Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W (Day 28)

Miswak K Silsila Mein Aap S.A.WW Ka Uswa e Hasna

1* Aap S.A.WW ja bhe namaz k leay ghar sy nikalty tou miswak farmaty.

2* Jab ghar mein dakhil hoty tou sub sy pehla kaam miswak krny ka karty.

3* Raat ko Aap S.A.WW k bistar par he miswak rakh deya jata.
Allah pak jab chahta Aap raat ko outhty, miswak karty, wazoo farmaty or namaz parhty.

4* Teen ouqaat mein Aap S.A.WW miswak ka ehtamam farmaty…
i.Raat ko soty waqt
ii.Jab raat k kisi pehar outhty.
iii. Jab subah namaz k leay tashreef ly jaty.

5* Aap S.A.WW masjid mein bhe miswak or kanghee sath rakhty.

6* Halat e ehram mein bhe Aap S.A.WW ny miswak farmaya.

7* Aap S.A.WW miswak safar mein bhe saath rakhty.

8* Aap S.A.WW rozy ke halat mein kasrat sy miswak farmaty.


 

Miswak Sy Parhi Gi Namaz Ke Fazeelt

1*Hazrat Ayesha r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya k…
“Miswak k saath namaz ka swab satar guna zaaid hy ous namaz sy jo bila miswak k parhi gi ho”.

2* Hazrat Ayesha r.a frmati hein k Aap S.A.WW by farmaya k…
“Main do rak’at miswak wali namaz parhon yeh mujhy ziada pasand or mehboob hy banisbat is k main bila miswak k satar rakaat parhon”.

3* Ibn e shahab zahri sy riwayat hy k…
“Aadmi jab din ya raat mein achi tarah wazoo krta hy or miswak krta hy phir namaz k leay khara hota hy tou frishty ous k ird gird chakar lagaty hein or phir ous k qareeb jaty hein yahan tak k ous k munh par apna munh rakh daity hein pas wo quran parhta hy or frishty ka munh ous k munh mein rehta hy agar miswak kr k namaz nai parhta tou frishty ghoumty hein magar apna munh nai rakhty”.

4* Hazrat Ali a.s sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya k…
“Jab tum mein sy koe raat mein baidar ho tou miswak kro is leay aadmi jab raat mein baidar hota hy tou miswak krta hy, wazoo krta hy, phir namaz k leay khara ho jata hy, frishty aaty hein or ous k peechy khary ho jaty hein, quran e pak sounty hein or ous k qareeb ho jaty hein yahan tak k ous k munh mein apna munh rakh daity hein”.


 

 Miswak Ke Khoubiyan 

Miswak ke khobiyan Hazrat Anis r.s sy riwayat hein.

1* Munh ke safai krta hy.

2* Allah ke khushnoudi hasil hoti hy.

3* Miswak krna shaita ko naraz krta hy.

4* Farishton ke muhabat ka baes hy.

5* Masoory mazboot krta hy.

6* Munh ko acha rakhta hy.

7* Balgham ko khatam krta hy.

8* Garmi ko kam karta hy.

9* Binaai ko taiz krta hy.

10* Miswak krna sunnat hy.

11* Naikion mein satar guna izafy ka baes hy.

12* Danton ko sufaid rakhta hy.

13* Miswak bhook lagata hy.


 

 Aourton K Leay Miswak Masnoon 

Hazrat Ayesha r.a farmati hein k…
Aap S.A.W W miswak farmaty, phir mujhy miswak daity ta’k main dho doun tou main miswak krny lag jati phir dhoti or Aap S.A.WW ko dy daiti.
Wasla Bin Al-Asqaa kehty hein k…
Sahab karam ralwaron k daston mein miswak bandh deya karty thy or aourtein apni chadron or dupaton mein bandh leya krti theein.
is sy pata chalta hy k jis tarah mardon k leay niswak sunnat hy isi tarah aourton k leay bhe sunnat or masnoon hy.


Miswak K Fwaaid O Barkaat

Allahma Tahtavi ny miswak k deeni or duyavi fwaaid jo Haxrat Ibn e Abbas r.a or Hazrat Ata sy manqool hein biyan krty hoay farmaya k miswak keya kro is sy taghafal mat keya kro is k yeh fwaaid hein.

1* Miswak ke namaz ka swab ni’nan’way gunnah balky char so chalis gunah tak barh jata hy.

2* Is ka hamesha usramaal wusat e rizq ka baes hy.

3* Maaldari laata hy.

4* Asbab e rizq ke sahoolat ka baes hy.

5* Daf e dard e sar hy.

6* Sar ke ragon k leay mufeed hy.

7* Daant mazboot krta hy.

8* Fasahat o balafhat paida krta hy.

9* Quwat e hafiza barhata hy.

10* Aqal ke ziadti ka baes hy.

11. Dil ko nazeef rakhta hy.

12.Naikion ko zaaid krta hy.

13* Chehry munawar ho jany sy farishty musafa krty hein.

14* Namaz mein farishty ous k sath chalty hein.

15* Miswak krny waly ambiya or paighmbron ke dua or astaghfar paaty hein.

16* Zehan ko saaf krta hy.

17* Khana hazm krta hy.

18* Kasrat e oulaad ka baes hy.

19* Burhapa dair sy aata hy.

20* Badan ke garmi ko dour krta hy.
Msg 2

21* Pul sirat par bijli ke tarah guzarny wala hy.

22* Nama e amaal daaein haath mein dilata hy.

23* Ibadat e Elaahi ka shouq paida krta hy.

24* Jism k dard ko dour krta hy.

25* Kalma e shahadat moat k waqt yaad dilata hy.

26* Rooh k nikalny ko aasan krta hy.

27* Qabar mein kushadgi ka baes hy.

28* Qabar mein uns ka baes hy.

29* Miswak krny waly k leay jannat k darwazy khul jaty hein.

30* Miswak krny walon k leay jaanam kat darwaza band kr deya jata hy.

31* Miswak krny wala duniya sy paak saaf ho kar jata hy.

32* Malaaika oun ke tareef in ilfaz mein krty hein k yeh log ambiya k naqsh e qadam par chalny waly hein.

33* Frishty moat k waqt miswak krny waly k pass is tarah aaty hein jis tarah aouliya karam k pass aaty hein baaz maqamaat par hy k jasy ambiya k pass aaty hein.

34* Miswak krny waly ke rooh ous waqt tak nai nikalti jab tak wo Piary Aaqa S.A.WW k hoz e mubarik sy raheeq e makhtoom ka ghount nai pee laita.

35* Is k bary mein Koe mustanid hadees e mubarika tou nai lakin biyan keya jata hy k agar safar mein koe shakhs apny pass miswak rakhy tou khuda nakhawsta kisi bhe chouty bary accident ke sorat mein had’di k toutny sy mehfooz rehta hy.



 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Miswak taiz karta hy….
a) Daant
b) Deemagh
c) Beenai

2. Miswak sy hasil hoti hy…
a) Doulat
b) Qurbat
c) Allah ke khushnoudi

3. Miswak k sath parhi gi namaz ka swab barh jata hy…
a) 50 gunaa
b) 70 gunaa
c) 99 gunaa

4. Piary Aaqa S.A.WW hamesha miswak sath rakhty thy…
a) Jang mein
b) Safar mein
c) Namaz mein

5. Malaaika miswak krny walon k pass moat k waqt aisy aaty hein jaisy
a) Bachon k pass
b) Anmbiya k pass
c) namazi k pass

 Fill in the Blanks  /5

1. Miswak karna _______ sy bijli ke si taizi sy guzarny ka baes hy.
2. Miswak _____ mein ____ gunaa izafy ka baes hy.
3. Aourtein miswak ______ or dupaton mein bandh laiti theein.
4. Piary Aaqa S.A.WW ghar sy nikalty or dakhil hoty waqt sub sy pehly _____ krty.
5. Miswak ______ ka baes hy.

 True/False /5

1. Miswak sy parhi gi namaz ka swab 99 gunaa sy 440 gunaa barh jata hy.
2. Aourton ko miswak krna jaaiz nai.
3. Halat e ehraam mein miswak krny sy mana keya geya hy.
4. Rozy ke halat mein miswak krna jaaiz hy.
5. Miswak sar ke ragon k leay nuqsan deh hy.

Short Answer Questions /15

1. Miswak k sath parhi gi namaz ke fazeelat k bary mein Piary Aaqa S.A.WW ka farman e Aqdas kia hy?
2. Doran e safar miswak rakhny ka keya faaida hy?
3. Miswak k koe sy 5 fwaaid biyan krain.
4. Kin teen ouqaat mein Piary Aaqa S.A.WW ehtamam sy miswak farmaty?
5. Miswak ka istamaal kin cheezon ke ziadati ka baes hy?? Any 5.


ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (c)
3. (c)
4. (a)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Pul Sirat
2. Naikion/70
3. Chadron
4. Miswaak
5. Fasahat o Balaght

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Koi aik riwayat

2. Had’di toutny sy mehfooz rehti hy.

3. Miswaak ky 5 faidae hain.

4. Answer:
?Raat ko soty waqt
?Raat k kisi pehar jagtae
?Subah namaz ky waqt tashreef lae jatae waqt

5. Answer:
?Namaz ky sawab mae izafy ka baes hy
?Rizq mae izafa
?Quwat e Hafiza mae izafa
?Aqal mae izafa karta hy
?Naikiyon mae izafa karta hy
?Oulaad mae ziadti ka baes hy


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *