19. Qatil ka Ajnam

*~*Qatil ka Anjaam*~*

Haris badbakht ny bachon ko shaheed krnay k baad oun ki laashon ko darya E Farat mein phaink deya or saron ko thailay mein rakh k ibn e ziyaad k samnay paish keya…
Ous ny poucha k is mein kia hy??
Haris ny kaha k inaam o ikram k leay dushmano k sar kaat kr laya hon… Ibn e ziyaad ny kaha k yeh sar kin dushman kon hein?
Haris ny kaha Muslim bin Aqeel k farzand…
Ibn e ziyaad yeh soun kr ghazab naak ho gaya or kaha k tujhy qatal krnay ka hukam kis ny deya tha.
Kambakht main ny Ameer ko likha hy k Muslim bin Aqeel k farzand giraftaar ho gay hein.
Agar hukam ho tou main aap k pass zinda bheij don.
Agar ab yazeed ny zinda bhejnay ka hukam deya tou phir main kia kron ga ??
Too mery pass ounhein zinda kion nai laya.
Haris ny kaha mujhy andaisha tha k shehar k log mujh sy cheein lain gy.
Ibn e ziyaad ny kaha k agar cheein lainay ka dar tha tou kisi mehfoz jagha par oun ko thehra kr mujhy it’talaa krty…
Msg 2…
…Main sipahiyon k zariye mangwa laita .
Tum ny mery hukam k bagair oun ko qatal kion keya…??
Phir ibn e ziyaad ny majmaa par nazar dali or aik shakhs jis ka naam maqaatil tha ous sy kaha k is badbakht ki gardan maar dy.
Chunachay haris ki gardan maar di gae or wo duniya o aakhrat ka khasara panay walo mein ho gaya.
Aik riwayat mein biyan kiya jata hy k marny sy pehly jab maqaatil haris ko galiyon mein ousi tarah ghaseet kr ly ja raha tha jis tarah jis tarah masoom bachon ko ghaseeta tha tou haris min’natein kr raha tha k mujhy is qadar zaleel na kr or chourr dy. Maqaatil ny kaha k tou aaj sari duniya ki bhe doulat dy dy tou tujhy na chourroun ga tujhy tere he talwar sy jahanam raseed kron ga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *