Step 4 – Moamlaat (Day 55)

Paidaish

Chaah e zamzam bohat salon sy dab chuka tha or ous ka nishan bhe kisi ko maloom na raha . Hazrat Abdul Mutlib ko khawab mein is ko khodny ka ishara hoa
tou apny sahabzady Haris k sath chah e zamzam ko khodny lagy .
Unho ny man’nat mani k agar mein apny saamny apny 10 baiton ko jawan daikh loun tou aik ko Allah ke rah mein qurban kron ga .
Aap k baity jawan hoay to sab ko ly kar ka’aba mein aaey or qur’ra dala to Hazrat Abdullah r.a ka naam nikla.
Abdul Mutlib ko baiton or quraish ny kaha k ounton ke qurbani par qur’ra dalein .
Pehly 10 ount ya Hazrat Abdullah ka qur’ra dala to Hazrat Abdullah ka naam nikla is trah barhty barhaty 100 ounton k qur’ry mein ounton ka naam nikla.
Hazrat Abdul Mutlib ny 100 ounton ke qurbani di.
Hazrat Abdullah noor e MOHAMMADi S..A.WW ke wajah sy bohat haseen o jmeel thy. Hazrat Abdul Mutlib ny oun ke shadi banu zahra k sardar ke beti Hazrat Aamna r.a sy kr di
Msg 2

Jab Noor e MOHAMMADI S.A.WW Hazrat Aamna r.a k andr muntaqil hoa tou ous saal quraish mein sakht qehet saali thi. Is noor ke barkat sy zameen par sabzy ke makhmali chadar bich gai.
Phal dar drakht phal sy lad gaey or Makkah mein bohat faraakh saali ho gi.
Ka’aba mein bout munh k bal gir gaey . Aap S.A.WW ke walida ny sunna k koi keh raha hy tery pait mein jahan ka sardar hy.
Jab Aap S.A WW maan k pait mein 2 maah k hoay to Abdul Mutlib ny Hazrat Abdullah r.a ko tijarat k leay mulk shaam bheja wapsi par Madina mein banu Addi me thehry or beemar ho kr wafat paai.
Msg 3

Jab chand k hissab sy 9 maah poory hoay to 12 Rabi ul awal samwar k din fajar k waqt jab k abhi aasman par baaz sitary nazar aa rahy thy PIARY AAQA E DOU JAHAAN S.A.WW is dunia mein is halat mein tashreef laey k dono hath zameen par or sar aasman kr traf uthaey hoy thy.
Badan mubarik pakeeza or kastoori ke khushboo sy mo’atar, Naaf bureeda or khatny keay hoay, Chehra mubarik chodhwein raat k chand ke tarah noorani,
aankhen surmageen dono shano k drmiyan mohr e Nabuwat darakhshaan.
AAP S.A.WW k dada khana Ka’aba ka tawaaf kr rahy thy oun ko bulaya geya.
Bohat khush hoay or pooty ko ly kr khana ka’aba gaey or dua ke or Allah ka shukar ada kia.
Msg 4

Aap S.A.WW k chacha Abu lahab ko oun ke laondi Sobia ny khabar de tou ounho ny khushi mein Sobia ko aazad kr deya.
Aap S.A.WW ke wiladat ba sa’adat k waqt ghaib sy bahut ajeeb o ghreeb khawariq aadat amoor zahir hoay.
AAP S.A.WW k noor sy Haram shreef ke past zameen or teely roshn ho gaey or Makkah Mukarma k rehny walon ko Shaam k Qasra kmahal nazar aaey.
Shayateen aasmano par ja kr ghaib ke khabrein laty or kahno ko kuch barha charha kr bataty mgr AAP S.A.WW ke dunia mein tashreef aawri k baad oun ka wahan aana jana band ho geya or frishty Shahaab e Saqib sy aasmano ke hifazat krty is ka zikar Sorat Saafaat mein bhi hy
Kasraa k mahal k 14 Kingrey gir gaey.
yeh is taraf ishara tha k 14 badshahoo k baad mulk Faras muslmano k qabzy mein aa jaey ga or aisa he hoa .
Faras k aatish qadon mein aag bujh gi aatish praston ny bohat koshish ke magar nahi jalti thee.
Msg 5

Piary Aaqa S.A.WW ka Bachpan

Aap S.A.WW ko bachpan mein Walida Majida ny doodh pilaya
is k baad Sobia jo aazad ho chuki thee ous ny doodh pilaya.
Quraish mein dastoor tha k shehar k log sheer khawar bachon ko badwi aabadi mein bheij daity k deehat ke fiza mein zabaan par arbon ke khalis khasoosiat hasil kren.or mudat e raza’at khatam hony par iwzana dy kr wapis ly aaty .
Is leay Makkah k aas paas ke aorten bachon ke talash mein Makkah aaya krti theein.
Haleema Sadia r.a k ilaqy mein qehet tha wo bhe bacha lainy k leay apny qabily ke aorton k sath Makkah aaein .
Aap k sath aap ka khawind Haris or aik raza’ei beta abdullah tha .
Aap ke ountni kamzor or aik khachar tha. Makkah aaty hoay aap ka khachar or ountni qafly sy peechy reh jati.
Baqi aourton ny bachon ko ly leya or Haleema Sadia dair sy pohanchi tou sirf PIARY AAQA S.A WW reh gay thy sb ny oun ko yateem daikh kr na leya k is ka moaawza kam mily ga .
Haleema Sadia r.a ny AAP S.A.WW ko goud leya magar aap ka kmzori or bhook sy doodh nahi tha.
Piary AAQA S.A.WW ko doodh pilany lageein to aik tarf sy he AAp S.A.WW ny doodh piya or sair ho gaey.
Aap ke oontni ny bhi itna doodh deya k Hazrat Haleema or oun k khawind ny khoob sair ho kr piya.
Phir Hazrat Haleema Sadia r.a Aap S.A.WW ko apnay sath ly gaein or apnay qabily mein rakh kr Aap S.A.WW ko doodh pilati rahein.
Msg 6

Hazrat Haleema r.a farmati hein k ham rehmat e aalam S.A.WW ko goad mein ly kr Makkah Mukarma sy apnay gaaon ki traf rawana hoay tou mera wohi khachar ab is qadar taiz chalnay laga k kisi ki sawari is ki gard ko na pohanchti thi.
Qafla ki aouratein hairan ho kr mujh sy kehti theein k…
Aey Haleema r.a…!!
Kia yeh wohi khachar hy?
Jis par tum sawar ho kr aae thee ya koi dosra taiz raftar khachar tum ny khareed leya?
Al’gharaz jab ghar pohanchay tou wahan sakht qehat para hoa tha tamam janwaron k than mein doodh khushk ho chuka tha.
Lakin mery ghar mein qadam rakhtay he mere bakriyon k than doodh sy bhar gaey.
Ab rozana mere bakriyaan chragaah sy wapis aatein tou oun k than doodh sy bharay hotay jab k pouri basti mein kisi or ko apnay janwaron k doodh…
Msg 7

ka aik qatrah na milta tha.
Yeh tou Rehmat E Aalam k Barkaat E Nabuwat ka faiz tha.
Al’gharz isi trah har qadam, har dam ham par Aap S.A.WW ke barkaton ka nazool hota raha.
Yahan tak k Aap S.A.WW do saal k ho gaey or main ny Aap S.A.WW ka doodh churwa deya.
Aap S.A.WW ke tandrusti or nashonuma ka haal dosray bachon sy itna acha tha k 2 saal mein Aap S.A.WW khoub achay or baray maloom honay lagay. Ab ham dastor k mutabiq Aap S.A.WW ko wapis oun ki walidaa k pass ly aaey ounhon ny Hasb E Tofeeq ham ko inaam o ikraam sy nawaza.
Go qaida k mutabiq hamain Rehmat tul lil Aalameen ko apnay pass rakhnay ka koe haq nai tha.
Magar Aap S.A.WW k barkaat e Nabuwat ke wajha sy hamein Aap S.A.WW ki aik lamha ko bhe judai gawara na thee.
Ajeeb itafaaq k ous saal Makkah Muazma mein wabai beemari phail gae chunachay ham ny ous beemari ka bahana kr k Aap S.A.WW ko wapis apnay sath lanay k leay Hazrat bibi Aamina r.a raza mand kr leya or phir ham Rehmat E Aalam S.A.WW ko wapis ghar ly aaey or hamara makan rehmaton or barkaton ki kaan ban gaya.
Or Aap S.A.WW hamaray sath khush o khuram rehnay lagy.
Ghar sy bahir nikalty or dosray larkon ko khailty hoay daikhty magar khud har qisam k khail sy alag rehty.
Msg 8

Aap S.A.WW ko sub khailny k leay bulaty magar Aap S.A.WW farmaty,
“Main khailny koudny k leay paida nai keya geya”
Aik din Piary AAQA S.A WW bakrian charany gaey hoey thy to AAP S.A.WW ka razaai bhai Abdullah bhagta hoa aaya or kaha k mery Quraishi bhai k pass 2 aadmi sufaid kapron mein aaey or ounhon ny bhai ko pehloo k bal lita kr pait chaak kr dia .
Hazrat Haleema r.a or ous ka khwind bhagy hoay gaey to AAP S.A.WW bethy thy .
Hazrat Haleema r.a ny sara majra poucha to AAP S.A.WW ny btaya k mera pait phar kr aik phutki khoon ke nikali or phir eeman o hikmat sy bhar kr see deya .
Wo AAP S.A.WW ko ghar ly aaey.
Haris ny kaha k bachy par shayed aasaib hy is leay Hazrat Haleema r.a AAP S.A.WW ko Makkah Hazrat BiBi Amna r.a k pass ly aaein or haqeeqat biyan ke to Hazrat Amna r.a ny frmaya k, “Allah ke qasam in par shaitan ko dakhal nai mery bety ke barri shaan hy”
Msg 9

Piaray Aaqa S.A.WW ke umar mubarik jab 6 baras ke hoe tou Aap S.A.WW ke walida Aap S.A.WW ko ly kr Madina Munawara apnay shohar ke qabar ke ziyarat k leay gaein.
Aap S.A.WW k walid majid ki baandi Umm e Aiman bhe is safar mein Aap S.A.WW k sath theein.
Wahan sy wapsi par “Abwa” nami gaaon mein Hazrat Bibi Amina r.a ki wafaat ho gae or waheein madfoon hoein.
Walid majid ka saya tou waladat sy pehlay he outh chuka tha.
Ab walida majida ke aaghosh…
Msg 10

shafqat sy bhe mehroom ho gaey.
Hazrat Bibi Amina r.a ka yeh Dur E Yateem… Apnay dada Abdul Mutlib ke aaghosh mein parwarish panay laga.
Hazrat Umm e Aiman Aap S.A.WW ke khidmat krti raheein, jab Aap S.A.WW ke umar shareef 8 baras ke ho gae tou Aap S.A.WW k dada Abdul Mutlib ka intaqaal ho geya.
Abdul Mutlib ki wafaat k baad Aap S.A.WW k chacha Abu Talib r.a ny Aap S.A.WW ko apni aaghosh e tarbiyat mein ly leya or Piaray Aaqa S.A.WW ke naik khaslaton or dil lubha dainay wali bachpan ki piari piari addaton ny Abu Talib ko Aap S.A.WW ka aisa garweedah bana leya k makaan k andar or bahir har waqt Aap S.A.WW ko sath rakhtay.
Apnay hath sy khilatay pilatay.
Apnay pass he Aap S.A.WW ka bistar bichatay or aik lamha k leay bhe kabhi apne nazron sy oujhal nai honay daitay thay.
Abu Talib r.a ka biyaan hy k main ny kabhe bhe nai daikha k Hazoor S.A.WW kisi waqt bhi koi jhoot bolay hon ya kabhi kisi ko dhoka deya ho.
Msg 11

ya kabhe kisi ko iz’za pohanchai ho, ya behouda larkon k pass khailnay gaey hon ya koi khilaaf e tehzeeb baat ki ho.
Hamesha intehai khush ikhlaaq o naik atwaar or naram guftaar buland kirdaar or aala darja k paarsa or parhaiz gaar rahay.
Jab Aap S.A.WW ke umar mubarik 12 baras ki hoe tou ous waqt Abu Talib ny tijarat ke gharz sy mulk shaam ka safar keya.
Abu Talib ko choun k Aap S.A.WW sy bohat walehana mohabat thee is leay wo Aap S.A.WW ki bhe is safar mein hamraah ly gaey.
Hazoor E Aqdas S.A.WW ny ailaan e Nabuwat sy qabl 3 baar tijarti safar farmaya…
2 baar mulk shaam gaey or aik baar Yaman Tashreef ly gaey.
Yeh mulk shaam ka pehla safar tha.
Is safar k doran Basra mein Baheera raahib (Essai Saadhu) k pas Aap ka qayaam hoa.
ous ny Taoraat o Injeel mein biyan ki hoe…
Nabi Aakhir Uz Zamaan ki nishaniyon sy Aap S.A.WW ko daikhtay he pehchaan leya or bohat aqeedat o ehtaram k sath…
Msg 12

ous ny Aap S.A.WW k qafila walon ko dawat de.
Or Abu Talib sy kaha yeh saray jahaan k Sardar or Rab Ul Aalimeen k Rasool hein.
Jin ko Allah ny Rehmatul lil Aalameen bana kr bheija hy.
Main ny daikha hy k shajar o hajar oun ko sajda krtay hein.
Or ab’bar oun par saya krta hy.
Or oun k dono shano k darmiyaan Mohar E Nabuwat hy.
Is leay tumharay or oun k haq mein behtar ho ga k ab tum oun ko ly kr aagay na jao or apna maal e tijarat yahan he farokht kr k bohat jald Makkah chalay jao.
Kion k mulk shaam mein yahoudi log oun k bohat baray dushman hein.
Wahan pohanchtay he wo log in ko shaheed kr dalain gy.
Baheera rahib k kehnay par Abu Talib ko khatra mehsoos honay laga chunachay ounhon ny waheein apni tijarat ka maal farokht kr deya or bohat jald Aap S.A.WW ko apnay sath ly kr Makkah wapis aa gaey.
Baheera rahib ny chaltay waqt intehai aqeedat k sath Aap S.A.WW ko safar ka tosha bhe deya.



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Quraish k log apny bachon ko doodh pilany k leay bheij daity thy,
a. deehat mein
b. shehar mein
c. jangle mein

2. Hazrat Haleem r.a Aap S.A.WW ko wapis Aap S.A.WW ke walida k pass ly aaein,
a. 6 saal baad
b. 4 saal baad
c. 2 saal baad

3. Hazrat Abdul Mutlib ny qurbani di,
a. ounton ke
b. baiton ke
c. bakrion ke

4. Aap S.A.WW ke paidaish sy pehly arab mein
a. farakhi thee
b. qehat sali thee
c. aman o sakoon tha

5. Aap S.A.WW paidaish k waqt thy,
a. khatna shuda
b. naafbureeda
c. dono

 Fill in the Blanks  /5

1. paidaish k waqt Aap S.A.WW ka badan mubarik ____ ke khushboo sy mo’atar tha.
2. Aap S.A.WW har qism k ___ sy alag rehty.
3. ____ ny londi sobia ko Aap S.A.WW ke padaish ke khushi mein azad kar deya.
4. Aap S.A WW ko doodh pilany ke gharz sy ____ apny sath ly gaeein.
5. Aap S.A.WW aala darjy k ___ or ___ rahy.

True / False /5

1. Aap S.A.WW ny sub sy pehly apni walida majida ka doodh nosh farmaya.
2. Aap S.A.WW ny 10 bars ke umer mein mulk sham ka tijarati safar keya.
3. Umm e Aiman Aap S.A.WW k khaidmat garon mein sy theein.
4. Aap S.A.WW k dada Abdul Mutlib Aap S.A.WW ko apny sath sulaty.
5. Mulk sham mein yahoudi Aap S.A.WW ke jan k dushman thy.

Short Answer Questions /15

1. Baheera Rahib ny Aap S.A.WW k bary mein Aap S.A.WW k chacha sy keya baat ke?

2. Aap S.A.WW ke tashreef awwri sy Hazrat Haleema r.a k ghar k halalaat kaisy badly?
Mukhtasiran biyan krain.

3. Hazrat Haleema Sadia r.a ke baat soun kar Hazrat Bibi Aamina r.a ny keya farmaya?

4. Aap S.A.WW ke paidaish k waqt kia nishaniyan zahoor pazeer hoeein?

5. Jab Aap S.A.WW ko khailny k leay bulaya jata tou Aap S.A.WW keya farmaty?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (a)
2. (c)
3. (a)
4. (b)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. kastori
2. khail
3. Abu Lahab
4. Hazrat Haleema r.a
5. parsa / parhaizgaar

 True / False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answers

A1. Baheera Rahib ny Aap S.A.WW ko Taoraat o Injeel mein biyan ke gi nishanion sy Aap S.A.WW ko pehchan leya or kaha k behtar ho ga k aap aagy na jaein or apna maal e tijarat yahan he farokht kr k wapis Makkah chaly jaein kion k mulk sham k yahoudi In ke jaan k dushman hein wahan pohanchty he in ko shaheed kar dalein gy.

A2. yeh sub ka apna jwab ho ga.

A3. Hazrat bibi Aamina r.a ny farmaya,
Allah ke qasam…!!
Mery baity par kabhe bhe jin ya shitaan ka amal dakhal nai ho sakta, mery baity ke bari shan hy”

A4. yeh sub ka apna jwab ho ga.

A5. Aap S.A.WW farmaty,
“Main khail koud k leay paida nai keya geya”
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *