Step 4 – Moamlaat (Day 51)

AFOU YA MOAAFI

Jab koe zulm ya ziadati krny k baad apni ghalti k baad nadim hon tou ous sy badla na laina moaafi kehlata hy.
Quran mein kae maqamaat par moaafi ka hukm deya geya hy or is ke fazeelat or ehmiyat biyan ke gi hy.
Afou insani ikhlaaq o ousaaf mein sy aik nahayat he buland or aali wasuf hy or yeh shurfa ke siffat mein sy hy, jin mein anmbiya ko mumtaaz maqaam ka hasil hy.
Mahool mein sanjeedgi or aman o amaan k leay is wasf ke shadeed zaroorat hy.
Agar inteqaam or badla ka silsila shuru ho jaye tou duniya ka aman o sakoon khatam ho jaye.
Quran e pak mein isy maqbool o mehboob bandy k ousaaf mein biyan keya geya hy, Allah farmata hy,
“Or logon ko maaf kr dainy waly hein”
Aap S.A.WW tou khud moaaf karny walon k leay aik misaal hein, Aap S.A.WW dushmanon ko bhe pathar kha kar moaaf krny waly thy, magar hum tou kisi chouti c ghalti bhe moaaf nai krty apny dilon ke tangi ke wajah sy…
Msg 2

Aap S.A.WW ny farmaya,
“teen batein jis shakhs mein hon gi Allah ous ka hissab bohat aasan tareeqy sy ly ga or ous ko apni rehmat sy jannat mein dakhil kry ga…

i. jo tumy mehroom kry ousy ata kro
ii. jo tum sy qataa ta’aluq kry ousy milaap kro
iii. jo tum par zulm kry ous ko moaaf kro” Mola Ali a.s ka hikmat sy bhara qoul bhe moaafi ke ehmiyat ka ehasas dilata hy.
Aap a.s ny farmaya,
“Moaafi nahayat acha intaqaam hy”
Msg 3

Hazrat Ali a.s ny aik eid k roz roo roo kar bura haal kar leya, nay kapry na pehny or soukhi roti khany lagy.

kisi ny poucha k aaj tou eid hy or aap a.s ny koe tayari nai ke.
Aap a.s ny farnaya k eid tou oun ke hy jin ko Allah ny moaaf kr deya.
Hamein zara bhe ehsas nai tabhe tou hum bandon ke ghaltiyan moaaf nai krty, chahiye tou yeh k jo gunnah karty hein oun par bhe nadim ho kar moaafi maangain or dousron ke ghaltion ko bhe moaaf krain.
Allah farmata hy,
Tarjuma:-
“buraai moaaf kr dain tou Allah moaaf krny wala qudrat wala hy”
Moaaf karna yeh zahir nai krta k aap ghalti par hein or dousra sahee hy balk’y yeh zahir krta hy k aap k rishty ke ehmiyat aap ke an’na sy barh kar hy.
or yeh baat darust hy k waqiyee jab kisi ko moaaf karny ka zarf khatam ho jata hy tou asal mein rishty ke ehmiyat dil sy khatam ho jati hy jis ko moaaf nai kar paaty.
Msg 4

Moaaf krny ke ehmiyat ka andaza is hadees e mubarika sy bhe lagaya ja sakta hy.
Hazrat Anis r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya:-
“Ja banda hissab k leay maidan mein khara ho ga tou aik munadi aawaz dy ga, jis ka ajar Allah k zimy hy wo khara ho jaye or jannat mein dakhil ho jaye (koe khara na go) phir dobara eilaan keya jaye ga jis ka ajar Allah k zimy hy wo khara ho jaye, poucha jaye ga kis ka ajar Allah k zimy hy? frishta kahy ga yeh wo log hein jo logon ko .moaaf krty thy pas aisy log khary ho jaein gy or bila hissab jannat mein dakhil ho jaein gy”
Kitni bari fazeelat hy moaafi ke choun k ounhon ny moaaf keya tou Allah ny moaaf keya jab moaafi ho gi tou hissab kaisa, is leay bila hissab jannat mein dakhil ho jaein gy.
Msg 5

“Seerat e Mustafa” mein piary Aaqa S A.WW k afou ka aik waqiya aisy biyan keya geya hy k,
aik safar mein sarkar e Madeena aaram farma rahy thy k Ghouras Bin Al-Haris ny Aap S.A.WW ke jaan lainy k irady sy Aap A.S.WW ke talwar nayam sy khainch li.
Jab Aap S.A.WW neend sy baidaar hoay tou Ghouras kehny laga k Aey Muhammad S.A.WW..!!!
Ab Aap S.A.WW ko mujh sy kon bachaye ga?
Aap S..A.WW ny farmaya, “Allah”
Nabuwat ke haibat sy talwar ous k haath sy gir pari or Piary Aaqa S.A.WW ny talwar haath mein ly kar frmaya k bol ab tujh ko mery haath sy bachany wala kon hy??
Ghours girgira kar kehny laga k Aap S.A.WW he meri jaan bacha dain.
Rehmat e Aalam ny ousy chor deya or moaaf farma deya.
Chunachy Ghouras apni qoum mein aa kar kehny laga,
Aey logo…!!!
Main aisy shakhs k pass sy aaya hon jo tamam duniya k insano mein sab sy behtar hy.
Msg 6

kuffar e Makkah ny wo konsa aisa zulm or bartao tha jo Aap S.A.WW k saath na keya ho magar fatah e Makkah k din jab yeh sub sardaran e quraish, insar o mohajireen k lashkaron k mohasiron mein mehsoor o majbour ho kar haram e ka,aba mein khou o dehshat sy kaanp rahy thy or intaqaam k dar sy oun k jism ka aik aik baal larz raha tha, Rasool e rehmat S.A.WW ny in mujrimon or papion ko yeh kah kar chor deya or moaaf farma deya k,
“Aaj tum sy koe mo’aakhiza nai hy jao tum sub aazad ho”
End



EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Moaafi sift hy,
a. shurfa ke
b. momino ke
c. dono ke

2. Hamein nadim ho kar moaafi mangni chahiye,
a. gunahon par
b. ghaltion par
c. dono par

3. Moaaf krny waly jannat mein dakhil hon gy,
a. bila hisaab
b. gunahon ke saza pany k baad
c. hisaab kitab k baad

4. zulm o ziadati ka badla na laina,
a. ghalat hy
b. moafi hy
c. napasndeeda hy

5. moaafi zaroori hy,
a. khouf k leay
b. aman o amaan k leay
c. badla lainy k leay

Fill in the Blanks  /5

1. Moaafi insani ikhlaaq mein sy aik aala ___ hy.
2. Hum dousron ko ___ ke wajah sy moaaf nai kr paty.
3. Moaaf kar dainy walon ka ajar ___ k zimmy hy.
4. Ghouras ny apni qoum ko btaya k Aap S.A.WW duniya k ___ in san hein.
5. Moaafi ke bari ___ hy.

True / False /5

1. Aap S.A.WW moaaf karny walon k leay misaal thy.
2. Ghouras bin Abi Al_Haris Aap ka sathi tha.
3. Kuffar k zulm o sitam ka Aap S.A.WW ny badla leya.
4. Quran mein kae maqamaat par moaafi ka hukm aaya hy.
5. Moaaf karny walon ko qiyamat k din munadi kar k pukara jaey ga.

Short Answer Questions /15

1. Moaafi keya hy?

2. Moaafi k bary mein Mola Ali r.a ka keya farman e Aali shan hy?

3. Dousron ko moaaf kar daina hamary kis jazby ya ehsas ke akasi karta hy?

4. Mola Ali r.a eid k roz kis baat py roo rahy thy?

5. Fatah Makkah k mouqa par Aap S.A.WW ny keya farma k moaaf kar deya?


ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (c)
3. (a)
4. (b)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Wasf
2. Dil ke tangi
3. Allah
4. Behtreen
5. Fazeelat

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

Jab koi zulm ya ziadti k baad apni ghalti py na dim ho tou ghalati ka badla na liana moaafi hy.

2. Aap r.a ny farmaya,
“Moaafi nahayat acha intaqaam hy”

3. moaaf krna yeh zahir nai karta k hum ghalti par hein balky is baat ko zahir krta hy k rishton k ehmiyat an’na sy barh kar hy.

4. Moaafi na milny k khouf sy.

5. Aap S.A.WW ny farmaya,
“Tum sy koe mo’aakhiza nai jao aaj tum sub aazad ho.”


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *