Step 4 – Moamlaat (Day 48)

 BACHON SY MOHABAT

Islam ke ikhlaaqi taleem mein mohabat o shafqat ko khas ehmiyat hasil hy.
yeh insan k buniyadi ikhlaaq mein sy hy.
Jis mein shafqat o mohabat ka maada nai wo islam tou keya inasani daairy sy bhe kharij hy.
Beraham, insan nai ho sakta.
Mohabat o shafqat ke wajah sy insan aik dousry sy ri’aayat karta hy or ous sy marboot hota hy hoya shafqat o mohabat bahmi moaashrat ke asal buniyad hein.
Allah k khas naamon mein sy Rehman o Raheem hy.
Allah ny apny is wasf sy juzvi tor par bandon ko bhe nwaza hy jis ka numayan asar waldain or ous ke oulaad k darmiyan hy.
Msg 2

Duniya mein rehm o karam k jo aasar hein wo ousi rehmat k par too hein.
Allah ny rehmat k sou (100) tukry keay hein jis mein sy 99 apny pass rakh leay or zameen par sirf aik hissy ko outara.
Rehmat o shafqat Allah ka mehboob wasf hy wo khud bhe mohabat krny wala hy or apny bandon mein bhe yeh wasf daikhna chahta hy isi wajah sy is ke targheeb o takeed ke gi hy.
or zoor daity hoay yahan tak kaha geya k
“Jo reham nai krta ous par reham nai keya jaye ga” .
Duniya mein aany wala har bacha apna rizq ly kar aata hy jab k zamana e jehliyat k log bachon k khilany pilany k dar sy qatal kar deya krty thy, aaj bhe log bachon ko rizq ke kami ka baes samjhty hein.
yeh rasm e bad jis ka insidaad kisi duyavi taqat sy nai ho saka, Piary Aaqa S A.WW ke barkat sy na sirf arb balky aahista aahista tamam duniya sy outh gi.
Msg 3

Irshaad e Bari ta’ala hy,
Sorat Al-Inaam
Rakoo 19
Tarjuma:-
“Or tum apny bachon ko muflisi k dar sy halak na kro hum tum ko or oun ko rizq daity hein”
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“Bachon par kharch krna bhe swab hy is leay oun par tangi na ke jaye”
Aik or jagah par Aap S.A WW ny farmaya,
“Allah chahta hy k tum apni oulaad k saath bartao karny mein insaaf ko haath sy na jany daina”
Yani is hwaly bhe bachon k sath mohabat ke takeed ke gi hy k kaheein kisi tarah bhe salook mein kami baishi kr k insaf ko haath sy na jany dain balky sub bachon sy brabar salook krain.
Msg 4

Aourtein jin cheezon par Aap S.A.WW sy bait keya krti theein oun mein sy aik yeh thee,
“Wo apny bachy ko halak na keya krain gi”
Aap S.A.WW ko baition sy khas mohabat thee or baition ke parwarish or oun ko ilm sikhany waly ko jannat ke khushkhabri di.
Farmaya,
“Jo shakhs teen baition ya behno ke parwarish kry phir oun ko ilm e deen sikhaye or oun k saath shafqat or meharbani ka salook kry Allah ous shakhs k leay jannat wajib kr dy ga”
Msg 5

Ghazwaat mein Piay Aaqa S.A.WW ke hidayat thee k bachon, aourton or bourhon ko qatal na keya jaye.
Aap S.A.WW ka wajood e bawajood larkion k leay khasoosiyat sy rehmat tha.
Zamana e jehliyat mein arab aflaas k dar sy larkion ko zinda dargour kar daity thy.Aik shakhs Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir ho kar kehny laga,
hum ehl e jehliyat o bout parast thy apni oulaad ko maar dalty thy.
Mery haan aik larki thee main ny ousy bulaya wo khushi khushi mery sath chal pari jab main aik kunwain k qareeb pohancha tou main ny ousy ous mein dhaka dy deya wo ab’ba, ab’ba pukarti rahi.
yeh soun kar Aap S.A.WW ke aankhon mein aansoo aa gy.
Aap S.A.WW ny famaya yeh waqiya mujhy dobara sounao, ous shakhs ny sounaya tou Aap S.A.WW itna roye k aansou’on sy Aap S.A.WW ke daarhi mubarik tar ho gi.
Msg 6

Aap S.A.WW bachon ko choumty or oun sy piar krty thy.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k aik roz Aap S.A.WW Hazrat Hassan Bin Ali r.a ka bosa ly rahy thy k Aqraa Bin Habis Aap S.A WW k pass baithy thy, Aap S.A.WW ko bosa laity daikh kar kehny lagy k mery das (10) larky hein main ny oun mein sy kisi ka bosa nai leya tou Aap S.A. WW ny farmaya:-
“Jo reham nai krta ous par reham nai keya jata”
Hazrat Jabir Bin Samra r.a biyan krty hein k Main ny Aap S.A.WW k peechy namaz parhi, namaz sy farigh ho kar Aap S.A.WW k saath chal para, raasty mein bachy mily Aap S.A.WW ny har aik k sar par dast e shafqat phaira or mery rukhsaron par bhe phaira.
Main ny Aap S.A.WW k dast e mubarik ke thandak ya khushboo aisi paai goya Aap S.A.WW ny apna dast e mubarik Ataar k sandouqchy sy nikala ho.
Msg 7

Hazrat Abu Huraira r.a ka biyan hy k fasal ka koe phal pakta tou log ousy Aap S.A.WW ke khidmat mein laaya krty.
Aap S.A.WW ous par yeh dua parhty,
“Khudaya hamein apny Madeeny mein, apny phal mein or apny saa mein barkat dy”
is dua k baad jo bachy khazir e khidmat hoty oun mein sy sub sy choty bachy ko wo phal inayat farmaty.
Allama sayyed shah Turaab ul haq ke kitab “Hazoor ke bachon sy mohabat”
mein aisy waqiyaat naqal keay gy hein jin mein bachon sy Aap S.A.WW ke mohabat ka izhaar hota hy jin mein sy chand aik yeh hein.
Aap S.A.WW jab safar sy tashreef laaty tou bachy bhe istaqbaal krty jo bachy qareeb pohanch jaty Aap S.A.WW oun mein sy kisi ko swari par kabhe aagy or kabhe peechy bitha laity.
Hazrat Abdullah Bin Zubair r.a jo Hazrat Asma Bin Abu Bakar r a k baity thy jab paida hoay tou Aap S.A.WW ny aik khajoor chaba kar naram ke or bachy k taloo sy laga di.
Msg 8

Aap S.A.WW apni nwasi Hazrat Umama r a sy bohat mohabat farmaty thy.
Jab wo Aap S.A.WW ke goud mein aati theein or namaz ka waqt hota tou Aap S.A.WW oun ko kandhon par bitha kar namaz ada krty.
Aap S.A.WW Hazrat Imam Hassan r.a or Hazrat Imam Hussain r.a sy bohat mohabt farmaty thy.
Aap S.A.WW dono nwason ko kandhon par swar kar laity thy.
Hazrat Umer Farooq r.a ny farmaya k,
main ny Hazrat Imam Hassan r.a or Hazrat Imam Hussain r.a ko Aap S.A.WW k kandhon par swar daikha tou kaha k kitni achi swari hy.
Aap S.A.WW ny farmaya, Daikho swar bhe tou kitny achy hein.
Qurban aisi mohabat par kaash k kuch hissa hamein bhe naseeb ho jaye k hum bhe mohabat ka ehsas paa jaein.
Aap S.AWW minmbar par jalwa afroz thy or Hazrat Imam Hassan r.a Aap S.A.WW k pehloo mein thy.
Yani kisi bhe mouqa par bachon k leay chahat ko kam na keya jaye chahy kaisa bhe kaam hota namaz ya khutba bachon ke chahat or khawaish ko kam na krty.
Msg 9

Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayt hy k hum Aap S.A.WW k sath namaz e isha ada kar rahy thy jab Aap S.A.WW sajdy mein gy tou Hazrat Imam Hussain r.a Aap S.A.WW ke pusht e mubarik par swar ho gy jab Aap S.A.WW ny sajdy sy sar outhaya tou narmi sy pakar kar neechy bitha deya jab Aap S.A.WW dobara sajdy mein gy tou wo dobara kamar par swar ho gy yahan tak k Aap S.A.WW ke namaz mukamal ho gi or Aap S.A.WW ny Oun ko apny zaano par bitha leya.
Is waqiya sy Aap S.A.WW ke be panah mohabat or shafqat ka ehsas hota hy k namaz jaisy farz ko injaam daity hoay bhe na tou bachon ka dil torna pasand farmaty thy na oun ko mana krty thy balky oun kr marzi k mutabiq oun ko khush rakhty thy.
Aik roz Umm e Qais apny sheer khawar bachy ko ly kar khidmat e Aqdas mein hazir hoein, Aap S.A.WW ny bachy ko goud mein outha leya ous ny Aap S.A.WW par paishaab kar deya, Aap S.A.WW ny ous par paani baha deya or kuch na kaha.
Al gharz Aap S.A.WW k saya e mohabat mein tamam bachon ko be panah mohabat mili or wo mohabat ka dars hum sub k leay mash’al e raah hy.
Allah kry hum in tamam ehsasaat ko dil sy mehsoos kar sakein or waisa he piar ka ehsaas barha sakein jaisa k Piary Aaqa S.A.WW ke hayat e tayba sy hum par wazeh hy.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Rehmat o shafqat Allah ka mehboob ___ hy.
a. wasf
b. amal
c. dono

2. Aap S.A.WW fasal ka phal sub sy pehly daity,
a. bourhon ko
b. bachon ko
c. aourton ko

3. Aap S.A.WW ke laadli nwasi theein,
a. Hazrat Ruqiya r.a
b. Hazrat Umm e kalsoom r.a
c. Hazrat Umama r.a

4. Allah ny rehmat k hissy apny pass rakh,
a. 79
b. 89
c. 99

5. Oulaad k sath muhabat mein bhe karna chahiye,
a. insaaf
b. ziadati
c. kami baishi

Fill in the Blanks  /5

1. Aap S.A.WW minmber par jalwa afroz hoty tou ___ Aap k pehloo mein hoty.
2. Jis mein shafqat o muhabat ka maada nai wo __ sy harij hy.
3. Zamana e jehliyat mein aflaas k dar sy baition ko ___ kar daity thy.
4. Aap S.A.WW safar sy wapsi par bachon ko ___ par bitha laity thy.
5. Aap S.A.WW ke bachon sy muhabat hum sub k leay __ hy.

True / False /5

1. Allah ny sirf khas logon mein juzvi toar muhabat ka maada rakha hy.
2. Aourtein bachon ko halak na krny k leay bai’at krti theein.
3. Aap S.A.WW bachon ke khushi par apny kaam ko tarjeeh daity.
4. Umm e Qais r.a k bachy k leay Aap S.A.WW ny narazgi ka izhar keya.
5. Aap S.A.WW nwason ko kandhon par swar kar k bhe namaz ada farma laity thy.

Short Answer Questions /15

1. Allah ny duniya mein aany waly har insan k rizq ka zima khud leya hy aayt e mubarika ke roshni mein sy wazeh krain.

2. Shafqat o muhabat k bary mein islam mein keya hukm hy?

3. Baition ke muhabat sy parwarish k bary mein Aap S.A.WW ka farman Aali Shan keya hy?

4. Muhabat o reham k leay Allah k konsy 2 siffati naam hein?

5. apna jaaiza lain or share krain k,
Aap S.A.WW ke hayat e tayba sy bachon sy muhabat ka jo sabaq milta hy hamary andr wo kis had tak mojoud hy ?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (c)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Hazrat Imam Hasan r.a
2. insaniyat
3. zinda dargour
4. swari
5. mash’al e raah

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. sorat Al-Inaam rakoo 19 ke aayt is ka jwab hy.

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

3. “Jo shakhs tren baition ya behno ke parwarish kry phir oun ko ilm e deen sikhaye or phir oun sy shafqat o muhabat ka salook kry Allah ous k leay jannat wajib kar dy ga”

4. Rehman O Raheem

5. yeh sub ka apna jwab ho ga


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *