Step 5- PIYARE AAQA S.A.W.W ki hayat e Tayba (Day 56)

Piary Aaqa S.A.WW ke Jawaani 

Arab k aik mumtaaz, muhazib or aala riwayaat rakhnay walay khandaan mein saleem ul fitrat walidain sy aik anokha sa bacha yateemi k saaye mein paida hota hy.
Aik ghareeb magar shareef zaat ki daaiya ka doodh pee kar dayhaat k sehat bakhsh mahool k andar fitrat ki goad mein palta hy.
Wo khaas intazaam sy sehra mein tag o dou krtay krtay zindagi ki mushaqaton ka muqabla krnay ki tayariyan krta hy or bakriyaan chara kr gal’la bani ki tarbiyat pata hy.
Bachpan ke pouri musafat tay krnay sy pehlay yeh anokha bacha maan k saya e shafqat sy bhe mehrom ho jata hy.
Dada ki zaat kis had tak waldain k ous khalaa ko pur krnay wali thi, lakin yeh sahara bhe cheen leya jata hy.
Bil aakhir chacha kafeel bantay hein yeh goya maadi saharon sy beniaaz ho kr aik Aaqa E Haqiqee k sahary faraiz sy ouhdaa bar’ra honay ki tayari ho rahi hy.
Jawani k daairay mein qadam rakhnay tak yeh anokha…
Msg 2

bacha aam bachon ke tarah khalandar or shareer ban kr samnay nai aata bal’k bourhon ke se sanjeedgi sy aarasta nazar aata hy.
Jawaan hota hy tou Intehai fasid mahol mein palnay k bawajoud apni jawaani ko bedaagh rakhta hy.
Ishq or nazar baazi or bad kaari jahan noujawanon k leay sarmaya e iftikhaar banay hoay hein wahan wo apnay daman e nazar tak aankh bhe maili nai honay daita.
Jahan gali gali sharab kusheed krnay ki bhatiyaan lagi hon or ghar ghar sharaab khanay khulay hon or jahan majlis majlis rakht e raaz k qadmon mein emaan o ikhlaaq nichawar keay jatay hon wahan yeh judagana fitrat ka noujawan kabhe qasam khanay ko bhi sharaab ka aik qatra tak apni zaban par nai rakhta.
Jahan kumaar qaomi mashghala bana chala aa raha tha.
Wahan yeh aik mujasima e pakeezgi tha k jis ny kabhi mohron ko hath sy na chouwa tha.
Do martaba aisay mawaqay paida hoay k yeh noujawan…
Msg 3

majlis e tafreeh mein jaa pohancha lakin jatay he aisi neend tari hoe k jahan butoon k saamnay sajda ain deen o mazhab qarar paa chuka wahan khanwada e Ibrahemi k is pakeeza mizaaj noujawan ny na ghair Allah k samnay kabhe apna sar jhukaya,
na aitqadan koe shirkana tasawur apny andar jazb keya bal’k aik martaba butoon k charhaway ka janwar paka kr laya geya tou khanay sy inkaar kr deya.
Jahan Quraish ny zamana e hajj mein apny aap ko arfaat janay sy rok leya tha wahan is mumtaaz martaby k quraishi ny kabhi is bid’at ko ikhtiyaar na keya jahan jang aik khail thee or insani khoon bahana aik tamasha tha, wahan ehtram e insaniyat ka alam bardar yeh noujawan aisa tha k jis k daman par khoon ke aik cheeint na pari thi.
Nou umari mein is noujawan ko Harab e fajaar naami jang e azeem mein shirkat ka mouqa mila or agarchy quraish k bar sar e haq hony ke bina…
Msg 4

par is mein hissa leya lakin phir bhe kisi insani jaan par khud hath na outhaya.
Is paak baaz noujawan ki dilchaspiyaan daikhiye k ain behak janay wali umar mein wo apni khidmaat apny ham khiyal nojawanon ki aik islaah pasand anjuman k hawalay krta hy jo Halaf Ul Fazool k naam sy ghareebon or mazlomon ke madad or zalimon ke cheera dastiyon k istabdaal k leay qaaim hoe.
Piaray Aaqa S.A.WW doar E Nabuwat mein is ki yaad taza krtay hoay farmaya krtay k…
“Is muahiday k muqablay mein agar mujh ko surkh rang k aount bhi deay jatay tou main is sy na phirta or aaj bhe aisay muahiday k leay koi bulaey tou main hazir hon”
Phir Is noujawan ke sifaat or salahiyaton ka andaza is sy kejiye k tameer e Ka’aba k mouqa par Hajar e Aswad nasb krnay k moamlay mein quraish mein kashmakash paida hoe , or talwarain miyaanon sy nikal aati hein lakin taqdeer k isharay sy is moamlay ko sanbhalnay ka sharf is…
Msg 5

nojawaan k hissay mein aata hy.
Intehai jazbati tanao ki is fiza mein yeh sulah ka alam bardar aik chadar bicha kr Is par pathar rakh kr sab ko is chadar ko ultanay ki dawat daita hy.
Chadar pathar samait mutaharik ho jati hy or jab mouqa par jaa pohanchti hy tou wo noujawan is pathar ko outha kr ous ki jagha par nasb kr daita hy. Jhagray ka sara ghubaar chat jata hy.
Or chehray khushi or itmenaan sy chamak outhtay hein.
Yeh noujawan maidaan e muaash mein qadam rakhta hy tou tijarat jaisa pakeeza or moaziz mashghala apnay leay pasand krta hy.
Koi baat tou Is mein thee k achay achay ehl e sarmaya ny yeh pasand keya k yeh noujawaan oun ka sarmaya apnay hath mein ly or kaarobaar kray.
Hazrat Khadijaa r.a Makkah ki aik bohat he maal daar khatoon theen.
In k shohar ka inteqaal ho chuka tha.
In ko zarorat thee k koi amanat daar aadmi mil jaey tou ous k sath apni tijarat ka maal o samaan mulk shaam bhaijen.
Msg 6

Chunachay oun ki nazar e intakhaab ny is kaam k leay Hazoor S.A.WW ka intakhaab keya or kehla bheija k Aap S.A.WW mera maal e tijaarat ly kr mulk Shaam jaein jo muawzah mein dosron ko daiti hon
Aap S.A.WW ke amanat o diyanat daari ki bina par Aap S.A.WW ko is ka dugna doun ge.
Aap S.A.WW ny oun ki darkhawst manzoor kr le or mulk sham rwana ho gy.
Is safar mein Hazrat Khadijaa r.a k aik moatamid ghulaam *Maisra* ko bhe Aap S.A.WW k sath rawana kr deya ta’k wo Aap S.A.WW ke khidmat krta rahay.
Jab Aap S.A.WW mulk shaam k shehar Basra mein pohanchay tou wahan ‘Nastura’ Rahib ki khaanqa k qareeb thehray.
‘Nastura’ rahib Maisra ko pehlay sy janta tha.
Hazoor S.A.WW ke surat daikhtay he Nastura Maisra k pas aaya or daryaft keya k,
Aey Maisrah…
yeh kon shakhs hy jo is darakht k neechay paray hein.
Maisraa ny jawab deya k yeh Makkah k rehny walay hein or…
Msg 7

khandan e Banu Hashim k chasham o charagh hein in ka naam e naami “Muhammad” hy.
Or Laqab “Ameen” hy.
Nastura ny kaha siwaey Bani Hashim k is darakht k neechay aaj tak koi nai outra is leay mujhy kamil yaqeen k Nabi Aakhir Uz Zamaan yehi hein kion k aakhri Nabi S.A.WW ke tamam nishaniyon jo main ny Taoraat O Injeel mein parhe hein wo sab main oun mein daikh raha hon.
Kaash mein ous waqt tak zinda rehon jab yeh apni nabuwat ka eilaan krain gy.
Tou main in ke bharpur madad krta or pouri jaan nisari k sath in ke khidmat guzari mein apni tamam umar guzar daita.
Aey Maisraah…!!!
Main tum ko naseehat o wasiyat krta hon k khabar daar,
Aik lamha k leay bhe tum in sy juda na hona or intehai khaloos o aqeedat k sath in ke khidmat krtay rehna kion k Allah ny In ko
“Khatim ul Nabiyeen” hony ka laqab atta farmaya hy.
Yeh noujawan rafeeqa e hayat ka jab intekhaab krta hy tou Makkah ke nou umar o shokh o shang larkiyon ko aik zara sa….
Msg 8

kharaj e nigaah tak deay bina aik aisi khatoon sy rishta e manakehat ustawaar krta hy jis ki sab sy bari khoubi yeh hy k wo khandaan or zaati seerat k lehaz sy nahayat ashraf khatoon hy.
In ka yeh zouq e intekhaab in k zehan, rooh, mizaaj or seerat ki gehraiyon ko pouri tarah numayaan kr daita hy.
Paighaam khud Hazrat Khadijaa bhejti hein.
Jo is yakta e roz gaar noujawaan k Kirdaar sy mutasir hoti hein or yeh noujawaan is paighaam ko sharah e sadar k sath qabool krta hy.
Kisi shakhs k zehan o seerat ko agar ous k halqa e ehbab ka jaiza lainay sy jaancha jaa sakta hy tou daikhain k is arbi noujawan k dost kaisay thay.
Ailaan e nabuwat sy qabl jo log Hazoor S.A.WW k makhsoos ehbaab O rufqaa thay wo sab nehayat he buland Ikhlaaq e aali martaba hosh mand or bawaqar thay.
Oun mein sab sy ziada muqarab Hazrat Abu Bakar r.a thay.
Jo barson Aap S.A.WW k sath watan or safar mein rahay.
Or tijarat or dousray…
Msg 9

karobaari moamlaat mein hamesha Aap S.A.WW k shareek e kaar o raaz daar thy.
Isi trah Hazrat Khadija r.a k chacha zaad bhai Hazrat Hakeem bin khuzaam jo quraish k nahayat moaziz raees thay or jin ka aik khasoosi sharaf yeh hy k oun ki wiladat khana Ka’aba k andar hoe thee
yeh bhe Hazoor S.A.WW k makhsoos ehbab mein khasoosi imtiyaaz rakhtay thay.
Hazrat Zamaad bin Sa’albah r.a jo zamana e jahliyat mein tababat or jarahe ka paisha krtay thay yeh bhe ehbab e khaas mein sy thay.
Hazrat Qais bin Saa’ib Fakhromi tijarat k karobaar mein Aap S.A.WW k shareek thay.
Or Aap S.A.WW k gehray doston mein sy thay, kaha krtay thay k Hazoor S.A.WW ka moamla apnay tijarti shurqaa k sath hamesha nahayat he suthra rehta tha or kabhi bhe koe jhagra paish nai aata tha.
Bachpan ke trah Piaray Aaqa S.A.WW ke jawani bhe aam logon sy nirali thee.
Aap S.A.WW ka shabab mujasim hayaa or chaal chalan azmat o waqaar ka kamil namuna tha.
Eilaan e nabuwat sy qabl Hazoor S.A.WW ke tamam zindagi behtreen ikhlaaq o aadat ka khazana thee.
Sachai, dayanat daar o wafa daari…
Msg 10

Ehad ki pabandi , qoam ki khidmat , ghareebon or muflison ki khabar geeri, dushmanon k sath naik bartao, makhlooq E khuda ki khair khawhi…
Gharz tamam naik khaslaton or achi achi baton mein Aap S.A.WW itni buland manzilon par pohanchay hoay thay k duniya k baray sy baray insanon k leay wahan tak rasaai tou kia is ka tasawur bhe mumkin nai hy.
Kam bolna, fazool baton sy nafrat krna, khandah paishani k sath doston or dushmano sy milna. Har moamlay mein saadgi or safai k sath baat krna Hazoor S.A.WW Ka khaas shaiwa tha.
Hiras o tama, dagha o faraib, jhoot , sharab , bad kaari , naach gana, loot maar, chori , fahash goi , ishq baazi…
Yeh tamam buri aadatain or mazmoom khaslatain jo zamana e jahliyat mein goya har bachay k khameer mein hoti theen.
Hazoor S.A.WW ke zaat e garami in tamam ayoob o naqaais sy paak rahi.
Aap S.A.WW ke raast bazi , amanat o dayanat ka pouray arab mein…
Msg 11

shohra tha or Makkah k har chotay baray k dil mein Aap S.A.WW k bargazeedah ikhlaaq ka aitbaar or sab ki nazron mein Aap S.A.WW ka aik khaas maqaam tha.
Bachpan sy taqreeban 40 baras ki umar shareef ho gi lakin zamana e jehliyat k mahool mein rehnay k ba wajoud tamam mushrikana rasoom or jahilana atwaar sy hamesha Aap S.A.WW ka daman e asmat paak raha.
Makah shirk o bout parasti ka sab sy bara markaz tha.
Khud khana ka’aba mein 360 bouton ke pouja hoti thee.
Aap S.A.WW k khandaan walay he Ka’aba k mutawali or sajaada nasheen thay lakin is k bawajoud Aap S.A.WW ny kabhi butoon k aagay sar jhukaya nai tha.
Gharz nazool e wahi or eilaan e nabuwat sy qabl bhe Aap S.A.WW ke zindagi muqadas Ikhlaq e hussna or mohasin afaal ka majmooa or tamam ayoub o naqais sy paak saaf rahi. Chunachay eilaan e nabuwat k baad Aap S.A.WW k dushmano ny intehai koshish ki k koi adna sa aib ya zara se….
Msg 12

koe khilaaf e tehzeeb baat Aap S.A.WW ki zindagi k kisi doar sy bhe mil jaey tou ous ko ouchaal kr Aap S.A.WW k waqaar par hamla kr k logon ki nigahon mein Aap S.A.WW ko zaleel o khuwaar krein.
Magar tareekh gawah hy k hazaron dushman sochtay sochtay thak gaey lakin koe aik waqiya bhe aisa nai mil saka jis sy wo Aap S.A.WW par oungasht numai kr sakain.
Lehaza har insaan is haqeeqat k aitraaf par majbour hy k bila shubah Hazoor S.A.WW ka kirdaar insaniyat ka aik aisa muhiyar ul aqool or aisa ghair mamooli kirdaar hy jo nabi k siwa kisi dosray k leay mumkin nai.
Yehi wajha hy k eilaan e nabuwat k baad saeed roohein Aap S.A.WW ka kalma parh kr tan man dhan k sath is trah Aap S.A.WW par qurban honay lagein k oun ke jaan nisariyon ko daikh kr shama k parwanon ny jaan nisari ka sabaq seekha or haqeeqat shanaas log fart e aqeedat sy Aap S.A.WW k husn e sadaqat par apni aqlon ko qurban kr k Aap S.A.WW k bataey hoay islami rasta par
aashiqana addaon k sath zaban e haal kehtay hoay chal pary.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s  /5

1. Aap S.A.WW bachpan he sy thy,
a. shoukh mizaj
b. sanjeeda mizaj
c. khush mizaj

2. Poury arab mein shohra tha Aap S.A.WW ke,
a. doulat ka
b. saadgi ka
c. amanat o dayanat ka

3. Aap S.A.WW ny apny leay paisha pasand farmaya,
a. tijarat
b. galabani
c. hikmat

4. Hazrat khadija mutasir theein Aap S.A.WW k,
a. paishy sy
b. kirdar sy
c. guftagoo sy

5. kisi shakhs k zehn o seerat ka andaza lagaya ja sakta hy ous k,
a. rakh rakhao sy
b. doulat sy
c. halqa e ehbab sy

 Fill in the Blanks  /5

1. Aap S.A.WW ny aik ghareeb magar ___ daaiya ka doodh piya.
2. Aap S.A.WW ny kabhe ___ ka aik qatra zaban par na rakha.
3. Hazrat Khadija r.a ny tijarat k leay Aap S.A.WW ka ___ farmaya.
4. Aap S.A.WW ka shabab ____ or chaal chalan ____ ka namouna tha.
5. ____ Aap S.A.WW k tijarati shareek thy.

True / False /5

1. Noujwani mein he Aap S.A.WW ny Harb e Fajjar nami jang mein hisaa leya.
2. Aap S.A.WW ny kabhe ghair Allah k saamny sar na jhukaya.
3. Aap S.A.WW jwani mein mohron sy khailna pasand farmaty thy.
4. Aap S.A.WW ke zaat e girami tamam naqaais o ayoub sy paak thee.
5. Ailaan e Nabuwat k baad Aap S.A.WW ke zindagi behtreen ikhlaaq o atwar ka khazana rahe.

Short Answer Questions /15

1. Aap S.A.WW ny arab k mushrikana mahool mein khud ko kaisy mehfooz rakha?

2. Nojwani mein Aap S.A.WW ny kis jang mein or kaisy hissa leya?

3. Aap S.A.WW Moaahida e Halful Fazool ko kin ilfaaz mein yaad farmaty?

4. Aap S.A.WW ny Hajr e Aswad ko nasab karny ka moamla kaisy tay farmaya?
Mukhtasir btaein.

5. Nastoura ny Maisra sy keya daryaft keya or ous k jwab mein ous ko keya naseehat ke?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (c)
3. (a)
4. (b)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Sharif
2. Sharab
3. Itekhaab
4. Mujasim haya / Azmat o Waqar
5. Hazrat Qais Bin Saaib r.a

True/False

1. ✔
2. ✔
3. ✖
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Yeh har aik ka apna jawab ho ga

2. Aap S.A.WW ny harb e fajaar naami jang mein hisaa leya lakin kisi insani jaan par khud hath na outhaya.

3. Aap S.A.WW farmaty k,
“is moahidy k muqably mein agar mujhy surkh rang k ount bhe deay jaty tou main is sy na phirta or aaj bhe koe mujhy aisy moahidy k leay bulaye tou nain hazir hon”

4. Hajar e Aswad nasb karny k leay jab quraish mein kashmakash or tanao ke fiza thee tou Aap S.A.WW ny aik chadar bicha kr ous par pathar rakh kar sub ko outhany ke dawat di sub ous ko outhaty hein or jab matloba maqam par pohanch jati hy tou Aap S.A.WW ous pathar outha kar nasb kar daity hein.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *