Step 4 – Moamlaat (Day 53)

JANWARON SY MOHABAT

Aaqa e do jahan paikar e rehmat, Aap S.A.WW ka saya e rehmat sirf insano par he na tha balky janwar or prindy bhe is sy mehroom na thy.
Jabwaron k bary mein Aap S.A.WW ny takeedan farmaya,
“In be zaban janwaron k bary mein Allah sy daro, in par swar ho tou achi halat mein swar ho, or in ko khao tou achi halat mein rakh kar khao”
yani hum janwaron sy kisi bhe qism ka kaam lain yeh zaroori hy k oun k sath mohabat ka bartao rakhein.
Aap S.A.WW ny in pehloo’on sy bhe janwaron k sath mohabat ka izhar keya k hamein waqt par oun k khany peeny ka bhe khiyal rakhna chahiye.
Aap S.A.WW aik baar aik insari k baagh mein tashreef ly gy, wahan daikha k aik ount hy. Jab ous ount ny Aap S.A.WW ko daikha tou roo para Aap S.A.WW ous k paas aaye or ous k pas e gosh haath phaira wo chup ho geya.
Aap S.A.WW ny daryaft keya k is ka malik kon hy?
Aik insari ny kaha k yeh mera ount hy.
Aap S.A.WW ny farmaya k,
is chopaye k bary mein jis ka Allah ny tujhy malik banaya hy, Allah sy nai darta?
is ny mery pass shikayat ke k too is ko bhouka rakhta hy or kasrat sy takleef daita hy.
Msg 2

Hazrat Saeed r.a frmaty hein k,
main ibn e Umer r.a k sath tha wo chand noujwano k pass sy guzry jinhon ny aik murghi baandh rakhi thee or ous par teer sy nishany baazi kar rahy thy.
Hazrat Ibn e Umer r.a ny famaya k,
Bila shuba rehmatul lil aalameein ny aisa krny sy mana farmaya hy.
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya k,
“Laanat hy k jandaron ko nishana k leay baandha jaye”
Baaz log janwaron ko baandh kar nishana karty hein or mashq karty hein is ke sakht muma’ne’at hy.
is tarah be dardi sy maarna haram hy, albata shikar karna darust hy k yeh anmbiya ka tareeq hy, Hazrta Ismaael a.s shikar keya karty thy.
Msg 3

Be zaban janwar apny leay faryad nai kar sakty magar hamara yeh farz hy k hum oun k sath husn e salook krain or oun ko bila wajah takleef ka nishana na bnaein.
Safar k doran agar kisi jagah ghala ho tou aisi jagah sy ruk kar janwar ko ghala khanay ka hukm farmaya.
Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya, .
“Jab farakh saali ho or ghass bakasrat ho tou tum safar mein din ko kisi waqt ounton ko chor deya kro ta’k wo charr lain or jab qehat saali ho tou oun ko taiz chalao ta’k wo achi halat mein manzil tak pohanch jaein, aisa na ho k basorat e takheer wo bhook k maary kamzor ho kar raasty mein he reh jaein or jab tum aakhir shab mein kisi jagah outro tou raasta chor kar daira daalo kion k raat k waqt chopaaye or hashraat ul arz raaston mein phira krty hein or khany ke giri pari cheezain or had’diyan jo raasty mein hon wo khaya krty hein”
Msg 4

Hum mein sy har koe jab janwar paaly ya baandh kar rakhy tou ous k khany peeny ka intazam ous par wajib o lazim hy.
Agar ous ny ous mein koe kotahi ke or ous ka khiyal na rakha or ousy bhooka rakha tou ous ka gunnah malik par ho ga.
Amouman log is baat ka khiyal nai karty, basa ouqaat janwar paal laity hein or oun ko bhouka maarty hein, khiyal rahy k janwar sy faaida ho ya na ho har sorat qabza mein rakhny ke wajah sy ous ka haq ada krna wajib hy.
Hazrat Ibn e Umer r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Aik aourat ko azab is leay deya ja raha tha k ous ny aik bili paali thee na tou ous ko baandh kar rakhny ke sorat mein khana deya or na he ousy aazad chora k chal phir kar zameen sy kha laiti”
Msg 5

Aap S A.WW ny,

*Tafreeh k tor par kisi janwar ko takleef pohanchany,

* Taqat sy ziada bojh laadny,

* Kisi janwar k munh par chari maarny,

* Arab k riwaaj k mutabiq kisi janwar ka koe azaa kaatny,

* Zibah hony waly janwar ko zibah karny mein dair karny,

* Janwar k saamny churi taiz krny,

* Or tafreehan shikaar karny
sy mana farmaya hy.
Allah ny Quran pak mein farmaya hy k,
“Tum in ke peeith par charh baitho or jab is par baith jao phir apny parwardigaar k ehsan ko yaad kro or kaho k wo paak hy jis ny is ko hamary zair e farman kar deya or hum mein taqat na thee is ko qaboo karty”
Janwaron ko hum swari k leay istamaal krty hein or ous waqt qatan ehsas nai hota k yeh Allah ka ehsan hy hum par, hum ulta janwaron ka khiyal karny mein kotahi barat’taty hein.
Msg 6

Hazrat Abdur Rehman bin Usman r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW sy aik tabeeb ny maindak sy dawa banany k bary mein poucha tou a
Aap S.A.WW ny ousy maarny sy mana farmaya.
Khiyal rahy k waisy tou oun tamam janwaron ko jo nuqsan or zarar na pohanchaty hon or na oun ka gosht khaya jata ho oun ko maarna mana hy or jo nuqsan pohanchaty hon oun ko maarna darust hy.
Piary Aaqa S.A.WW ny khasoosiyat k saath janwaron mein maindak or chiyounti ko marny sy mana farmaya hy.
In ko maarny sy mana karny mein hikmat or maslehat ko Alama Qartabi ny aisy biyan keya hy k…
*MAINDAK
Jab Hazrat Ibrahim a.s ko aag mein dala geya tou maindak ny paani dala tha or yeh k khuda k dushman firaon ko is ny khoub pryshan keya or ous ka tar’tarana tasbeeh hy.
Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy manqool hy k,
maindak ko qatal mat kro is ka tartarana tasbeeh hy k sub janwaron mein sub sy ziada tasbeeh parhny wala janwar maindak hy.
Msg 7

?*CHIYOUNTI

Riwayat biyan ke jati hy k Aap S.A.WW ny chiyountion ka aik ghar daikha jisy kuch sahaba r.s ny jala deya tha.
Aap S.A.WW ny poucha isy kis ny jalaya hy?
Sahaba r.a ny arz keya k hum ny jalaya hy.
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Nabion mein sy kisi nabi ko aik chiyounti ny kaat leya ounhon ny hukm deya k chiyounti ke jagah ko jala deya jaye tou Allah ny oun ke taraf wahi bheiji k kata aik chiyounti ny or tum ny ous ke sari jamaat ko jala deya jo tasbeeh krti thee”
Aik or jagah par farmaya k,
“Kisi ko jaaiz nai k Allah k siwa koe kisi ko aag ka azaab dy”
Keya shaan e kareemi hy k mery Aaqa S.A.WW sy janwar bhe lutf e karam paaty rahy.
Is jahan ka koe bhe zara aisa nai hy k jis par Aap S.A.WW ke rehmat saya figan na rahe ho, koe aik bhe makhlooq Rehmatul lil Aalameein ke rehmat ke nigah sy oujhal na hoe ho go.
Msg 8

PRINDON SY MOHABAT

Aaqa e do aalam S.A.WW ny janwaron k saath saath parindon ko bhe piyar or mohabat ke nigah sy daikha,
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Jo shakhs kisi chiriya ya janwar ko na jaq mary, qayamat k din ous ko maarny ka mo’aakhiza ho ga.
poucha geya ous ka haq keya hy?
farmaya…
ous ka haq yeh hy k agar ous ko zibah kry tou ous ko khaye yeh na kry k ous ka sar kaat kar phaink dy or gosht istamaal na kry”
yani janwaron ko khany he k maqsad sy shikar kary, shikaar ya zibah kar k younhi na phaink dy k yeh na jaaiz hy.
Msg 9

Aik baar aik sahabi Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoay oun k haath mein kisi prindy k bachy thy jo choon choon kar rahy thy,
Aap S.A.WW ny in prindon k bary mein poucha tou sahabi r.a ny arz keya k main aik jhari k pass sy guzar raha tha k in bachon ke aawaz aa rahe thee main ny in ko outha leya in ke maan ny daikha tou betabana chakar kaatny lagi…
yeh soun kar Aap S.A WW ny farmaya,
“Foran jao or in bachon ko wapis waheein rakh aao jahan sy laaye ho”
Beshak Piary Aaqa S.A WW tamam makhlooqaat k leay rehmat hein, Aap S.A.WW ny prindon ko bhe apni rehmat sy sarfaraz rakha.
Msg 10

Bachy amouman shararat or khail mein prindon or janwaron k andy outha laity hein jis sy janwar pryshan ho jaty hein.
Piary Aaqa S A.WW ny aisa krny sy mana farmaya hy.
Hazrat Abdullah r.a riwayat krty hein k Aap S.A.WW ny doran e safar aik manzil par qayam keya aik shakhs ny prindy ka anda ghounsly sy outhya jab wo chiriya aaei tou Aap S A.WW k sar e mubarik k charon taraf pharpharany lagi.
Aap S.A.WW ny farmaya kis ny andy outha kar is ko pryahan keya?
Aik shakhs ny kaha, main ny.
Aap S.A WW ny reham farmaty hoay kaha k, is k andy wapis rakh do.
Msg 11

Aamir teer andaz thy,
riwayat krty hein k hum piary Aaqa S.A.WW ke khidmat mein hazir thy oun k pass aik shakhs aaya jis par kambal tha or ous k haath mein koe cheeze thee jis par ous ny kambal lapaita hoa tha.
ous ny arz keya,
Ya Rasool Allah S.A.WW…!!!
aik jangle sy mera guzar hoa, main ny aik prindy k bachon ke aawazain souneein main ny oun ko pakar leya or kambal mein rakh leya. oun ke maan aaei or mery sar par mandlany lagi.
Main ny kambal ko
bahon sy dour kar deya wo oun par gir pari main ny oun sub ko kambal mein lapait leya or ab yeh mery pass hein.
Aap S.A.WW ny farmaya, in ko rakh do main ny oun ko rakh deya lakin oun ke maan oun ko chor nai rahe thee.
Aap S.A.WW ny farmaya, tum bachon par maan k reham krny par ta’ajub mein ho.
Oss zaat ke qasam jis ny mujhy haq dy kar bheija hy, tehqeeq Allah apny bandon par in bachon ke maan sy barh kar reham karny wala hy too in ko wapis ly ja or in ko maan smait waheein rakh do jahan sy in ko pakra hy pas main oun ko waheein rakh aaya.
Msg 12

Aap S.A.WW ny Hudhud or shehad ke makhi ko maarny sy mana farmaya hy.
in prindon k bary mein aisy biyan keya jata hy…..
*HUDHUD
Hudhud ny Hazrat Suleman r.a ke tareef ke or oun k lashkarion ko husn e tarteeb sy zulm sy bachaya or Hazrat Suleman a.s ko paani k maqaam ke rehnumaai karta jis sy namaz or wazoo mein sahoolat hoti or Hazrat Bilqees r.a ke rehnumaai farmai k jis k nateejy mein emaan laa kar zojiyat e Sulemaan mein dakhil hoeein.
Msg 13

SHEHAD KE MAKHI 

Shehad ke makhi ke taraf Allah ny ilhaam keya, ilhaam jis ke tabeer wahi sy ke gi hy k yeh aik naimat or fazeelat hy.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwyat hy k Aap S.A WW ny farmaya,
“Har qism ke makhion, machron or keery makoron ko ehal e jahanam par musalat keya jaye ga magar shehad ke makhi ko oun par musalt nai keya jaye ga”
Shehad ke makhi choun k insan k leay faaaida mand hy is sy nikalny wali shay ko Allah ny baes e shiffa banaya hy isi leay is ko maarny sy mana farmaya geya hy.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Hamein khiyal rakhna chahiye janwaron ke,
a. sony jaagny ka
b. khourak ka
c. sehat ka

2. Janwaron ko bedardi sy marna,
a. haram hy
b. jaaiz hy
c. gunnah nai

3. Janwaron ka haq ada krna,
a. wajib hy
b. sunnat hy
c. farz hy

4. Shehad ke makkhi insan k leay,
a. be zarar hy
b. faida mand hy
c. nuqsan deh hy

5. Aap S.A.WW ny wapis rakhny ka hukm famaya,
a. talwar
b. prindy
c. deenar

 Fill in the Blanks  /5

1. Aap S.A.WW ka saya e rehmat sirf insano k leay he nai balky ___ or ___ k leay bhe tha.
2. Shikar karna ___ ka tareeqa hy.
3. Janwaron ka khiyal na rakhny ka ___ malik par hy.
4. Hudhud ny Hazrat Suleman a.s k lashkr ko ___ sy bachaya.
5. Maindak ka tartarana ___ hy.

True / False /5

1. Janwaron k sath muhabat ka bartao rakhny ka hukm hy.
2. Qehat sali k dino mein janwaron ko aahista chalana chahiye.
3. Aourat ko bili ko bhouka rakhny ke wajah sy azab deya geya.
4. Har qism k makhi or machron ko ehl e jahanam par musalt keya jaey ga.
5. Aap S.A.WW ny bachon ko prindon k andy outhany sy mana farmaya hy.

Short Answer Questions /15

Q1. Safar k doran Aap S.A.WW ka janwaron ke khourak k bary mein kia hukm hy?

Q2. Aap S.A.WW ny janwaron k bary mein kin baton sy mana farmaya?

Q3. Janwaron ya prindon ka haq kia hy?

Q4. Aap S.A.WW ny kin janwaron or prindon ko maarny sy mana faramaya hy?

Q5. Maindak ko maarny sy kion mana keya geya?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (a)
4. (b)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Janwaron / prindon
2. Anmbiya
3. Gunnah
4. zulm
5. Tasbeeh

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Safar k doran kisi jagah ghala ho tou aisi jagah sy ruk kar janwar ko ghala khany ka hukm hy.

2. Jawab…
i. tafreeh k takleef pohanchana

ii. taqat sy ziada bojh laadna

iii. janwar k munh par chari marna

iv. janwaron k aza katna

v. zibah mein dair karna vi. janwar k saamny churi taiz karna

vii. tafreehan shikar karna

3. yeh sub ka apna jwab ho ga.

4. Maindak, Chiyounti, hudhud or shehad ke makhi

5. Hazrat Ibrahim a.s ko jab aag mein dala geya tou mainadak ny ous aag mein pani dala or is ny firaon ko khoub tang keya tha is leay is ko maarny sy mana farmaya geya hy.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *