Step 4 – Moamlaat (Day 49)

 SADAQAT

Insan k har qoul o amal ke darustgi ke bunyad yeh hy k dil or zaban or zahir o batin baham aik dousry k mutabiq or hum aahang hon is ka naam sidq or sachaai hy, jo sacha nai ous ka dil har buraai ka ghar ho sakta hy or jo sacha hy ous k leay har naiki k hasool ka raasta aasan hy.
Sachaai ke aadat insan ko bohat si buraion sy bachati hy. jo sacha ho ga wo har buraai sy paak hony ke koshish kry ga.
Wo raast baaz ho ga, emaan dar ho ga, ehad ko wafa kry ga, dil ka saaf ho ga, riya kaar na ga, dil mein nafaq na ho ga, ous k qoul o fael mein tazad na ho ga, goya sachaai bohat c ikhlaaqi khoubion ke asal bunyad hy.
Sachaai k maani aam tor par sach bolny k leay jaty hein magar islaam k maani bary wasee hein.
Msg 2

Imam Ghazali r.a ny sachaai ke 6 iqsaam biyan ke hein or quran o hadees sy oun ko sabit keya hy jin mein teen bunyadi martaba rakhty hein.

1* Zaban ke sachaai*
Yani zaban sy jo bola jaye sach bola jaye yeh sachaai ke aam or mash’hoor qism hy, wada or wady ko poura krna bhe isi mein dakhil hy yeh islam o emaan ke bunyaad hy.
Is k bar khilaaf har qism ka jhoot dil k nafaaq k hum maani hy or yeh munafiq ke ilamat hy k baat kry tou jhoot boly.

2:- *Dil ke sachaai*
Sachaai ke yeh qism qalb o dil o batin sy mutaliq hy isy ikhlaas sy tabeer kar sakty hein.
Baaz mouqon par zaban sy sach ka izhar is leay jhoot ho jata hy k wo dil or ikhlaas sy nai nikalta, chunachy munafiqeen ko shahadat e Rasool S.A WW mein is leay jhoota kaha geya hy k ounhon ny sirf zaban sy kaha tha oun ka dil ous k mwafiq na tha.

3* Amal ke sachaai*
Amal ke sachai yeh hy k jo naik amal ho wo ikhlaas k mutabiq ho yani zahiri amaal, batni ousaaf k mutabiq hon maslan, aik shakhs namaz parhta hy lakin ous ka maqsad raya hy tou yeh amal ke sachaai nai, sidq e amli k kae martaby hein…
Msg 3

Sidq e amli ke sub sy aala qism yeh hy k insan k zahir o batin yani ous ke zaban ka har harf, dil ka har irada or amal ke har junbish haq o sadaqat ka poura mazhar ho jaye.
Quran ny aisy he logon ko siddique kaha hy or oun ka haal yeh hy k jo kuch dil sy maanty hein amal sy ous ke tasdeeq or zaban sy is ka bar mala iqrar or yaqeen ke aankhon sy ous ka mushahida krty hein.
Quran mein jis ko sadiq kaha geya hy ous k teen ousaaf biyan keay gy hein…

i. oun k emaan ka kamal
ii. oun k naik amal
iii. oun ka har tarah ke jaanch mein poura outarna.
Msg 4

Jo log ilm o amal k in tamam fazaail k darja e kamal ko pohanch jaty hein oun ko shariyat ke zaban mein siddique kehty hein jo nabuwat k baad insaniyat ka pehla martaba e kamal hy.
Hazrat Abdullah Bin Masood r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Sachaai bhalaai or muhabat ka raasta btati hy or bhalaai jannat ke rehnuma hy, or aadmi hamesha sach bolny ke wajah sy siddiqeen mein likh deya jata hy”
Allah ny hum par sach lazim qarar deya hy or yehi wo amal hy jo jannat sy dour ly jata hy k jab hum is ka ult krty hein tou zahir hy jannat ke bjaye dozakh sy qareeb ho jaty hein magar hum is ka ehsas nai rakhty.
Msg 5

sidq na sirf qabil e tareef insani sift mein sy hy bal’k yeh tamam siffat sy afzal hy, kion k jo shakhs qoul o fael mein sidq sy muzaiyan hota hy wo insani imarat k leay aik saleh eint ka kaam daita hy.
Sorat Al-Ehzaab mein hy,
“Allah logon ko oun k sach ka badla dy”
Fan e blaght ke mash’hoor kitab mein hy k,
“Khabar ke sachaai yeh hy k ous ka hukm waqiya k mutabiq ho or agar waqiya k mutabiq na ho tou jhoot hy”.
Hum ny koe baat suni ho tou bila takaluf barha charha kr biyan krna tou hum kisi bhe tarah sy jhoot nai samajh na….
Msg 6

Hazrat Abu Umer Al-Dujaji r.a k bary mein manqool hy k jab wo apni maan k inteqaal k baad apna makan 50 dirham mein farokht karny leay shehar babal gy tou kisi ny raasty mein poucha k tumhary pass keya hy?
Ounhon ny sach bolny mein aafiyat jani wo shakhs aap sy itna mutasir hoa k aakhri dam tak aap k saath raha.
Allah waly log tou mushkil waqt parny or apni jaan ko khatry mein parny par bhe sach he bolty hein or hum tou chouti c baat par sach ka daman chour daity hein.
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Main hansi mazaq zaroor karta hon lakin haq ka daman haath sy nai chorta”
or hum tou hansi mazaq mein kae batein aisi kar jaty hein k jo sach nai hoti hein.
Msg 7

Hazrat Hakeem Bin khazam r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“khareed o farokht karny walon ko ous waqt tak ikhtiar hy jab tak dono juda na ho jaein agar dono ny sachaai k saath moaamla keya tou oun ke khareed o farokht mein barkat di jati hy or agar haqeeqat ko chupaya or jhoot bola tou oun k darmiyan sy barkat khatam kar di jati hy”
Hazrat Ali a.s ka farman hy,
“Jhoot bol kar jeet jany sy behtar hy k sach bol kar haar jao”
Allah hamein bhe haq mouqa par sach bolny ke power dy or hum hamesha jhoot sy apna daman bacha sakein.
Msg 8

Hazrat Abdullah Bin umer r.a farmaty hein k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Chaar bari haslatein jis shakhs mein mojoud hon wo paka munafiq hy yahan tak k wo in buri aadaton ko tark kar dy…
i. Amanat mein khayanat kry
ii. Jhoot boly
iii. Wada khilaafi kry
iv. Laraai jhagra kry tou fasq o fajar or galiyan bakny lagy”

Hazrat Yousaf Bin Asbaat r.a kehty hein k agar main aik raat is tarah guzaron k Allah k saath mera moamla sidq par mabni ho tou mujhy yeh baat Allah ke raah mein talwar chalany sy ziada pasand hy.
Hazrat Junaid Baghdai r.a kehty hein k,
“Sidq ke haqeeqat yeh hy k tum ous jagah bhe jhoot na bolo jahan tumy jhoot bolny sy nijat milti ho”.
Msg 9

Allah pak quran mein farmata hy k ,
“Allah sy daro or sach bolny walon k saath ho jao”
Yani hum khud bhe apny moamly mein sach bolain or kaheein haq o batil k darmiyan jang ho tou hum hamesha haq ka sath dain.
Hazrat Ghous Al-Azam r.a ka aik waqiya hy….
Aap r.a hasool e taleem k leay baghdaad ke taraf rwana hoay tou aap ke walida ny aap r.a ko sach bolny ke talqeen ke or jab aap r a ny walida ke naseehat par amal krty hoay dakoo’oun ko sach btaya k meri jaib mein 500 deenar sily hein tou dakoo aap r.a ke haq goe sy is qadar mutasir hoay k ounhon ny toba kar li or naikoo kaar ban gy.
Allah k yeh naik bandy apny amal hamary leay mash’al e raah bana kar chor gy hein.
Allah hamein apny leay hamesha sach ke raah apnany ke toufeeq dy.
Aameen



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Amal ke sachaai mein aik hona zaroori hy,
a. dil o zaban
b. zahir o batin
c. dono

2. Quran e pak mein Sadiq k ousaaf biyan keay gy hein,
a. 3
b. 2
c. 1

3. Sachaai raasta dikhati hy,
a. muhabat ka
b. bhalaai ka
c. dono ka

4. Sach bolna behtr hy Allah ke raah mein,
a. namaz parhny sy
b. talwar chalany sy
c. sadqa dainy sy

5. Hamesha sach bolny ke wajah sy shumaar hota hy,
a. siddiqeen mein
b. shuhdaa mein
c. naiko kaaron mein

 Fill in the Blanks  /5

1. Allah logon ko oun k ___ ka badla dy ga.
2. Sachaai ke aadat insan ko bohat c ___ sy bacha laiti hy.
3. ___ insaniyat ka martaba e kamal hy.
4. Sidq yeh hy k ous jagah bhe jhoot na bola jaye jahan jhoot bolny sy ___ milti ho.
5. Khareed o farokht mein sach bolny sy ___ hoti hy.

True / False /5

1. Sachy insan ka amal ous k qoul k mutabiq nai hota.
2. zaban k sach ka izhar dil k na khalis pan ke wajah sy jhoot ban jata hy.
3. Aap S.A.WW ny hansi mazaq mei jhoot bolny ko na pasand nai farmaya.
4. Haq o batil ke jang mein hamesha batil k khilaf bolna chahiye.
5. Allah waly log jan khatry mein parny par bhe sach ka daman hath sy nai chorty.

Short Answer Questions /15

1. Sadaqat k keya ma’ani hein?

2. Sachaai ke kitni iqsaam hein??
3 bunyadi iqsaam k naam btaein.

3. Sidq e amli kia hy?

4. Sadiq k keya ousaaf biyan keay gy hein?

5. Hazrat Ali r.a ka sachaai k bary mein farmaan e Aali Shan keya hy?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (a)
3. (c)
4. (b)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Sach
2. Buriyon
3. Sidq
4. Nijat
5. Barkat

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Sachaai ke asal buniyaad yeh hy k qoul o amal aik hon, dil or zaban, zahir or batin aik dousry k mutabiq hon yani qoul o feal mein tazaad na ho.

2. Sachaai ke 6 iqsaam biyan ke gi hein jin mein sy 3 buniyadi iqsaam yeh hein

i. zaban ke sachaai
ii. amal ke sachaai
ii. dil ke sachaai

3. Amli sachai yeh hy k naik amal ikhlaas k sath ho yani zahiri amal batni ousaaf k mutabiq ho.

4. Jawab:
?i. Emaan ke mazbooti ya kamal
?ii. Naik amal krna
?iii. Har tarah kr janch mein poura outarna

5. “Jhoot bol kar jeet jany sy behtar hy k sach bol k haar jao”


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *