Step 2 – Arkan e Islam (Day 13)

Namaz e Safar

Safar karnae walon ky liye Allah ny namaz mae kuch sahoolat de hy jisae namaz e musafir ya namaz e qasar kaha jata hy. Is ky mutalik Hukam e Khuda Wandi hy keh…
” Aur jab tum zameen mae safar ky liye nikalo tau tum par koi muzaika nhee keh tum namaz mae qasar kar lo.Agar khoof ho keh kafir tum ko fitna mae daalaein gae.” (Nisa 101)

● Hazrat Umar Farooq(r.a) ky dariyaft karnae par Pyaraay Nabi (S.A.WW) ny irshad farmaya…
” Suno namaz mae qasr karna yeh Allah ka aik sadqa hy jo Us ny tum par farmaya hy. Lehaza Allah ka yeh sadqa(atiya) qabool karo.” (Muslim Shareef)

● Hazrat Abdullah Bin Umar(r.a) farmatae hain keh Nabi e Karaam(S.A.WW) ny( zuhr, asar aur Isha ke) sare namaz safar mae do rakataein muqarar farmaein aur yeh sawab mae poore 4 ky barabar hain. Kam nhe.( Ibne Ma’aja)

● Jab ap apnae shehar ya baste sy 92 km door gae hain aur 15 din sy kam rehnae ka irada hy tau ap deen ky hadood ky mutabiq musaffir kehlaein gae. Lehaza tab ap namaz e qasar ada karaein gae.

● Fajr ke namaz ky qasar nhe hote.yeh 2 sunnat aur 2 farz he ada karnae hotae hain

● Zuhr aur asar ke namaz e qasar mae sirf 2 farz ada kiye jatae hain

● Maghrib ke namaz e qasr mae 3 farz parhae jatae hain

● Isha ke namaz e qasar mae 2 farz aur 3 witar ada karnae hotae hain.


 

Sajda E Tilawat ka Biyan

Tilawat k maani Quran e Paak parhny k hein.
Quran e pak mein chouda (14) maqamaat aisy hein k jin k parhny ya parhyty huy soun’ny sy sajda e tilawat krna wajib ho jata hy.
Is sajda k ada krny k leay bhe wohi sharaait hein jo namaz ki hein yani….
1. Badan ka paak hona
2. Kapron ka paak hona
3. Jagah ka paak hona
4. Qibla rukh hona
5. Sat’tar ka chupa hona
6. Sajda e tilawat ki niyyat krna

Hadees e mubarika hy k, “Jab koe sajda ki aayt parh kr sajda krta hy tou shaitaan kony mein baith kr rota hy or kehta hy k afsoos ibn e Aadam ko sajda ka hukm hua tha ous ny sajda kiya ous k leay jannat hy, myjhy sajdy ka hukm hua tou main na mana mery leay jahanam hy”

Sajda e Tilawat k Masaail

1. Sajda e tilawat agar namaz mein wajib hua hy tou namaz he mein ada krna wajib hy.
Agar koe shakhs namaz mein sajda ki aayt parhy or sajda na kry tou gunahgaar ho ga or is k siwa koe tadbeer nai k toba kry or Allah apny karam sy moaf kr dy.

2. Namaz mein sajda ki aayt parhi or ous k foran baad ya do teen aaytein parhny k baad rakoou kiya or rakoou mein jhukty waqt sajda e tilawat ki bhe niyat kr li tou sajda ada ho jaye ga.

3. Sajda e tilawat ki aayt k baad namaz ka sajda ada kiya jaye (yani rakoou or qouma k baad sajda kry) tou ous namaz k sajdy mein he sajda e tilawat bhe ada ho jaye ga.

4. Juma or eidain ki namazon mein sajda ki aayt nai parhni chahiye.

5. Koe aourat haiz o nafas ki halat mein sajda ki aayt souny tou ous par sajda wajib na ho ga lakin agar aisi halat mein sajda ki aayt souni k haiz o nafas band ho chuka tou ous ki nahay k baad sajda krna zaroori hy.

6. Sajda ki aayt likhny ya hijy krny sy sajda wajib nai hota.

7. Agar koe sajda ki aari aayt mein sy sirf sajda ka kalma parhy ya sajda ki aksay aayt parhy lakin sajda ka kalma chour dy tou sajda wajib na ho ga.

8. Agar sajda ki aayt tilawat krty waqt koe majbouri aisi ho k sajda na kiya ja saky tou ous waqt yeh kalmaat parh lain….
SAMENA WA ATA’NA GHUFRANAKA RABANA WA ALIKAL MASEER
or phir majbouri khatam hony k baad sajda e tilawat kr lain.

9. Aik he jagah baithy baithy sajda ki aayt ko baar baar parhain tou aik he sajda wajib hy or aik jagah baithy baithy sajda ki aayt parhi or phir outh kr kisi kaam sy chaly gy or dobara aa kr pehli jagah pr baith kr wohi aayt parhi tou dousra sajda krain.
aisy he aik martaba sajda ki aayt parhi or ous k baad khany peeny ya kisi or kaam mein masroof ho gy or phir farigh hony k baad wohi aayt parhi tou do sajdy krny hon gy.

10. Agar parhny waly ny jagah nai badli or aik he jagah baithy baithy sajda ki aayt parhi or soun’ny waly ny jagah badli tou soun’ny wala jitni martaba jagah badly ga outny he sajdy ous par wajib hon gy.

11. Jo sajdae wale aayat parhae ya sunaein ga tau usee par sajda karna wajib ho ga…koi aur yeh sajda ada nhe kar sakta. Jo dastoor hy keh khatam e Quran par kisi aik ko 14 sajdaein karnae ka keh diya jata hy tau yeh ghalat hy.

12. Sajda e Tilawat ke neeyat hote hy laikaan is ky aakhir mae salaam nhe phaerna hota.



EXERCISE QUESTIONS /30

MCQ’s /5

1. Safar karnae walon ky liye Allah ny namaz mae kuch _____ de hy jisae namaz e qasar kehtae hain.
a) Sahoolat
b) Pabandi
c) Nawafil

2. Kitnae faslae par namaz e Qasar parhna Wajib ho jata hy?

a) 90 km
b) 94 km
c) 92 km

3. Kitnae din sy kam rehnae par namaz e qasar parhna zaroori hota hy ?
a) 20
b) 15
c) 25

4. Asar ke namaz e qasr mae kitnae farz parhnae ka hukam hy?
a) 2
b) 4
c) 8

5. Maghrib ke namaz e qasr mae kya parhna hota hy ?
a) 3 suntaein
b) 3 farz
c) 3 nafal

Fill in the blanks  /5

1. Quran e Pak mae _____ maqamaat par Sajda e Tilawat karna zaroori hy.
2. Parhnae aur _____ walae par Sajda e Tilawat karna zaroori hy.
3. Isha ke namaz e qasar mae 2 farz aur _____ parhna lazim hy.
4. Sajda e tilawat agar namaz mae wajib hua hy tau _____ he mae ada karna zaroori hy.
5. Jumma aur _____ ke namazon mae sajda ke aayat nhe parhne chahiye.

 

True/False /5

1. Koi aurat agar Haiz o Nafs ke halat mae sajda ke aayat sunae tau us par sajda wajib na ho ga.
2. Sajdah ke aayat likhnae sy bhi Sajdah wajib ho jata hy.
3. Sajda e tilawat ky baad salaam phaerna bhi zaroori hota hy.
4. Fajr ke namaz e qasr nhe hote.
5. Tilawat ky ma’ani Quran e Paak sunanae ky hain.

Short Answer Questions /15

1. Namaz e Qasar ky mutabiq Pyaraay Aaqa S.a.WW ke koi hadees e mubarika beyaan karaein.

2. Sajda e Tilawat ky havalae sy koi aayat e Mubarika ya Hadis e Mubarika beyan karaein.

3. Sajda e Tilawat ada karnae ky kya sharait hain. Beyaan karaein.

4. Kis par Sajda e Tilawat ada karna kab wajib hota hy?

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (c)
3. (b)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. 14
2. Sunanae
3. Teen witar
4. Namaz
5. Sajdah

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Yeh har aik ka apna jawab ho ga(Upar walae msgs mae bhi kuch given hain)

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga. (Upar walae msgs mae bhi kuch given hain)

3. Is ky bhi wohe sharait hain jo namaz ky hain…
▪Badan ka pak hona
▪Kapron ka pak hona
▪Jagah ka pak hona
▪Qibla rukh hona
▪Sat’tar ka chupa hona
▪Sajda e tilawat ke neeyat karna

4. Jo sajdae ke aayat parhae ya sunae tau us par sajdaa e tilawat wajib ho jata hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *