Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W (Day 37)

 Qabristan Jany K Masnoon Aadaab 

1* Zayarat e qaboor k leay jana mustahib hy.

2* Chaar din zayart k leay jana behtreen hein, hafta, peer, jumerat or juma

3* Isi tarah shab e barat, shab e qadar, eidain, or ashra e zulhajj zayarat e qaboor k leay behtreen.

4* Qabristan mein duniya ke batein na krain or moat ko yaad krain.

5* Piary Aaqa S.A.WW auk baar aik janazy k sath qabristaan tashreef ly gy or wahan qabar k kinary baith kar khoub roye or phir sahaba ko mukhatib kr k farmaya,
“is din ke tayari kro”

6* Qabristan mein jouty outar kar daakhil hon or qabar k saamny is tarah khary hon k qibla ke taraf pusht ho or maiyat kr taraf munh ho or phir in ilfaaz k saat salam krain,
Asalam o alikum ya ehlal qaboor…
is k baad sorat fateha, aaytul kursi, or dousri aayat parh kar eisaal e swaab krain.

7* Qabar par phool dalna swab hy jab tak wo geely rahein gy wo tasbeeh krty rahein gy.

8* Qabristan mein aag jalana or khana peena makrooh hy.
Msg 2

9* QABRISTAN MEIN DAKHIL HONY KE DUA 

Tarjuma:-
“Aey Qabar walo…!!
Tum par salam ho, Allah tumhari or hamari maghfirat farmaye tum hum sy pehly pohanch gy or hum peechy aany waly hein”
aik or jagah par yeh dua aisy hy k,
“Salam ho tu par aey is basti k rehny walo.
ita’at guzar momino…!!
insha Allah hum bhe bohat jald tum sy aa milny waly hein.
Hum apny leay or tumhary leay dil sy dua krty hein k wo apny ghazab or azaab sy bacha ly.

10* Qabristan k andr kisi jagah ko rafa e hajat k leay istamal na krain

11* Qabristan mein namaz parhna mana hy.
Hazrat Abu Saeed r.a biyan krty hein k Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Qabristan or hamam k elawa sari zameen masjid hy”

12* Qabron ko pukhta banany or sajany sy mana keya geya hy.

13* Qabaron par baithny sy mana keya geya hy.
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“Mujhy aag ke chingari par chalna ya mery paoun jouty mein see daina ziada pasand hy is sy k main kisi musalman ke qabar par chalon”

Msg 3

14* Qabristan k pass tilawat krna jaaiz hy kion k is sy wahan py rehat outarti hy or maiyat ka dil behlta hy.

15* Qabar par baithna jaaiz nai hy.

16* Qabron par paoun rakh kar matlooba qabar tak pohanchna theek nai.

17* Aouliya karam k mazaraat par jana jaaiz hy kion k wo zaireen ko nafa pohanchaty hein.

18* Qabron sy taik laga kar baithny sy mana far.aya geya hy.

19* Qabar par agarbati jalany sy maiyat ko takleef pohanchti hy.

20* Qabar par sy taza ghass nai nochi chahiye kion ous ke tasbeeh sy rehmat barasti hy or ous ko nochny sy maiyat ka haq zaya hota hy.

21* Jab Piary Aaqa S.A.WW ke qabar e Aqdas par jaein tou poury adab o ehtram sy khary ho kar salam paish krain.

22* Piary Aaqa S.A.WW ny farnaya k,
“Jab mujhy koe shakhs .mujhy salam krta hy tou Allah mujhy meri rooh louta daita hy k ous ko jwab dy sakon”


 Eid Gah Jany K Masnoon Aadaab

*Hazrat Abu Saeed Khidri r.a sy riwayat hy k,
Aap S.A.WW eid ul fitr or baqar eid k leay eid gah tashreef ly jaty or awlan namaz parhty.

*Hazrat Ibn e Umer sy marvi hy k Aap S A.WW jis raasty sy eid gah jaty ous rasty sy mukhalif raasty sy wapis aaty.
Imam Rafee ny zikar keya hy k Aap S.A.WW jany mein taweel or aany mein mukhtasir raasta ikhtiyar farmaty or is ka maqaad yeh hota k dono raaston k fuqra ke madad ho jati or dono taraf logon k saath sila rehmi farmaty.
Namaz k leay eid gah paidal jana sunnat hy.
Hazrat Ibn e Umer r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW eid k leay paidal tashreef ly jaty or paidal he wapis tashreef laaty.

*Eid ke namaz sy pehly kuch meetha khana sunnat hy
Hazrat Bareeda r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW eid k leay na nikalty jab tak kuch kha na laity (Aap S.A.WW aksar taaq aidad mein khajorain khaty) or baqar eid mein bila kuch khayr piye jaty or wapis aa kr qurbani ke kalaiji khaty.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s  /5

1. Ouliya karam k mazaraat par jana….
a. jaaiz hy
b. mana hy
c. swab hy

2. Qabristan mein aag jalana…
a. mana hy
b. makrooh hy
c. jaaiz hy

3. Eid ul fitar ke namaz sy pehly sunnat hy…
a. nahana
b. fitrana
c. meetha khana

4. Qabar par daly gy phool maiy’yat k leay kia krty hein….
a. dua
b. tasbeeh
c. sifarish

5. Qabar par khary hoty hoay rukh
a. maiy’yat ke taraf
b. qibla ke taraf
c. aasman ke taraf

 Fill in the Blanks  /5

1. Aap S.A.WW baqar eid ke namaz k leay bina kuch______ jaty or wapsi par_____ khaty.
2. Qabar par tilawat karny sy maei’yat ka dil _____ hy.
3. Qabron ko ____ or ___ sy mana keya geya hy.
4. Eid gaah jaty hoay ____ adad mein khajoorain khana sunnat hy.
5. Piary Aaqa S.A.WW ke Qabar E Athar pr _____ sy salam paish krna chahiye .

True / False /5

1. Qabar par agar bat’ti jalana maei’yat k leay baes e khushi o swab hy.
2. Qabaristan mein namaz parhna jaaiz hy.
3. Namaz k leay eidgaah paidal jana sunnat hy.
4. qabron par paoun rakh kar dousri qabar par ja sakty hein.
5. ziyarat e qaboor k leay jana mustahib amal hy.

Short Answer Questions /15

1. Piary Aaqa S.A.WW eidgah jany k leay keya tareeqa ikhtiyar farmaty?
2. kin ayaam mein qabaristan jana behtreen hy??
3. Qabar ke ziyarat ka masnoon tareeqa kia hy?
4. Qabaristan mein kin amour k karny sy mana keya geya hy? (any five )
5. Piary Aaqa S.A WW ny apni qabar e Athar par salam paish karny k bary mein keya farmaya?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (c)
4. (b)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. khaye piye / kalaiji
2. behlta
3. pukhta banany/sajany 4. taaq
5. adab o ehtram

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Aap S.A.WW aik raasty sy eidgah jaty or wapsi par dousra raasta ikhtiyar farmaty.

2. hafta, peer, jumerat or hafta
isi tarah shab e barat, shab e qadar, eidain or ashra e zullhajj ziyarat e qaboor k leay behtreen hen.

3. Qabaristan jaty hoay jouty outar dain or qabar par is tarah khary hon k pusht qibla ke taraf or munh qabar ke taraf ho phir salam paish krain or eisaal e sortein parhein.

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga

5. Aap S.A.WW ny farmaya,
“jab mujhy koe shakhs salam karta hy tou meri rooh louta di jati hy jwab dainy k leay”.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *