Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W ki hayat e Tayba (Day 57)

Nabuwat

Arab mein shrab noshi, zina kari, qamaar bazi, aor qatal o gharat gari aam thee…
Dil is qadar sakht ho chuky thy k betion ko zinda dafan kr daity thy.
Bouton ke pouja krty or oun par insan ke qurbani charhaty .
Aisy badtreen moashry mein Piary AAQA S.A.WW ke zindgi is trah k gunahon sy paak rahe.
AAP S.A.WW aosaf e hameeda amanat or diyanat or sachai o mohabat ka paikar thy .
Yahan tak k quraish e Makkah ny AAP S.A.WW ko Sadiq or ameen k laqab dia hoa tha . Aap S.A.WW maah e ramzan mein ghaar e Hira mein aitkaaf frmaya krry or zikar o fikar mein masroof rehty.
AAP S.A.WW kuch dino ka tosha sath ly jaty jb khatm hota to ghar tashreef laaty or dobara tosha ly jaty.
Jab Aap S.A.WW ke umar mubarik 40 baras ke hoe tou Aap S.A.WW ko sachy khawab aany lagy jo kuch khaab mein daikhty to din ko wohi maomla paish aata.
Msg 2

Aik din Aap S.A.WW ghaar k andar Ibadat mein mashghool thay k bilkul achanak ghaar mein Aap S.A.WW k pas farishta Jibreel a.s zahir hoa.
Hazrat Jibreel a.s ny kaha “Perhiye”
Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Main un parh hon”
Farishty ny Aap S.A.WW ko pakra or nahayat garam joshi k sath Aap S.A.WW sy zor daar moaniqah keya.
phir choor kr kaha “Perhiye”
Aap S.A.WW ny farmaya”
Main un parh hon”
Hazrat Jibreel a.s ny phir Aap S.A.WW ko apnay seenay sy chimtaya…
Or chor kr kaha “Perhiye”
Aap S.A.WW ny teesri baar bhe yehi farmaya k
“Main unparh hon”
Hazrat Jibreel a.s ny Aap S.A.WW ko seenay sy laga kr chora or kaha k…
Tarjuma …
“Parh apny Rab k naam sy jis ny paida keya.
Paida keya aadmi ko lahoo ke phutki sy.
Parhiye or Aap S.A.WW ka Rab bara kareem hy jis ny ilm sikhaya qalam sy or insan ko wo sikhya jo wo nai janta tha”.
(sorat Alaq…1 to 5)
Yehi Sorat Alaq ke wo ibtadai aayat theein jo pehli wahi ke sorat Aap S.A.WW par nazil hoeein.
In aayton ko yaad kr k Hazoor E Aqdas S.A.WW ghar tashreef laaey magar is waqiya sy jo bilkul achanak Aap S.A.WW ko paish aaya is sy Aap S.A.WW k qalab e mubarik par larzah tari ho geya.
Aap S.A.WW ny Hazrat Khadija r.a sy farmaya k Mujhy chadar ourha do.
Jab Aap S.A.WW ko kuch sakoon hoa tou Aap S.A.WW ny Hazrat Khadija r.a sy ghaar mein paish aany wala waqiya biyan frmaya or farmaya k,
“Mujhy apni jaan ka dar nai”
yeh soun kr Hazrat Khadija r.a ny kaha k,
nai hargiz nai….
Msg 3

Aap S.A.WW ke jaan ko koe khatra nai Allah ke qasam Allah ta’ala kabhe bhe Aap S.A.WW ko ruswa nai kray ga.
Is k baad Hazrat Khadija r.a Aap S.A.WW ko apnay chacha zaad bhai Warqa bin nofal k pass ly gaeein.
Hazoor S.A.WW ny Ghaar E Hira ka poura waqiya Warqa bin nofal k saamny biyan farma deya.
Warqa bin nofal ny kaha yeh tou wohi farishta hy jis ko Allah ta’ala ny Hazrat Mousa a.s k pass bhejja tha.
Phir Warqa bin nofal
kehnay lagay k kaash!
Main Aap k eilaan e nabuwat k zamanay mein tandrust jawaan rahon.
Kaash main ous waqt tak zinda rahon jab Aap S.A.WW ki qoam Aap S.A.WW ko Makkah sy bahir nikalay ge.
Yeh soun kr Hazoor S.A.WW ny ta’ajub sy farmaya k,
kia Makkah walay mujhy Makkah sy nikaal dain gy.
Tou Warqa ny kaha jee haan jo shakhs bhe Aap S.A.WW ke tarah nabuwat ly kr aaya ous k sath yeh log dushmani par kamar basta ho gaey.
Is k baad kuch dinon tak Wahi outarnay ka silsila band ho geya.
or kuch dino k baad yeh silsila dobara shuru ho geya.
Msg 4

Kuch arsy baad Aap S.A.WW par Surat Mudasir ki ibtadai aayaat nazil hoein.
In aayat k nazool k baad Hazoor S.A.WW ko Allah ny nabuwat k mansab par sarfaraz farma deya or Aap S.A.WW Allah k hukam k mutabiq dawat e haq or tableegh k leay kamar basta ho gaey.
3 baras tak Hazoor e Aqdas S.A.WW intehai posheedah toar par nahayat raaz daari k sath tableegh e islaam ka farz adda krtay rahay.
Is daoraan azad aouraton mein sab sy pehlay Hazrat bibi Khadijah r.a or
aazad mardon mein sy sab sy pehlay
Hazrat Abu Bakar r.a ,
Larkon mein sy Hazrat Ali r.a ,
Ghulamon mein Hazrat Zaid bin Haris r.a
emaan laaey.
Phir Hazrat Abu Bakar Siddique r.a ke dawat o tableegh sy bohat sy log musharaf ba Islam hoay.
3 baras ke khufiya dawat e islaam mein musalmano ke aik jamaat tayar ho gae.
Is k baad Allah ny Apnay Habib S.A.WW par surat Shouraa ke aayat nazil farmai or Allah ka hukam hoa k,
Aey Mehbob…!!
Apnay qareebi khandaan….
Msg 5

walon ko Khuda sy daraiye tou Hazoor S.A.WW ny Koh E Saffa ke choti par charh kr
Aey Sardaran e quraish…!!
keh kr qabila quraish ko pukara jab sab jama ho gaey tou Aap S.A.WW ny farmaya,
Aey mere qoam…!!
Agar main tum logon sy keh don k is pahar k peechay aik lashkar chupa hoa hy jo tum par hamla krnay wala hy tou tum mere baat ka yaqeen kr lo gy?
Tou sab ny yak zaban ho kr kaha k haan ham yaqeenan Aap S.A.WW ke baat ka yaqeen kr lain gy kion k ham ny Aap S.A.WW ko hamesha sacha or ameen paya hy.
Aap S.A.WW ny farmaya k,
acha tou phir Main tum logon ko bouton ke bjaye Allah k maboud hony ka paigham daita hon.
Yeh soun kr tamam quraish jin mein Aap S.A.WW ka chacha abu lahab bhe tha sakht naraz hoay or sab chalay gaey or Hazoor S.A.WW ke shaan mein aoul foul baknay lagay.
Ab wo waqt aa geya k Ailaan E Nabuwat k chothay saal Surat Hajar…
Msg 6

Ke aayat nazil hoe jis mein Allah ny yeh hukam farmaya k,
Aey Mehbob S.A.WW! Aap ko jo hukam deya geya hy ous ko a’lal eilaan biyan farma dijiye.
Chunachay is k baad Aap S.A.WW eilaaniya toar par deen e islam ke tableegh farmanay lagay or shirk o bout parasti ke khulam khula burai biyan farmanay lagay.
Mushrikeen E Makkah k dar sy musalman chup kar dar e Arqam mein namaz parhty or ibadaat karty.
Piary Aaqa S.A.WW ny dua ke k,
Abu jehal ya Hazrat Umer bin Khataab r a mein sy aik musalman ho jaye tou hamein bohat taqat mil jaye gi.
Hazrat Umer r a aik din apni behan k ghar gy wo quran e pak ke tilawt mein masroof theein.
Aap r.a ny oun ko tilawat e quran e pak mein masroof daikha tou bohat ghussy sy talwar ly kar Aap S.A.WW k darbar e aqdas mein hazir hoay.
Aap S.A.WW k chehra e Aqdas par nazar pari tou talwar hath sy chout kar gir gi or aap r.a ny islam qabool farma leya.
is k baad Hazrat Umer Farooq r.a ny kaha k hum Bait ullah sharif mein eilania namaz ada krain gy.
Ab tamam quraish bal’k tamam ehl e Makkah bal’k poura arab Aap S.A.WW ke mukhalifat par kamar basta ho geya or Hazoor S.A.WW ke iz’za rasaniyon ka aik taolani silsila shuru ho geya.
Msg 7

Ouno ny Aap S.A.WW ko tarah tarah ke aziyatain deein or roz broz tashadud mein izafa krty rahy.
Aap S.A.WW ka mazaq uraya jata, Aap S.A.WW ko shair, kahan, jadugar or pagal btaya jata.
maga Aap S.A.WW barabar tableegh farmaty rahy.
Aik roz Aap S.A.WW Khana ka’aba k nazdeek namaz parh rahy thy, Haram sharif mein ous waqt quraish ke aik jamaat mojoud thee Uqba Bin Abi Moeeit ny abu jehal k kehny par sajdy ke halat mein ounton ke ouj Aap S.A.WW k dono shano k darmiyan rakh di or qehqahy lagany lagy.
Msg 8

Kisi ny Hazrat Bibi Fatima r.a ko itlaa di Ouno ny Aap S.A.WW ke pusht e mubarik sy wo palidi dour kr de or roty hoay oun ko bura bhala kaha.
Aap S.A.WW ny namaz sy farigh ho kar oun k leay bad dua famaei,
Ya Allah ….
Too giroh quraish ko pakar, abu jehal, uqba bin rabee, sheeba bin rabee, umiya bin haleef or uqba bin abi abi moeeit ko bhe pakar.
is hadees k ravi Hazrat Abdullah Bin Masood r.a famaty hein k Badar k din yeh sub qatal hoay or umiya k ilawa sub ko Badar k kunwaein mein phaink deya, umiya mota tha ousy kunwaein mein daalny k leay uthany lagy tou ous k tukry tukry ho gy.
Aik din Aap S.A.WW Maqaam e Ibrahim k pass namaz parh rahy thy k uqba bin abi moeeit ny Aap S.A.WW ke gardan mubarik mein chadar daal kar khaincha, Aap S.A.WW ghutno k bal gi pary logon ko gumaan hoa k Aap S.A.WW ka intaqaal ho geya.
Msg 9

Yeh aziyatein Aap S.A.WW tak he mehdood na theein balky ghareeb musalman jin ka koe madadgaar na tha oun ko bohat aziyatein deein.
Aag par lita daity, tapti raait par litakar bhari pathar seeny par rakh daity, chabak sy is qadar maarna k chabak tout jaye, chataai mein lapait kar naak mein dhounwan daina, paoun mein rasi baandh kar tapti rait par ghaseetna, marna peetna goya har qism ke aziyat deya krty thay.
Jab Aap S.A.WW ny daikha k musalmano ka Makkah mein rehna mushkil ho geya hy tou Aap S.A.WW ny farmaya k, mulk Habsha ka badshah kisi par zulm nai hony daita, tum ous taraf hijra kar jao…
Continied……



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Aap S.A.WW ko sachy khawab aany lagy,
a. 20 saal ke umer mein
b. 40 saal ke umer mein
c. 60 saal ke umer mein

2. Aap S.A.WW ghaar e Hira mein masfroof rehty,
a. zikar o fikar mein
b. khat o kitabat mein
c. ashab r.a sy baton mein

3. Hazrat Khadeeja r.a Aap S.A.WW ko ly gaeein,
a. Hazrat Zaid bin Haris r.a k pass
b. Warqa Bin Nofal k pass
c. Hazrat Ali r.a k pass

4. Quraish Aap S.A.WW ke baat soun kar,
a. khush hoay
b. jagharny lagy
c. naraz hoay

5. Aap S.A.WW ny quraish ke jamaat k leay…
a. dua ke
b. bad dua ke
c. naseehat ke

Fill in the blanks /5

1. ____ ny kaha k hum Bait ullah sharif mein eilania namaz ada krain gy.
2. Sorat ___ ke aayat k nazool k baad Aap S.A.WW ki nabuwat ata farmei gi.
3. Aap S.A.WW ny Hazrat ____ sy chadar ourhany ko kaha.
4. Eilaan e nabuwat k ____ saal eilania tableegh ka hukm hoa.
5. Kuffar ke iza rasanion k baes musalmano ka ___ mein rehna mushkil ho geya.

True / False /5

1. Aap S.A.WW ny frishta Jibreel a.s sy kaha k Main un parh hon.
2. 6 bars tak Aap S.A.WW khufiya tableegh karty rahy.
3. Musalman chhup kar Dar e Arqam mein ibadat karty thy.
4. Hazrat Umer r.a k islam laany k baad mukhalifeen Aap S.A.WW sy acha salook karny lagy.
5. Aap S.A.WW ny Habsha ke taraf hijrat karny ka hukm deya.

Short Question / Answers /15 

1. Arab k log kin buriyon mein mubtala thay?
2. Piary Aaqa S.A.WW ny kin 2 logon k islam laany ke dua ke?
3. Pehli Wahi mein konsi sorat ke aayat nazil hoaeein.
Tarjuma likhein
4. Warqa Bin Nofal ny Aap S.A.WW ke baat soun kar keya kaha?
5. Sub sy pehly islam laany waly logon mein kon log shamil thy?
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (b)
2. (a)
3. (b)
4. (c)
5. (b)

Fill in the blanks /5

1. Hazrat Umer r.a
2. Sorat Mudasir
3. Khadija r.a
4. Chothy saal (4)
5. Makkah

True / False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answers

A1. yeh sub ka apna jwab ho ga

A2. Hazrat Umer Farooq r.a
or
Abu Jehal

A3. Sorat Alaq
aayt 1sy 5
Tarjuma:-
“parh apny rab k naam sy jis ny paida keya. Paida keya aadmi ko lahoo ke phutki sy.
Parhiye or Aap S.A.WW ka Rab bara kareem hy jis ny ilm sikhaya qalam sy or insan ko wo sikhya jo wo nai janta tha”
(Ala.. 1 to 5)

A4. yeh sub ka apna jwab ho ga

A5. Azad mardon mein sub sy pehly
Hazrat Abu Bakar Siddique r.a
Aourton mein Hazrat Khadija r.a
Bachon mein Hazrat Ali r.a
or
Gulamon meim Hazrat Zaid Bin Haris r.a
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *