Step 4 – Moamlaat (Day 54)

ANDAAZ E GUFTAGOO

Takalum insan k emaan, kirdar, or martaby ko pouri tarah be naqaab krta hy.
Mouzou’aat or ilfaaz ka intekhaab, fiqron ke saakht, aawaz ka outar charhao, lehjy ka asloob, or biyan ka zoor yeh sari cheezain wazeh krti hein k mutakalm kis paaye ke shakhsiyat ka alambardar hy.
Piary Aaqa S.A.WW k mansab or zima darion ki noaei’yat aisi thee k oun ka bhari bojh agar kisi dousri shakhsiyat par dala geya hota tou wo tafakraat mein doub kar reh jata lakin piary Aaqa S.A.WW k kamalaat e khas mein yeh baat bhe shamil hy aik taraf Aap S.A.WW tafakraat or masaail ka pahar outhaye hoay thy or tarah tarah ke pryshanion mein sy guzarty thy lakin dousri taraf logon mein ghulna milna bhe hota. Mizaaj ke sanjeedgi apni jagah thee or tabasum o mazah apni jagah.
Msg 2

Apni kitab
“Mohsin e insaniyat”
mein Naeem siddique likhty hein k Hazrat Umm e Mu’baad ny Aap S.A.WW k andaz e guftagoo ko aisy biyan keya hy k,
“Guftagoo motiyon ke lari jaisy pirooi hoe, ilfaaz na zaroorat sy kam na ziada, na kotah sukhan na tweel gou”
Guftagoo mein bil amooum aik muskrahat shamil rehti.
Abdullah bin Haris r.a ka biyan hy k,
“Main ny Hazoor S.A.WW sy ziada kisi ko muskraty nai daikha”
Hazrat Imam Hussain r.a farmaty hein k Aap S.A.WW dair tak khamosh rehty thy or bila zaroorat baat cheet na krty, Aap S.A.WW ko logon sy baat cheet krna hoti or guftagoo farmana hoti tou ous k bary mein Hazrat Zaid Bin Haris r.a k ilfaz mein k,
“Aap S.A.WW ke guftagoo aisi hoti k hum dunyavi moamlaat ka zikar kar rahy hoty tou ous mein Aap S.A.WW hisaa laity, jab hum aakhirat ke guftagoo kar rahy hoty tou bhe Aap S.A.WW hamary saath ous par takalum farmaty”
Msg 3

Hazoor S.A.WW ke imtiazi shaan yeh thee k Aap S.A.WW ko “Jwamey al-kalam” ata keay gy.

Jwamey al-kalam Aap A.S.WW k wo mukhtasir treen kalmaat hein jo maanvi lehaz sy bari wusat rakhty hein.
Kam sy kam lafzon mein ziada sy ziada maani paish krny mein Sarwar e aalam S.A.WW apni misaal aap thy or isay khasoosi atiyaat e Rab mein shumaar karty thy.
Msg 4

Piary Aaqa S.A.WW ke fasaht e guftagoo is baat sy bhe wazeh hoti hy, Hazrat Ali a.s ny aik baar swal keya k Aap S.A.WW apny maslak ke wazahat krain.
Aap S.A.WW ny jis mukhtasir faseeh andaz mein jwab deya or is jwab mein apny tarz e fikr, apny kirdar, or apni rohaniyat ke jamay tasveer khainchi wo bjaye khud insani kalam ke tareekh mein aik ijaaz hy.
Aap S.A.WW ny farmaya,
“Irfaan mera sarmaya, aqal mery deen ke asal hy, mohabat meri bunyad hy, shouq meri swari hy, zikar e Elahi mera mounis hy, eitmaad mera khazana, khuzn mera rafeeq, ilm mera hathiyar, sabar mera libaas, Allah ke raza meri ghaneemat, aajizi mery leay waja e aizaz, zuhad mera paisha, yaqeen meri taqat, sidq meri sifarish, ita’at mera bachao, jehad mera kirdar, or namaz meri aankhon ke thandak hy”
Msg 5

Aap S.A.WW k jamay kalam ke kafiyat ibn e Qaim ny Zaaid ul Miyaad mein Aap S.A.WW k guftagoo ka nahayat he jamay naqsha biyan karty hoay likha hy k,
Aap S.A.WW tamam makhlooq mein sub sy ziada faseeh al-kalam or shireein biyan thy, Aap S.A.WW ke batein bohat meethi hoti theein yahan tak k Aap S.A.WW ka kalam dilon ke gehraiyon mein paiwast ho jata tha or rooh ko qaid kar laita tha jis ke shahadat khud Oun k dushmanon ny di, jab guftagoo farmaty thy tou alag alag juda juda lafz k gin’nanay wala gin laita, is qadar taiz nai k mehfooz na rakha ja saky, na intehaai aahista k kalam k tukron mein kha’lal paida kar dy balky har aitbaar sy khoubion ke hamil guftagoo farmaty.
Aap S.A.WW baat ko misalon sy samjhaya krty thy.
Msg 6

Allah ny farmaya,
“Apni aawazain paighambar ke aawazon sy ounchi na kro jis tarah aapas mein bolty ho oun k saath na bolna k tumhary aamaal zaya ho jaein or tumy khabar bhe na ho gi”
Andaz e guftagoo ka behtreen andaaz or asool in aayat mein bta deya geya hy.
Allah kisi ke buraai ya buri baat ko buland aawaz sy kehna pasand nai krta siwaye is k, k zulm hoa ho.
Talwar ka zakham jism par hota hy or buri guftagoo ka rooh par.
Aap S.A.WW k andaz e guftagoo k bary mein “Mohsin e insaniyat” mein likha hy k Aap S.A.WW ko makrooh, fahash, or ghair hamdardana kalmaat sy tanafar tha, Aap S.A.WW ke guftagoo mein aik muskrahat shamil rehti thee.
Hazrat Abu Darda r.a sy marvi hy k main ny kabhe Aap S.A.WW ko aisa na daikha k Aap S.A.WW guftagoo karty hoay muskraty na hon.
Msg 7

Hazrat Abdulla Bin Haris r.a ka biyan hy k main ny Aap S.A.WW sy ziada kisi ko muskraty nai daikha, guftagoo mein kisi baat par zoor dainy k leay taik sy outh kar seedhy ho baithty, baat ke wazahat k leay hathon or ounglion k ishary sy bhe madad laity.
Hazrat Abu Jabeera r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Main or qayamat yaky baad deegry bhaija geya hon.
Aap S.A.WW ny shahadat ke oungli ko darmiyan wali oungli sy mila kar dikhaya”
Msg 8

Aap S.A.WW guftagoo mein mazaq bhe farma leya karty thy magar irshad farmaty k main koe khilaaf haq baat nai kehta.
Aap S.A WW ke guftagoo mein narmi ka ansar numayan hota tha or guftagoo k andaz mein apny or ajnabi ya dost or dushman ke wajah sy koe farq na hota tha. Aik baar aik shakhs Aap S.A.WW sy milny ko hazir hoa or wo aisa shakhs tha jis ko apny giroh ka bura aadmi samjha jata tha magar Aap S.A WW ny ous sy bhe be takalufi sy guftagoo farmaei.
Hazrat Ayesha r.a ko ta’ajub hoa tou Aap S.A WW ny farmaya,
“Qasam hy qayamat k din khuda k Hazoor S.A.WW wo shakhs bad tareen aadmi ka maqaam paye ga jis sy log ous ke badsalooki k dar sy milna julna chor dain”
Msg 9

Is waqiya ko parh kar ehsas hota hy k Aap S.A.WW dushman or na pasandeeda logon sy bhe baat krty hoay apna andaz e guftagoo behtreen, be takaluf, or shaista rakha or andaz e guftagoo mein Allah k hukm ke pairvi ke. Aap S.A.WW apny andaz e guftagoo ko apny dushmanon k sath bhe waisa he rakhty jaisa doston k sath magar hum tou apna andaz e guftagoo dostoon k saath bhe kabhe shaista nai rakhty.
zara khilaaf e twaqoo koe baat ho tou hamari guftagoo ka andaz badal jata hy lakin.Aap S.A.WW ny tou yeh andaz na ikhtiyar keya tha hamari guftagoo ka andaz saamny mojoud shakhs k mutabiq bhe badal jata hy or apni pasand ya na pasand ka banda saamny hony par bhe badal jaty hein.
Aap S.A.WW k andaz e guftagoo ka koe unwaan bandha ja sakta hy tou quran ke is aayt sy…
Tarjama:-
“Logon ko husn e takalam sy khitaab kro”.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Aap S.A.WW ny famaya k,
Allah ke raza meri
a. khushi hy
b. ghaneemat hy
c. shouq hy

2. Aap baat ko samjhya karty thy,
a. hathon sy
b. isharon sy
c. dono sy

3. Allah ny na pasand farmaya buraai ko,
a. buland aawaz sy biyan karny ko
b. aahista aawaz sy biyan karny ko
c. chupany ko

4. Guftagoo karty hoay ijtanaab karna chahiye
a. fahash baton sy
b. ghair hamdardana baton sy
c. dono tarah ke baton sy

5. Aap S.A.WW na karty thy,
a. bila zaroorat baat
b. hansi mazaq
c. bachon sy baat

 Fill in the Blanks  /5

1. Aap S.A.WW ko ____ ata keay gy.
2. Aap S.A.WW nahayat ____ thy.
3. Talwar ka zakham ___ par or buri guftagoo ka ____ par hota hy.
4. Aap S.A.WW tamam makhlooqat mein ____ or _____ thy.
5. Andaz e guftagoo hamari ____ ke alambardar hy.

True / False /5

1. Aap baat par zoor dainy k leay taik chor daity thy.
2. Aap guftagoo k doran muskaraty na thy.
3. Apno or ghiron k sath andaz e guftagoo mein farq hona zaroori hy.
4. dousron ke baat ko pouri twajoo sy soun’nana chahiye.
5. Aap S.A.WW mazaq mein bhe koe khilaaf e haq baat na farmaty thy.

Short Answer Questions /15

1. Guftagoo shakhsiyat ke aaina daar kaisy hoti hy?

2. Umm e Mua’bad ny Aap S.A.WW k andaz e guftagoo ko kaisy biyan farmaya?

3. Jwamy Al kalmaat keya hoty hein?

4. Aawaz k past rakhny sy mutaliq Allah ka keya hukm hy?

5. Aaj aap bhe is andaz e guftagoo ko apnany ke koshish krain or apni feelings share krain.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)

2. (c)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Jwamy al kalmaat
2. Sheerin biyan
3. Jism / rooh
4. Faseeh al kalam / Sheerin biyan
5. Shakhsiyat

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Mouzou’aat or ilfaaz ka intekhaab, fiqron ke saakht, awaz ka outar charhao, lehjy ka asloob, or andaz e biyan baat krny waly ke shakhsiyat ke ak’kasi karti hein.
(HKRs is ko apny ilfaaz mein bhe biyan kr sakty hein)

2. Aap S.A.WW k andaz e guftagoo ko aisy biyan keya geya,
“guftagoo motion ke lari, ilfa na zaroorat sy kam na ziada, na kotah sukhan na taweel gou”

3. Wo mukhtasir tareen ilfaz jo maanvi lehaz sy kam sy kam ilfaz mein ziada sy ziada baat ko wazeh kar sakein

4. Allah ny farmaya,
“apni aawazain paighamber ke aawaz sy ounchi na kro jis tarah aapasein bolty ho oun k sath na bolna k tumhary aamal zata ho jaein gy or tumy khabar bhe na ho gi”

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *