Top 10 Chahatein

“Top 10 Chahatein”

Ham duniya mein zindagi guzaartay hoay bohat se chahtein apnay andar paal rakhtay hein…

Oun mein kae hamaray daaira e ikhtiyar mein hoti hein tou ham ounhein jitna kar saktay pora bhe kar laitay hein…

Par kuch chahatein aisi bhe hoti hein k jo ham pori nai kar saktay or wo hamaray andar he chakraati rehti hein or ham oun par bohat soch bichaar or plannings bhe kartay rehtay hein.
Or
Kabhe aisa bhe hota hy k hamein sahi tara sy is baat ka pata bhe nai hota k asal mein ham chah kia rahay hein.

Ham itna bhe apnay andar ko nai samajh paa rahay hotay k aakhir ham chah kia rahay hein…
Or os chahnay mein bhe hamaray leay hamare kon se chahat ke kitni shiddat or talab hy…

Ya ye k ham kis chahat k leay kia os ke talab ke shiddat k hisaab sy koshish bhe kar rahay hein ya nahi…

Isi point ko apnay andar sy samjhnay k leay aaj apna ache tara or poori sachaai sy jaaiza laina hy
Or
Apne top 10 chahaton ke list bana k share karni hy jis mein apne chaht k talab or shiddat k level par tarteeb daini hy.

Or is topic par apna point of view bhe share karna hy.

Note…
Zarori nai k aap sirf haq ke raah ke chahtein bataein ya sirf zaroratein jo pori nai ho rahein oun ke chahat bataein…

Yahan aap k apnay andar k dar khol apna aap samjhanay ke aik training karaai ja rahe hy k aakhir ham chahtay kia kia hein or os mein har aik ke talab kis level ke hy.

Sanwartay Raho.


 

About Topic

Aap ko bataoun k ye kion kaha…
Aaj sy koe 10 ya 12 saal pehlay aik din mujhy khiyal aaya is baat ka k…
Aakhir mere chahatein kia kia hein…?

Main ny copy pencil le or socha k aaj aik list banaoun ge…

Jab list bananay lage tou main ny apne ache ache se chahtein list mein likhni start ken…

Jaisay k main khud ko bhe ache ban k dikha rahe the…

Main ny apnay andar jab aisay zara doub k sachaai sy daikha na tou oun dinno ke mere aik shaded se chaht the jis k main kar mansobay banati rehti the…

Or wo chahat ye the k
Mera pass aik store hota…
Bachon k khilonay…
Shoes… school bages…
Ghar ke or bohat se chezein rakhany nikalnay ka mere leay bohat masla hota tha…
Kion k mera pass aisya koe store nai tha…

Mere room ya mere portion sy kafi dour aik store room tha jahan main apna extra saman rakhti the…
Or jab bhe aisay beithi hoti tou andar plannings chaltein k…

Yahan parda laga k store sa bana loun…
Yahan oupar kuch banawa k store bana loun…
Bahir thorre se jaga the sochti wahan chahay teen ke chat daal k parda laga loun tou bhe acha hy k store ban jaey…

Or store kahein nai ban saka kahein bhe or ye mere andar ke chahat the…
Par main jab list bananay lage tou is ko likhnay ka socha bhe nai…
Tou apnay aap par hairat hoe k…

Ye mere itni shadeed chahat hy par mujhy tou ye list banatay yaad he nai aei…

Phir mein ny sachaai sy apna samna keya tou tab isay list k top par likha k mujhy aik store room chahiye…
Aisay he jab ham sachaai sy apna jaiza laitay hein tab hamein pata chalta hy k chahtein kia kia paal rakhi hein

Or tab he ham in par kaam bhe kar saktay hein..

Jab main ny sachaai sy apna jaiza leya or top par aik shore room ke chahat nikli tou intahaai sharminda hoe k…
Ye kia mera kia guzara nai ho raha… ya mera aisa kia nuqsan ho raha k
Aik store he tou nai na
Tou aakhir aisi kia aafat agar k main is chakar sy khud ko nai nikaal sak rahe or is aik waja sy main baki itnay baohat kuch achay or best ka sahi shukar bhe adda nai kar sak rahe..

Har waqt store store andar chal raha… har planning sirf isi k gird ghoomti hy…

Main ny beith k sharminda ho Allah sy dua ke madad maangi or apne is chaht ko aahissta aahista list mein neechay laai or is tara Allah ke qurbat aashnaai raza or khushi ko top par laai…

Tou tab sy main har kuch arsay baar apna jaaiza laiti or sachaai sy pehlay list banati top 10 chahton ke
Or os k baad os list par kaam kar k apne baki sab faani chahaton ko neecahy ly jaati or top par Allah ke chahat jab tak na aajati main os list k hawalay sy khud par kaam karti rehti.

Is leay aaj ye aap ko sikhanay or aainda aisay kar k khud ko check karnay or kaam karnay ka treeqa sikha rahe hon..

Aap ny sirf chahton ke list banani hy… kaam os par baad mein kartay rehna hy… isi leay aaj last topic ye deya k target ly k start ho jana is kaam par..

Waisay aapas ke baat bataoun tou store aaj tak nai waisay mera… jaisay tab mere chahat the…

Par ab mujhy kahein dour dour tak yaad bhe nai aata k ye bhe hona chahaiye… halan k zaroyaat e zindagi k sath wo mere andar or pakka hota jana chahiye tha… par tab ka andar sy nikaal hoa kabhe bholay basray bhe yaad nai aya.

Jazba Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *