Step 4 – Moamlaat (Day 52)

DARGUZAR

Jab zulm ya ziadti krny wala saamny ho or badla lainy ke pouri taqat bhe ho tou badla na laina or moaaf kr daina darguzar kehlata hy.
Allah farmata hy,
Tarjuma:-
“Zulm ka intaqaam chor kar Aap S.A.WW oun k saath khair khawahi or hamdardi ka moamla krain or narmi k saath oun ko haq baat btaein”
Quran e pak mein darguzar ko Allah k piary bandon ke sift biyan keya geya hy.
Darguzar karny k sirf duniya mein he faaidy nai hein balky aakhirat mein bhe is k bary fazaail hein or is wasf k hamil k bary darjaat hein.
Duniya k faaidon mein aik azeem treen faaida yeh k dushman bhe dost ho jata hy.
Aisa shakhs logon ke nigahon mein mukaram or qabil e tareef ho jata hy, magar khiyal rahy k afou o darguzar sy agar koe kameen sift insan kamzor or buzdil samjh kar pryshan krny ka silsila ikhtiyar kry tou phir ous k leay intaqaam hy.
Msg 2

Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Hazrat Mousa r.a ny Alla sy poucha k
kon banda ziada parhaizgaar hy?
farmaya jo Allah ko bhouly nai yaad rakhy,
phir poucha, or moaziz kon hy?
famaya jo qudrat par bhe moaaf kr dy”
Aaj badla lainy ko kamal, moaafi ko kamzori, or zilat ka kaam samjhty hein jab k moaaf kar dainy waly ka Allah k haan buland maqaam hy.
Msg 3

Aap S.A.WW k darguzar ka aik waqiya zair e nazar hy….
Hazrat Zaid Bin Sanaa r.a jo pehly aik yahoudi aalam thy ounhon ny Hazoor S.A.WW sy khajoirain khareedein.
Khajourain dainy ke mudat mein abhe aik do din baqi thy k ounhon ny bhary majmy mein Aap S.A.WW sy intehaai talakh o tursh lehjy mein sakhti k saath taqaza keya or Aap S.A.WW ka daman or chadar pakar kar taiz o tund nazron sy Aap S.A.WW ke taraf daikha or chila chila kar kaha,
Aey Muhamamd S.A.WW..!!
Tum sub Abdul Mutlib ke oulaad ka yehi tareeqa hy k tum logon k haqooq ada krny mein hamesha dair krty ho or taal matol karna tum logon ke aadat ban chuki hy….
Msg 4

Yeh manzar daikh kar Hazrat Umer r.a aapay sy bahir ho gy or nahayat ghazabnak or zehrili nazron sy ghour ghour kar kaha,
Aey Allah k dushman too Allah k Rasool S.A.WW sy aisi gustakhi kar raha hy?
Khuda ke qasam!!
Agar Hazoor S.A.WW ka adab ma’ney na ho tou main abhe apni talwar sy tera sar urra daita.
Yeh soun kar Aap S.A.WW ny farmaya k
Aey Umer r a…!!!
tum keya kar rahy ho tumy tou chahiye tha k mujhy ada e haq ke targheeb dy kar ous ko narmi k sath taqaza karny ke hidayat kar k hum donon ke madad karty.
Phir Aap S.A.WW ny hukm deya k
Aey Umer r.a…
is ko is k haq sy ziada dy do.
Jab Hazrat Umer r.a ny ziada khajorain deein tou Hazrat Zaid bin Sanaa ny kaha k mery haq sy ziada kion?
Aap S.A.WW ny farmaya k main ny tumy tairehi tirchi nazron sy daikh kar tumy khouf zada kar deya hy is leay Hazoor S.A.WW ny tumhari diljoei k leay tumhary haq sy ziada dainy ka hukm farmaya hy….
Msg 5

yeh soun kar Zaid Bin Sanaa r.a ny kaha k mujhy pehchanty ho k main kon hon?
Aap S.A.WW ny farmaya k tum wohi Zaid Bin Sanaa ho jo yahoudion ka bohat bara aalim hy.
ounhon ny kaha haan jee…yeh soun kar Hazrat Umer r.a ny poucha k tum ny Hazoor S.A.WW sy aisi gustakhi kion ke ??
Hazrat Zaid Bin Sanaa r a ny jwab deya…
Aey Umer r.a darasal baat yeh hy k main ny Torait mein nabi aakhir uz zamaan ke jitni nishaniyan parhein oun sub ko main ny in ke zaat mein daikh leya magar oun nishanion ka imtehaan krna baqi tha or yeh k Oun ka hilm jehal par ghalib rahy ga or jis qadar Oun k sath jahilaana bartao keya jaye ga ousi qadar Oun ka hilm barhta jaye ga.
Chunachy main ny is tarkeeb sy in dono nishanion ko dakh leya or main shahadat daita hon k yeh yaqeenan Nabi barhaq hein or Aey Umer r.a main bohat maaldaar aadmi hon main tumy gwah banata hon k main ny apna aadha maal Aap S.A.WW ke ummat par sadqa keya phir Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir ho kar kalma parh kar daman e islam mein aa gy.
Msg 6

sorat Al-Furqaan mein bhe darguzar sy mutaliq aisa he hukm hy.
Tarjma:-
“or jab jahil oun sy jahilaana batein krty hein tou yeh salamti ke baat karty hein”
yani k bewaqouf jahilaana batein karny walon sy intaqaami moamla nai karty balky darguzar karty hein.
Is sy maloom hoa k jo log apni shaan or waqar ko baqi rakhny k leay jahilon ko ousi jaisa muqably ka jwab daity hein tou wo shan e momin or shan e kareemana k khilaaf hy.
Msg 7

Qurban jaein yeh thee shaan hamary piary Aaqa S A.WW ke…

magar afsoos hum tou zara c bhe oun ke pairvi nai krty.
Aik taraf hum khud ko Oun ka ummati kehty hein or dousri taraf zara c takleef bardasht nai hoti or na he kisi ko moaaf krty or darguzar karty hein.
Agar hamein badly ke taqat he na ho tou moaaf kar daina shayed itna mushkil amal na ho jitna k tab k, jab hum taqat bhe rakhty hon or moaaf bhe kr dain kion k andar sy nafs or an’na zoor lagaty hein k hum badla lain magar aisy mein moaaf krna or badla na ly kar darguzar karna he hamary moamlaat ko behtreen banata hy.
Allah hamein Piary Aaqa S.A.WW ke taleemaat o sunnat par amal karny ke toufeeq farmaye.
Aameen



 

 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s  /5

1. Darguzar karna faaidy ka baes hy,
a. Dunia mein
b. Aakhirat mein
c. Duniya or aakhirat dono

2. Aap ny Sanaa ke diljoei k leay ous ko deya ous k,
a. Haq sy kam
b. Haq sy ziada
c. Brabar

3. Darguzar karny wala logon ke nazron mein hota hy,
a. Qabil e tareef
b. Mukaram
c. Donon

4. Sanaa ke baat par ghazabnaak ho gy,
a. Hazrat Abu Bakar r.a
b. Hazrat Umer r.a
c. Hazrat Ali r.a

5. Hum badla lainy par majbour hoty hein,
a. An’na ke wajah sy
b. Taqat k bal bouty par
c. Doulat ke wajah sy

 Fill in the Blanks  /5

1. Darguzar ko kamzori samjhny waly k leay ___ hy.
2. Moaziz wo hy jo ___ rakhny par bhe moaaf kar dy.
3. Aap S.A.WW ka hilm ___ par ghalib raha.
4. Jahilon ke baton ka jahilana jwab daina ___ or ____ k khilaaf hy.
5. Darguzar karna hamary ___ ko behtreen banata hy.

True / False /5

1. Moaaf kar dainy waly ka Allah k haan buland maqam hy.
2. Aap S.A.WW ny Zaid bin Sanaaa sy khajorain khareedein.
3. Zulm k badly mein hamdardi sy paish aany ka hukm hy.
4. Sanaa is waqiya k baad musalman ho geya.
5. Moaaf kar daina kamzori or zilat ka baes hy.

Short Answer Questions /15

1. Darguzar kisy kehty hein?

2. Aap ke nazar mein darguzar krny ke keya ehmiyat hy?

3. Torait mein Aap S.A.WW ke kis nishani ko wazeh keya geya or Sanaa ny Aap S.A.WW k bary mein keya gwahi di?

4. Darguzar sy mutaliq Allah ny keya hukm farmaya ? (aik aayt)

5. Apna jaaiza lain,
share krain k,
darguzar k moamly hamara tarz e amal kis had tak in taleemat k mwafiq hy.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (c)
2. (b)
3. (c)
4. (b)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Intaqaam
2. Qudrat
3. Jehal
4. Shan e momin / Shan e kareemana
5. Moamlaat

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Kisi k zulm o ziadati k badly mein qudrat rakhny k bawajood badla na laina or moaaf kar daina darguzar hy.

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.

3. Aap S.A.WW k hilm ke nishani ko wazeh keya geya.
Sanaa ny kaha k,
“yeh yaqeenan Nabi barhaq hein”

4. Koe aik Aayat

5. Yeh sub ka apna apna jwab ho ga


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *