“Tip 5” Dil Aik ka karna hota hai  Ishq mein jab be koe aashiq ata hy tou osay sb sy pehly yehi samajh aati k… Yahan sar sy be pehly dil apny he hathon sy osi aik ka kar daina hota hy. Ab jab k dil ke sari saltanat os aik ke ho gae tou samjho k dil osi aik k zairay asar ageya na… Is leay ab dil kion k os aik he Mashooq k zaire asar hy tou ab baki dunia k halaat k asraat k sath dil k UP ya DOWN honay ke gunjaaish tou nai rehti na… Or agar aashiq kaRead More →

“TIP 6” Aaashiq jahan duniya k hasaas tareen insaan hota hy… waheen wo behiss tareen insaan bhe hota hy… Aashiq intahaai hasaas hota hy par sirf apnay Mashooq k leay… Or behiss tareen bhe hota hy aisay k dunia k koe ihsas jis mein garmi sardi, bhook piyaas, khail kood, khushi ghamm, khubsurti badsurti…etc Koe bhe is par apna ihsas nahi chorrta… Os ka har ihsas Mashooq k ihsas sy shuru ho k osi par khatam ho jata hy… Aashiq sardi garmi, khushi gham ya rona hansna…etc saray ihsasaat mein sirf aik Mashooq sy wabasta hotay hein or wo har ihsas mein Mashooq ke qurbatRead More →

 “Tip 7” Aashiq ka dil… muhabat ka thaathein maarta samundar… Aashiq kr nas nas mein muhabat bhari parri hoti hy, jisay wo apnay Mashooq sy ishq k sadqay mein sirf baant’ta he nahi bulky lutaata hy… ye daikhay bina k kon muhabat k qaabil hy or kon nahi… kion k aashiq jitna muhabat lutaata hy, osay apnay Mashooq sy outni he or ziada muhabat atta hoti rehti hy… Jo aashiq bhe chahay ga k oe ka ishq or Mashooq sy qurbat barrhay…wo siada sy ziada muhabat lutaaey ga… Or wo mugabat sirf insaano sy nahi, bulky har jaandaar o bejaan sy hata k tamaam mazaaherRead More →

“Tip 8” Aashiq qaaidi hota hy.. Apny Mashooq ka qaidi.. Apne marzi sy qaidi banta hy.. Bazahir azaad hitay hoay be andar sy qaaid hota hy. Ab qaaid shakhs kia or kis had tak apne maezi chala sakta hy..?? Tou phir sochein na k aisay he aashiq kia or kaisay ya kitni marzi chala sakta hy… Jo jitna ishq karta hy…wo outna he qaaid hota hy… or jo jitna qaaid hota hy…wo outna he apne marzi na kr saknay pr majbur… Ab apna apna jaaiza laina or khud he faaisla kr lain k aap kaisa or kitna ishq kr rahy hein… Kion k aap kiaRead More →

“Tip 9” Dunia ki cheezon sy apnayiat Ishq… raasta hy fana hy. Aashiq baki har cheez tou kia… apna aap bhe mitta daina chahta hy. Ab jab k aik aashiq apna aap bhe mitta daina chahta hy tou phir cheezein kaisay is ke ho gaein… Or agar cheezein osay aone lagti hein tou wo aashiq apna ishq check kar k pure karay… Kion k jab ham khud he apnay na rahay tou cheezein mere kahan hamare kahan ho sakti hein… Is leay agar cheezon st aonaiyat mehsoos hoti hy or hamaray andar kisi na kisi hawalay sy duniya ke cheezon k leay ye ihsas sarRead More →

“Tip 10” Talab or Ishq  Ishq mein aashiq ke talab os k ishq ko barrhanay ke waja banti hy… Ab talab jitni shadeed ho ge tou ishq outna he bharrkay ga… Jaisay lohon lo dunuya mein koe talab hoti hy tou wo os talab k leay bohat kuch kar jaatay hein… Apne routine mamoolaat or moaamlaat ko os talab k taabay reh k chalaatay hein… Jaisay koe student doctor ban’na chahata hy tou wo apne doctor ban’nay ke talab k raabay kar daita hy… apna sona jaagna, milana milana, dostiyaan ristadariyan nibhana, school tution or parhaai… ye sab kuch os ke doctor ban’nay ke talabRead More →

Tip 11″ “Lab seeti jaa …Hanjoo peeti jaa… Ishq mein agar aashiq taizi sy apna ishq barrhana chahata hy tou… Apna asool bana ly k.. “Lab seeti jaa tay… Hanjoo peeti jaa…” Jis ny ishq mein dard ko peenay ka ye pehla step karna start kar deya tou samjho k wo aashiq har bar jab zaban kholay bina… apnay dard k hanjoo khud he apnay andar outaarta or oeeta jata hy tou wo aik aik step ishq ke bulaandi ke jaanib barrhta jata hy… Bilkul aisay he jaisay k ham aik aik kar k seerrhiyaan charrtay hoay oupar ke janib jatay hein… Ab ye harRead More →

“Tip 12”  Nazar wich kul jahan … hikkay passay dehan Aashiq k leay… Nazar wich koul jahan honda ey… Hikay paasay dhiyaan honda ey… Dhiyaan… matlab khiyal Ab aashiq ko hikay paasay dhiyaan rakhnay k leay… apnay dhiyaan ka bhe dhiyaan rakhna ho ga… K aashiq k dhiyaan mein sirf Mashooq rahay… nazar mein beshuk sara jahan rahay par aashiq alert rehta hy k… zara sa bhe dhiyaan idhar oudhar na ho… Is leay aaj apnay dhiyaan ka dhiyaan rakhein or share karein k dhiyaan ny kaisay Mashooq ko he focus rakha…??? Ya agar miss keya tou kaisay or phir aap ny kaisay apnay dhiyaanRead More →

“Tip 13” AIK k Ihsas Sy Wabasta Hona Aashiq k leay har ihsas Mashooq sy wabasta hota hy… Ye baat har aashiq kehta bhe hy… Par yahan par sirf alfaaz keh dainay ya kehtay rehnay sy kaam nahi chalay ga… Yahan agar aashiq zindagi ke routine k mukhtalif maoqon par khud ko check karay tou osay khud ko bakhoobi andaza ho jaaey ga k kab kab kahan kahan or kitna kitna main sirf kisi aik k ihsas k sath kisi bhe situation sy nikalta hon… Maslan…. Gham ka khushi mein dhal jana osi aik sy ho… Beyaqeeni or mayousi sy nikal k yaqeen or umeedRead More →

“Tip 14” Too Daikhay Muskura Kar Har aashiq ke apnay Mashooq k hawalay sy aik sab sy barri khwaahis hoti hy k… *Too Daikhay Muskura Kar* Or aisa lamha paanay k leay aashiq aik aik kar k apna tann mann dhann sab lutaata ja raha hota hy shaaid ab shaaid ab shaaid ab… Too Daikhay Muskura Kar… Aashiq ye sab kartay hoay sirf Mashooq ke muskurahat paanay ke justajo mein laga hoa aisa magan hota hy k osay bhol jata hy k… os k kisi bhe soch ya amal par ghar walay, dost, rishtadar ya milnay walay kis nazar sy daikh rahay hotay hein… DuniyaRead More →