Step 2 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W ( Day 35)

 Libbas

Libbas qudrat ka behtreen atiya hy jis sy musalman apna jism dhanpty hein.
Satar poshi ko shariyat mein zaroori qarar deya hy, satar poshi ko Allah ny insani fitrat mein rakha hy.
Jab Hazrat Aadam jannat mein rehty thy tou oun k jism par libbas tha Allah k hukm ke pabandi na krny ke wajah sy wo libbas outara geya or oun ko jab ehsas hoa tou eo darkht k pat’ton sy jism ko dhanpny lagy is ka matlab hy k satar poshi kis qadar zaroori hy.
Mardon k leay naaf sy ly kar ghutno tak or aourton k leay sar k balon sy ly kar takhnon tak satar qarar deya geya hy yani chehry, hathon or paoun k ilawa sub satar mein aata hy.
Allah farmata hy…
Al-Quran
sorat Al-Airaaf
“Aey Bani Aadam…!!
hum ny tum par poshak outari k tumhara satar dhanpy or tumhary badan ko zeenat dy”
aik or jagah hy k,
“Aey aoulaad e Aadam hum ny tumhary leay libbas qaaim keya ta’k tumhary jism k qabil e sharm hisson ko dhanp or tumhary leay hifazat or zeenat ka zariya bany”.


 

 Libbas K Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW Ka Uswa E Husna 

* Aap S.A.WW ko libbas mein kurta pasand tha jis ke lambaai ziada na hoti or aasteen bhe lambi na hoti.

*Aap S A.WW safar ke halat mein tang aasteen wala juba pehnty thy.

* Aap S.A.WW ko kapron mein munaqash chadrain bohat pasand theein.

*Aap S.A.WW sufaid topi pehnty thy.
Aap S.A.WW farmaty k hamary or mushrikeen k darmiyan topi par amamy ka farq hy.

* Aap S.A.WW aik paivand lagi chadar or moti tehband zaib e tan farmaty.

*Aap S.A.WW sufaid libbas pasand farmaty thy.

*Aap S A.WW gandy or maily libbas ko napasnd farmaty thy.

* Aap S.A.WW ny umda libbas ko pasand farmaya.

*Aap S.A.WW sar par chadar bhe rakhty thy.


 

 Aourton Ka Masnoon Libbas 

Aourton ka masnoon libbas yeh hy k oun ka libbas mota ho jis sy badan ka rang or libbas nazar na aaein, dheela dhala ho, chust na ho,
badan ke hai’eyat ko numayan or zahir krny wala na ho or na mardon k mushabeh ho.
Hazrat Ayesha r.a farmati hein k Hazrat Asma Bint e Abi Bakar Aap S A.WW k pass tashreef laaein oun k jism par bareek kapra tha Aap S.A.WW ny be rukhi barti or farnaya k Aey Asma jab aourat baligh ho jaye tou ous ka jism aisa na ho k nazar aaye magar yeh or yeh, Aap S.A.WW hath or chehry ke taraf ishara farmaya.


 

 Libbas K Masnoon Aadaab 

1* Libbas sada ho.

2* Ziada qeemti na ho.

3* Libbas mukamal jiam ko chuppany wala ho.

4* Kapra seedhi taraf sy pehn’nana sunnat hy yani pehly daayan bazoo phir bayan or phir gala dalna.

5* isi tarah shalwar ya pajama daalty hoay pehly daaein taraf sy daalain.

6.* Utarty hoay pehly baaein taraf sy outarain.

7* Musalman ka tehband nisf pindli tak hona chahiye.
Takhno tak bhe hony mein koe harj nai albata takhno sy neechy ho tou wo aag mein ho ga.

8* Jo shakhs takabur sy tehband neechy ghaseety ga Allah ous ke taraf nazar nai farmaye.

9* Mardon ko raishmi libbas pehn’nany sy mana keya geya hy.

10* Naya libbas pehn kar Allah ke tareef or shukr ada krna chahiye.

11* Naya libbas pehn kar yeh dua parhy,
Tarjuma:-
“Sub tareefain Allah k leay hein jis ny mujhy yeh libbas pehnaya or taqat or taqat or quwat k bghair ata farma”

* Duniya mein shohrat or izzat k leay qeemti libbas pehn’nana na pasand farmaya hy.

*Jis kapry par phool bouty bany hon tou ous ka istamaal jaaiz hy.

*Jandaron ke tasveeron waly kapry ka istamaal khilaaf e sunnat hy.

*Purany or phaty purany libbas ko paivand laga k pehn’nana sunnat hy.

* Purany kapry pehn’nana sunnat hy.

* Kam qeemat, sada, saaf or pur waqar libbas pehn’nana aajiz logon ke nishani hy.

*Apni hasiyat sy ziada qeemti libbas ka khareedna darust nai par sahib e hasiyat hoty hoay bhe libbas sy apni shikasta haali zahir karty hoay saaf libbas na pehn’nana Allah ke na shukri hy.

*Piary Aaqa S.A.WW ny sary badan par aik libbas pehn’nany sy mana farmaya hy yani jism k ouper hissy par or ho or neechy jism k hissy par or ho.
Msg 2

*Mard k leay aourat or aourat k leay mardon jaisa libbas pehn’nana mana hy.

* Aourtein itna bareek libbas na pehnain jis sy jism k aza nazar aaein.

* Aourton ko bareek doupata ourhny sy mana keya geya hy.

* Aourton k leay tang or chust libbas pehn’nana haram hy.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Aourtein itna bareek libas na pehnein k nazar aaein,
a. jism k baal
b. jism k nishan
c. jism k az’za

2. konsy kapry pehn’nana jaaiz hy?
a. bareek
b. jandaron ke tasaveer waly
c. phool bouton waly

3. aourton k leay masnoon libbas hy,
a. dheela dhala
b. chust
c. saaf suthra

4. Aap S.A.WW ka pasandeeda libbas tha,
a. sufaid
b. kala
c. surh

5. Aap S.A.WW sar par rakhty thy,
a. toupi
b. chadar
c. dono

 Fill in the Blanks  /5

1. Aourton k ____ , ___ or paoun k ilawa sub sat’tar mein shamil hy.
2. sada magar pur waqar libas _____ logon ke nishani hy.
3. Aourton ka libbas badan ke _____ ko numayan krny wala na ho.
4. Ous mard par ______ farmaei jo aourton jaisa libbas pehny.
5. _____ ke tasaveer waly kapron ka istamaal khilaaf e sunnat hy.

True / False /5

1. Mardon k leay naaf sy ghutnon tak sat’tar hy.
2. Aap S.A.WW munaqish chadrain pasnd farmaty thy.
3. Aourton ko bareek doupata ourhny ke ijazat hy.
4. Apni hasiyat k mutabiq libbas na pehn’nana na shukri hy.
5. phaty purany kapron ko paiwand laga kr pehn’nana sunnat hy.

Short Answer Questions /15

1. Sat’tar poshi k leay quran e pak mein keya hukm aaya hy?

2. Mardon or aourton k leay sat’tar poshi ke kia had muqarar ke gi hy??

3. Aap S.A.WW kis qism ka libbas pasand farmaty thy?

4. Naya libbas pehn’nany ke dua ka tarjuma likhein.

5. kapry pehn’nany or outartny ka masnoon tareeqa keya hy??


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (c)
3. (a)
4. (a)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. chehry / hath
2. aajiz
3. hai’yat
4. lanat
5. jandaron

True/False

1. ✔
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. dono mein sy aik qurani aayt.

2. mardon k leay naaf sy ghutnon tak
or
aourton k leay chehry, hath or paub k ilawa poura jism sat’tar mein shamil hy.

3. yeh sub apny ilfaz mein biyan krain gy
4. Tarjuma…
“Sub tareefain Allah k leay hein jis ny mujhy yeb libbas pehnaya or taqat or quwat k bghair ata frmaya”

5. kapra seedhi taraf sy pehn’nana sunnat hy yani qameez ka pehly dayan bazoo phir bayan or phir gala pehnain.
isi tarah shalwar ya pajama bhe pehly daaein or phir baaein taraf sy pehnein.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *