy ehal e bait e nabuwat ke mohabbat mein yeh saza mil rahi hai.
Paanchway per kaha… Ya Ilaahi…!!
Mujy apny Rasool S.A.WW or in k bait e athar k pass pohancha dy.
Phir is k baad khamosh gaey or jalaad ny oun ka kaam tamam kar deya.

Msg 9
… (Inaa lil’lahy Waa inaa elayhy Rajeoon)
Idhar wo naik bibi dil o jaan sy din bhar oun dono bhaion ki khidmat mein lagi rahi.Or har tarah sy ounki dil joee krti rahi…
Phir raat mein khana khila kr oun ko alag kamray mein sula kr wapis he aaei thee k ous ka shohar haris aa geya.
Aourat ny poucha aaj din bhar aap kahan rahay?
Haris ny kaha k darogha mashkoor ny Muslim bin Aqeel r.a k bachon ko qaid sy reha kr deya. Tou ameer Obaid ullah bin ziyaad ny ailaan keya k jo shakhs oun ko pakarr kr laaey ga ousay bohat inaam deya jaey ga.
Main ounhi bachon ki talaash mein din bhar pareshaan raha.Yahan tak k is bhag daorr mein mera ghorra bhi mar gaya.
Or mujhy oun ki talaash mein paidal chalna para.
Aourat ny kaha Allah sy daro or ehl e bait k baray mein aisa khiyal dil sy nikaal do.
Ous ny kaha chup reh tujhy kia maloom ibn e ziyaad ny kaha hy k jo shakhs oun bachon ko laaey ga wo usay maala maal kr dy ga.

Msg 10
….or log bhe bachon ki talash mein lagay rahay hein.
Aourat ny kaha k kitnay bad naseeb log hein jo duniya ki khatir oun yateem bachon ko dushman k hawalay krnay k leay talaash mein lagay hoay hein or is duniya k ei’waz apnay deen barbaad kr rahay hein.
Kal hashar mein wo Rasool E Khuda S.A.WW ko kia munh dikhaein gy.
Haris ka dil tabah ho chuka tha.
Bivi k samjhanay ka ous par koe asar na hoa.
Ous ny kaha k naseehat ki zarorat nai hy.
Main nafa nuqsaan khud samajhta hon.
Chal tou khana laa or wo khana khaa kr so geya.
Aadhi raat k baad barray bhai Muhammad ny khuwab daikha or baidaar ho kr chotay bhai ko jagatay hoay kaha k utho ab sonay ka waqt nahi raha.
Hamari Shahadat ka bhi waqt qareeb aa geya hy.
Abhi main ny khawab mein Abba Jaan ko daikha k wo Nabi Kareem S.A.WW, Hazrat Ali r.a, Hazrat Fatima tu Zahra r.a or Hazrat Hassan r.a k sath jannat ki sair kr rahay hein.
Or Hazoor Pak S.A.WW ny Abba jaan sy farma…

Msg 11
….rahay hain k tum chalay aaye or apnay bachon ko zalimo mein chorr aay to Abba jaan ny arz keya k wo b anqareeb aany waly hain.
Chotay bhai ny kaha k bhai jaan main ny bhe isi tarah ka khawab daikha hy.
Kia sach much ham log subah qatal kar diye jaein gy….
haeey ham aik dousray ko qatal hotay kaisy daikhein gy… yeh keh kar dono bhai aik dousray k galay mein bahein daal kar rony lagay in k rony sy haris ke aankh khul gae is zalim ny bivi ko jaga kar poucha k yeh bachon k ronay ke aawaz kahan sy aa rahi hy.
Aurat bechari seham gae or is ny koe jawab na deya.
Wo khud utha or charagh jala kar is kamry ke taraf geya jahan sy aawaz aa rahi thee jab andar dakhil hua to daikha k 2 bachay rotay hoay be haal so rahay hain is ny poucha tum kon ho. Bachay kion k is ghar ko apny leay panah gah samajhy hoay thy is leay ounho ny saaf bata deya k ham Muslim Bin Aqeel r.a k bachay hain.
Zalim yeh sountay he ghussy sy be qaboo ho geya.

Msg 12
…. Or kaha k main sara din dhondtay dhondtay pareshaan ho geya or tum hamaray he ghar mein aish kr rahay ho.
Ye kehtay hoay wo aagay barrha or intehaai be’rehmi sy ounhein marnay laga.
Or dono bhai takleef sy ronay cheekhnay lagay.
Aourat bhagi aaei or haris k qadmon mein sar rakh kr nehayat aajizi sy rotay hoay kehnay lagi k…
Ary Ye Fatima r.a k raaj dularay hein….
In ki chaand jaisi sorton py reham kha ly mera sar kuchal kr hawas ki aag bujha ly.
Lakin In Fatima r.a k jigar paron ko bakhsh dy.
Haris badbakht ny ousay itnay zor ki thokar mari k wo be’chari aik satoon sy takra kr lahoo lohaan ho gi.
Zalim jab Bachon ko martay martay thak geya tou dono bhaiyon ki mashkain kas deein.
Or dono ki zulfon sy khainch kr ounhein aapas mein aik dosray k sath bandh deya.
Or is k baad ye kehta hoa bahir nikal aaya k jis qadar tarrapna hy tarrap lo din nikaltay he mere chamakti hoe talwaar tumy hamesha k leay…

Msg 13
…. moat ke neend sula dy gi.
subah hoty he zaalim ny talwaar uthai, zehar mein bujha hoa khanjar sambhala or khoonkhaar bhairriye ke tarah kothari ke taraf barrha jahan bacahy maojud thay.
Naik bakht bivi ny bhaag kar pechay sy oun ki kamar thaam le haris ny itny zoor sy ousy dhaka deya k is ka sar aik dewaar mein ja laga or wo waheein gir parri.
Wo jab kothari mein geya to chamakti talwaar or chamakta khanjar daikh k dono bhai kanpny lagay.
Bad’bakht ny aagy barrh kar dono bhaiyon ko zulfon sy pakrra or nehayat be’dardi sy ghaseet’ta hoa bahir laya.
Takleef sy dono bhai rony lagay or faryaad krny lagay lakin zalim ko tars na aaya.
Samaan ki tarah aik khachar par laad kar darya e farat ke taraf chal parra jb ous k kinary par pohancha tou ounhain khachar sy outara oun ke mashkain kholein or samny kharra keya….

Msg 14…
….Phir miyaan sy talwaar nikali… Itnay mein bivi bhe peechay girti parrti hoe aa pohanchi…
Aatay he ous ny shohar ka hath pakarr leya or khushamad krtay hoay kaha k …
Khuda k leay ab bhi maan jao …
Ehl E bait E Risalat S.A.WW k khoon sy apnay hath rangeen na kro.
Daikho Bachon ki jaan soukhi jaa rahi hy talwaar in k samnay sy hata lo.
Magar haris par poori trah shaitaan sawar tha ous ny bivi par waar keya wo zakhmi ho kr giri or tarapnay lagi.
Bachay yeh manzar daikh kr or seham gaey.
Ab badbakht apni khoon aaloud talwaar ly kr bachon ki traf barha… Chotay Bhai par waar krna he chahta tha k bara bhai cheekh parra… Khuda k leay pehlay mujhy qatal kr do…
Main apnay bhai ki tarapti hoe laash nai daikh sakoon ga or chotay bhai ny bhi kaha k nai main bhe barray bhai k qatal ka manzar nai daikh sakoon ga.
Khuda k wastay pehlay mujhy he qatal kr do.
Zalim ki talwaar chamki or….

Msg 15
…. do nan’ni cheekhain buland hoein or yateem bachon k sar tan sy juda ho gaey.



Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *