Topic # 10 : Nafs aur iski gandagi ( Day : 10 )

“Nafs aur iski gandagi”

Aankh rang aur manzar se lutf andoz hona chahay gi aur wo sab dekhna chahay gi jis se gurez karna hota hai…
Nafs kaan k zariay fahash baaton mein maza paida karay ga aur zaban se har napasandeeda baat karnay mein maza dilaye ga.. Bhalai k kaam mein yahi nafs humein susti aur kaheli ki raah faraham karta hai…
Jins e mukhaalif se rawabit rakhna aur un se sakoon paana is ki sab se barri chahat hoti hai…

Kyun k is se nafs poori taraah ghaalib aa jata hai aur insan ki har hiss ko apnay tabeh kar k istemaal karta hai.. Dimaagh iska saathi hai..
Ye kaam poora honay tak “sab acha hai” ki report deta rehta hai..
Is tarah nafs hum per hukmaraani karta hai… Insan isi ki tabehdaari mein jo bhi gunaah karta hai uska mazaa thorri dair ka hi hota hai magar uska buraa asar hmaari agli saari zindagi per bohat gehra muratab hota hai..
?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise

MCQS ( 3 Marks )
1. Nafs insan ki har hiss ko apny _____ kar kay istamal karta hai.

a) qareeb
b) lapait
c) tabeh

2.  Dimagh nafs ka ______ hai.

a) Dushman
b) saathi
c) tabeh

3.Nafs ki tabe’daari mein kiye gye gunaah ka mazza thori dair aur uska burra asar ______ kay liye hota hai.

a) kuch wakt
b) gehra
c) sari zindagi

Question

1. Aaj ki routine sy ekk aisaa point share kreein kay jiss mein nafs aap ki kisi hiss ( sense) ko apnayy tabah kr kay istemall krnaaa chahaa,
Mehez waqtiii mazaay kay pichayy ⌛.. aur kyaa aap is ki zad mein agaye … yaaa iss ko pehchan sy is sy larrr kaarr nafs ko control krnay ki koshish amal mein layee …

?? short sa mamlaa btana hay
?? kis hiss ka kaisaa istemal krwanaa chaha nafs ny
?? Aap nafs ki zadd mein agaye yaa bachnay ki koshish amall kay zariyee ki … wazeh ehsass bayaan krna hai


 

Answer key

MCQ’s

1. Tabeh
2. Saathi
3. Sari zindagi

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *