Step 4 – Moamlaat (Day 50)

AMANAT

Islam mein amanat ka bara maqam o martaba hy or zindagi mein har shouby mein is ka taqaz kiya jata hy lakin jahan or jis maqaam par zara nazar hat jati hy tou wahan hayanat apni tamam tar ranaiyon k sath apna qabza jama laiti hy, ab yeh insan par hy k wo amanat o khayanat mein sy konsy raasty ka intekhaab karta hy.
Kisi ke cheeze ya hukm ous ke riaa’yat k sath ada karny ka naam amanat hy, is ka ta’aluq sirf rupy paisy sy nai bal’ky is sy bohat ziada wasee hy, har maali, qanooni, or ikhlaaqi amanat tak wasee hy.
Agar kisi ke koe cheeze aap k pass rakhi hy tou ous k maangny par ya waisy bhe ous ko joon ka toon dy daina amanat hy.
Agar kisi ka koe haq aap par baqi hy tou ous ko ada krna bhe amanat hy.
kisi ka koe bhe raaz maloom ho ous ko chupana amanat hy, kisi majlis mein hon or kuch batein dousron sy mutaliq aap wahan soun lain or ousi majlis tak mehdood rakhna or dousron tak pohancha kar fitna o fasad ka baes na ban’na bhe amanat hy, kisi ny aap sy kisi kaam mein mashwara maanga tou ous ko mashwara dy kar apny tak he mehdood rakhna or ous ko sahee ya acha mashwara daina bhe amanat hy, agar koe kisi kaam par nokar hy tou ous kaam ko sharaait k mutabiq apni zimadari mehsoos krty hoay injaam daina bhe amanat hy.
Msg 2

Quran e pak mein Allah farmata hy,
“Wo log jo jannat mein ja kar kamayaab hony waly hein oun mein amanat or wadon ke riaa’yat krny waly hein”
Quran e pak mein mutadid maqamaat par amanat ka zikar key geya hy jis sy is ke ehmiyat ka andaza hota hy.
Amanat dari aik aisa aala wasf hy jis k hamil hazraat frishty or barguzeeda rasool or bandy hoty hein.
Hazrat Jibreel a.s ke shan mein hy,
Tarjuma:-
“is ko amanat daar frishta ly kar outra”
Pouri shariyat aik khudaai amanat hy jo hum insano k sapurd hy is leay hamara farz hy k hum is k mutabiq apny malik ka poura poura haq ada krain, agar hum aisa na krain gy tou khaain thehrain gy isi wajah sy Aap S.A.WW ny amanat dari ko emaan ka johar qarar daity hoay farmaya:-
“Amanat daar nai tou emaan nai”
or amanat mein khayanat munafiq ke aadat qarar di.
amanat daari ke sift Allah ny har paighmbar mein rakhi hy, Aap S.A.WW k bary mein quran mein hy k,
“Main tumhary leay amanat daar rasool hon”
Msg 3

Aaqa e do jahan S.A.WW ke amant dari be misal thee.
Aap S.A.WW ny tab bhe amanat mein khayanat na ke k jab Aap S.A.WW k pass bad treen dushmanon ke amanatein theein.
Aap S.A.WW ny Hazrat Ali a.s ko bistar par lita kar hidayat ke k subah hoty he amanatein lota kar Madeena pohanch jana.
Yeh aalam tha hamary piary Aaqa S.A.WW ka k, jaan ka khatra hony k bawjood amanat mein khayanat pasand na ke.
Aap S.A.WW aksar apny khutbon mein farmaya krty thy k,
“jo amanat ke siffat nai rakhta or jo ehad ka pass nai rakhta wo deen daar nai hy”
Msg 4

Hadees e mubarika mein aata hy k jis sy mashwara keya jaye ous ko amanat sapurd ke jati hy yani yahan yeh wazeh hy k hum mashwara daina bhe amanat janein or jahan tak mumkin ho ous ko naik niyati sy dousron tak pohanchaein,
Allah hamary dil mein wo ehasas daal dy k hum aisy lamhon mein apny emaan ko mazboot rakh kar amanatdari ko nibha sakein.
Insan ke zindagi bzat e khud Allah ke amanat hy or insan ko takhleeq karny ka maqsad Allah ke ibadat karna hy.
Agar is hayat e musta’aar ko nafs o shaitan ke pairvi mein basar keya jaye tou yeh khayanat hy is ke jwab talbi k leay insan ko tayar rehna chahiye.
Hazrat Ibn e Umer r.a sy riwayat hy k tamam aza haath, paoun, aankh, kaan, zaban sub amanat hein.
Allah ny yeh zindagi or ous ke har naimat amanat di hy lakin hum tou zara sa bhe is ka ehsas nai rakhty…
jahan chaha daikh leya, jo chaha soun leya, kha leya, pee leya, jidhar chaha paoun outha leya….
Msg 5

Har har cheeze jo hamary pass hy amanat hy, khaw jism o jaan ya phir Allah ke di hoe doulat ke farawani, naimatein, zahanat, aqal, ehsas, jazba, har har cheeze mein hum apni marzi chala kar khayanat krty hein or aik lamhy ko nai sochty k Allah ko kaisa lagy ga k jab hum dolat Allah ke raah mein nai lagaty, ghareebon ko hissa nai daity, apny jazby Allah k leay khalis rakhny ke bjaye is ghaleez duniya par luta kar khayanat krty hein, dil Allah ka ghar hy yahan duniya ko basa kar khayanat krty hein.
Msg 6

Allah quran mein farmata hy,
“Or oun logon ke taraf sy kabhe na jhagriye jo aapas mein he khayanat krty hein beshak Allah aisy kisi shakhs ko pasand nai krta jo khayanat krny ka aadi or gunahon mein douba ho”.
Quran e pak mein aata hy,
“Or jo amanaton or wadon ka pass rakhty hein or jo namaz ke khabar rakhty hein yehi log behisht mein izat o ikraam sy hon gy”
Allah farmata hy,
“Aey emaan waloo…!!!
na tou Allah or Rasool S.A.WW ke amanat mein khayanat kro or na apni amanaton mein khayanat kro”
yeh aayt aik khas waqiya ke taraf ishara krti hy, wo yeh hy….
Msg 7

Aik baar jab Aap S.A.WW ke foujon ny Banu Qureeza ka mohasira kr leya tou yeh mohasira 21 din tak chala jis ke wajah sy dushmano k pass saman e rasd khatam ho geya or Aap S A.WW sy ehl e qareeza ny mohlat maangi k oun ko mulk sham jany ke ijazat de jaye.
Aap S.A.WW ny oun ke shar pasandi ke bina par oun ko ijazat na di or shart rakhi k ehal e banu qareeza ko Saad Bin Maaz r a ko salis k toar par qabool karna ho ga magar yahoudion ny Abu Lubana r.a ko salis banany par tarjeeh di.
Jab Abu Lubana r.a yahoudion k qabeely mein pohanchy tou yahoudi ny poucha k agar hum mohasira tor kar bahir aaein tou hamary saath keya salook ho ga…??
Abu Lubana r.a ny jawab deya k tumhari gardanein ouraa di jaein gi, halan k yeh baat Aap S.A.WW or Abu Lubana r.a k darmiyan aik raaz thee, Abu Lubana r.a ko wahan sy wapis aaty he apni ghalti yani raaz afsha kr k amanat mein khayanat ka ehsas hoa tou ounhon ny khud ko masjid e nabvi mein aik satoon k saath saat (7) din bandh leya k jab tak touba qabool na ho gi khud ko azaad nai krain gy…
Msg 8

Aap S.A.WW ko jab pata chala tou farmaya,
agar Abu Lubana r.a mery pass aa jaty tou main Alah sy dua krta or Allah oun ke ghalti ke maafi dy daita.
Is waqiya ko parh kar ehsas hota hy k hum tou zara bhe amanat dari ke is qadar ehmiyat sy aashna nai hein or na he amanat mein khayanat kr k itni nadamat ka ehsas hota hy.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Kisi ka haq ada krna,
a. farz hy
b. wajib hy
c. amanat hy

2. Amanat dari emaan ka,
a. johar hy
b. wasf hy
c. dono hein

3. Hum khiyant krty hein
a. Allah k khouf sy
b. dil mein duniya basa kar
c. naimton ko istamaal kar k

4. Aap S.A.WW ny amanatein wapis krny ke zimadari sounpi,
a. Hazrat Abu Bakar r.a
b. Hazrat Ali r.a
c. Hazrat Zaid r.a

5. kisi k raaz ko na chupana,
a. na jaiz hy
b. dhoka hy
c. khiyanat hy

 Fill in the Blanks  /5

1. Pouri ___ aik khudaai amanat hy.
2. Aap S.A.WW ke amanatdari ___ thee.
3. Jo amanat ke sift nai rakhta wo ___ nai.
4. ___ daina bhe amanat hy.
5. Hum Allah ke ata ke hoe naimton mein apni marzi chala kr ___ krty hein.

True / False /5

1. Amanat ka ta’aluq sirf rupy paisy sy hota hy.
2. Zindagi ko nafs o shaitan ke pairvi mein guzarna khiyanat hy.
3. Khiyanat yeh bhe hy k hum kisi ko ghalat nazar sy daikhein.
4. Amanat mein khiyanat munafiq ke aadat nai hy.
5. kisi bhe kaam ko ous ke sharaait k mutabiq na krna khiyanat hy.

Short Answer Questions /15

1. Amanat keya hy or is ka itlaaq kahan kahan hota hy?

2. Amanatdaron k bary mein Piary Aaqa S.a.WW ny keya farmaya? (aik hadees e mubarika)

3. Banu Qareeza k waqiya par konsi aayt nazil hoe?

4. Zindagi Allah ke amanat hy…
is ko amanat dari sy kaisy guzara ja sakta hy?

5. Apna jaaiza lain k,
kia hamari zindagi mein amanat aisy he dakhil hy jaisy k hukm deya geya hy.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (c)
3. (b)
4. (b)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Shariyat
2. Bemisal
3. Deendaar
4. acha mashwara
5. khiyanat

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. kisi ke cheeze ya baat ya hukm ko ous ke riaa’yat k sath ada karna amanat hy.
is ka itlaaq zindagi k har shouby mein hota hy.
(is ke detail hkr apny hisab sy likhein gy)

2. kisi aik hadees ka hwala deya jaye ga

3. “Ay emaan walo
na tou Allah or Oss k Rasool ke amanat mein khiyanat kro or na apni amanaton mein khiyanat kro”

4. Allah k btaye hoay asoolon par amal paira ho kar zindagi ko amant daari sy guzara ja sakta hy.

5. Yeh sub ka apna jwab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *