Step 4 – Moamlaat (Day 47)

 EHAD

Ehad ka matlab hy kisi wady ke hifazat krna or har haal mein ous par qaaim rehna hy.
Ehad ko poura krny ka hukm deya geya hy is sy muraad mo’aahida hy, do fareeq k darmiyan kisi kaam k karny ya na krny ka ehad or jo koe shakhs kisi taraf sy yaktarafa wada kar laita hy k main aap ko falan cheeze doun ga ya falan waqt aap sy loun ga , ya falan waqt aap sy milon ga ya aap ka falan waqt tak kaam kar doun ga tou ous ka poura krna farz hy.
Ehad ya wady ka zindagi k har shouby mein itlaaq hota hy.
Ehad ya wady ke ibtidaai teen iqsaam hein.
i. Aik wo mo’aahida jo insan ka Allah k saath hy maslan emaan ka ehad, ita’at ka ehad ya halal haram ke pabandi ka ehad.

ii. Dousra wo mo’aahida jo aik insan ka khud apny nafs k sath hy jaisy kisi cheeze ke nazar maan ly ya ha’laf kar k koe cheeze apny zimy ly ly.

iii. Teesra wo mo’aahida jo aik insan ka dousry k saath hy.
dou insano k darmiyan har tarah k moaamlaat, nikkah, tijarat, shirakat, waghira in tamam moamlaat mein jo sharaait baham tay paa jaein tou oun ke pabandi har freeq par lazim o wajib hy.
Msg 2

Allah farmata hy,
Sorat Bani Israel
aayt 24
“Apny ehad ko poura kro is ke baaz purs ho gi”
Agar ghour keya jaye tou duniya mein aany wala har insan is ehad ko poura krny ka paband hy jo Allah ny is jahan e rang o boo mein insani zindagi k aaghaz sy in’ginat sadiyan qabal “YOUM E ALAST” rohon ko ikatha kr k oun sy leya tha.
Allah ny farmaya tha,
“Kia main tumhara Rab nai hon?”
tou sub ny yak zaban kaha tha , “Haan”
is qouli ehad ka amli saboot insan ny Allah ke ita’at is jahan mein daina hota hy, is ke yaqeen dehaani k leay Anmbiya or Rasool bheijy gy lakin aksar log is ehad ko faramosh kar baithy hein.
Msg 3

Zindagi k baaz moaamlaat mein sirf zabani iqrar o paimaan karna parta hy or baaz sorton mein hamary qoul o fail k saath az khud ehad ke douri bandh jati hy, misal k tor par hum kalma tayba parhny sy yeh ehad krty hein k ma siwa ke nafi kar k sirf or sirf Allah or Oss k Rasoolon k irshadaat o taleemaat par amal krain gy.
Allah ny bad ehadon or ehad shikno k leay aisi sazaein muqarar farmai hein k jin ko parh kar roungty khary ho jaty hein.
Al-Quran
sorat Al-Imran
aayt 77
Tarjuma:-
“Jo log Allah k ehad or apni qasmon ka thory par soda kar laity hein oun k leay aakhirat mein hissa na ho ga. Qayamat k din Allah oun sy baat na kry ga or na oun ke taraf daikhy ga or na ounhein paak kry ga or oun k leay bara dard naak azaab ho ga”
Is aayt e mubarika mein ehad shikan ke paanch sazaon ka zikar hy lakin afsoos k fi zamana log bari be baaki sy bad ehadi karty hein.
Msg 4

Zindagi ka koe shouba aisa nai jis k saath ehad o paimaan wabasta na ho, ehad ko poura na karna zumra e gunnah mein shamil hy jis k bary mein pouch guch ho gi lakin duniya k matwaly log waqti faaidy k paish e nazar bhool jaty hein k aik din ounhon ny apny ehadon k bary jwab deh hona hy.
Ehad, qoul or amal dono tarah sy keya jata hy.
Insan ko apny har qoul o fail par nazar rakhni chahiye or is baat ka khiyal rakhna chahiye k hamara koe amal Allah or Piary Aaqa S A.WW ke taleemaat k munafi na ho.
Hazrat Abdullah Bin Umer r.a frmaty hein k Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya,
“Jo Allah or Oss k Rasool S A.WW sy ehad shikni krty hein oun par dushmano ko musalt kar deya jata hy or wo oun k amwaal lout kar ly jaty hein”
Piary Aaqa S.A.WW ke hayat e tayba sy hamein ifaaa e ehad ke bohat c misalein milti hein.
Msg 5

Jab kor mard o aourat baham rishta e azdwaj mein munsalik ho jaty hein tou yeh bhe aik ehad hy k wo ghar ko jahanam zaar nai banaein gy, aik dousry k haqooq ka khiyal rakhein gy, piar mohabat ke fiza barqarar rakhein gy, aoulaad ko Allah ke naimat samjh kar ous ke deen o duniya k lehaz sy behtreen tarbiyat karain gy, aisa mahool nai paida hony dain gy k oun k muqadas rishta e azdwaj par talaaq ke talwar chaly jo k jaaiz hony k bawjood Allah ko napasand hy.
Jo shakhs bghair kisi jaaiz thous jwaz k ehad shikni ka murtakib hota hy ous ko na Allah pasand krta hy or na he Piary Aaqa S.A.WW… .
yeh baat sub par ayaan hy.
Ehad shikni sy mutaliq Piary Aaqa S.A.WW ka farman e aaliya hy,
“teen nishaniyan munafiq ke hein chahy wo namaz parhta, roza rakhta ho or apny aap ko musalman samjhta ho,
wo nishaniyan yeh hein,

i. Baat krta hy tou jhoot bolta hy.

ii Wada krta hy tou khilaaf warzi krta hy.

iii. kisi sy ehad krta hy tou ousy torr daita hy.
Tareekh mein ifaa e ehad ke an’gi’nat misalein milti hein k bazurgaan e deen ny kaisy kaisy apny ehad nibhaye…
Msg 6

Hazrat Sari Saqti r.a dukandaari karty thy wo is baat ko rwa na rakhty thy k 5% sy ziada munafa wasool krain.
Aik baar ouhon ny saath (60) deenar k badaam khareedy, baad mein badaamon ka nirkh taiz ho geya, dalal ny oun sy farokht karny k leay talab keay tou farmaya k traisath (63) deenar mein farokht kar do,
Dalal ny kaha k,
in ka bhao tou in dino naway (90) deenar hy.
farmaya…
lakin main ny ehad kar rakha hy k main 5% sy ziada munafa nai loun ga or apny ehad sy rou gardani nai kar sakta.
Dalal bola,
main aap ka maal naway deenr sy kam par farokht karny ko tayar nai hon.
Ifaa e ehad ka aik or waqiya aisy biyan keya jata hy,
Hazrat Abdulla bin Al-Mubarik r.a aik taqat war kafir sy jang kar rahy thy is doran mein kafir ki ibadat ka waqt aa geya.
Ous ny aap r.a sy mohlat maangi, aap r.a ny ousy ibadat k leay mohlat dy di jab ous kafir ny souraj ko sajda keya tou aap r.a ny ousy qatal karny ka irada keya,
ousi waqt aap r.a ny ghaib sy aawaz souni,
“Apny ehad ko poura kro is ke baaz purs ho gi”
Msg 7

Yeh soun kar aap ruk gy.
jab majousi namaz sy farigh hoa tou ous ny poucha,
“Aap r.a apny irady sy ruk kion gy?”
Aap r.a ny jwab mein wo aayt parh kar souna di….
Yeh soun kar kafir ny kaha
kaisa acha Rab hy apny dost ko apny dushman k bary mein itaab karta hy.
or phir wo musalman ho geya.
In misalon ke roshni mein jab hum apni zindagi ka jaaza laity hein tou khud ko piary Aaqa S.A.WW ka ummati kehty hoay sharm aati hy.
Hum ny ehad ko sirf zabani iqrar tak he mehdood kar rakha hy kabhe is baat ka ehsas nai hoa k hamari zindagi ka har amal ehad ke lari mein piroya hoa hy lakin hamein is ke aashnaai nai hy.
Hamari zindagi jo Allah kr amanat hy yeh bhe ehad ke paband hy k ous mein bury aamal o aqwaal o afaal sy khiyanat na ke jaye.
Agar hamary shab o roz Allah or Oss k Habib ke ita’at or mohabat o ishq mein basar hon tou isi mein dono jahano k rahat o sakoon ka khazana posheeda hy.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Ehad keya jata hy,
a. zaban sy
b. amal sy
c. zaban or amal dono sy

2. Ehad poura karna,
a. lazim hy
b. farz hy
c. wajib hy

3. Ehad shikno k lout leay jaty hein,
a. ghar
b. amwaal
c. aqwaal

4. Ehad shikni nishani hy,
a. munafiq ke
b. mushrik ke
c. kuffar ke

5. Tareekh mein ifaa e ehad ke be shumaar,
a. dastanein hein
b. kahaniyan hein
c. misalein hein

 Fill in the Blanks  /5

1. Ehad ko poura na karna ___ hy.
2. Baghair kisi ___ or ___ k wada torny ko pasand nai keya jata.
3. Ehad ka matlab hy kisi __ ke hifazat karna.
4. Aalam e arwah mein ____ roohon ko ikatha kar k wada leya geya tha.
5. Mard o aourat ka baham rishta e azdwaaj bhe ___ hy.

True / False /5

1. Ehad ya wada sirf zabani iqrar hota hy.
2. Kalma tayba parhna bhe aik ehad hy.
3. Hum sub ko apny ehad ka jwabdeh hona hy.
4. Hazrat Sari Saqit 5% sy ziada munafa laity thy.
5. zundagi ka har shouba ehad sy wabasta nai hy.

Short Answer Questions /15

1. Ehad keya hy?

2. Ehad ya wada ke kitni iqsaam hein?

3. Bad ehadon k leay Allah pak ny quran mein keya farmaya? (aik aayt)

4. Allah ta’ala ny bad ehdon ke konsi 5 sazaein muqarar ke hein?

5. Munafiq ke teen nishaniyan konsi hein?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (b)
4. (a)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Gunnah
2. Jaaiz or thous
3. wady
4. Youm e Alast
5. Ehad

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Ehad ka matlab hy kisi wady ke hifazat karna or har haal mein ous par qaaim rehna.

2. Teen iqsaam hein:
i. wo jo insan ka Allah k sath hy.
ii. wo jo insan ka khud apny nafs ay hota hy.
iii. aik insan ka dousry k sath.

3. Koe aik aayt

4. Jawab:
i. Aakhirat mein oun ka koe hisaa na ho ga.
ii. Allah oun sy baat nai kry ga.
iii. na oun ke taraf daikhy ga.
iv. na oun ko paak kry ga.
v. oun k leay dardnaak azaab ho ga.

5. Jawab:
i. baat kry tou jhoot boly.
ii. wada kry tou khilaaf warzi kry.
iii. ehad krta hy tou torr daita hy.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *